maykada masjid nahi ke too uthata he.----mazHur

by mazHur on February 07, 2014, 08:15:51 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1502 times)
mazHur
Guest
Reply with quote


Zindagi mein aik waqt aisa bhi aata he
Aadmi sub jeet kar bhi haar jaata he.

Tiflagi mein aansuOan se sab hee rotay hein
Per jub aata he burhaapa khoon rulaata he!

Aik Toofaan-e-Bala  mere muqaabil he
Her Qadam per do qadam peechay lay jaata he!

Neelgoon aankhein hein unkee ya samandar he?
In mein jo bhi utra forun doob jaata he.

Kookti he shaakh-e-peepal per koi koel
Hook see uthtee he dil hachkolay khaata he.

Jashn-e-may he khul ke peenay de mujhe waa-iz
maykada masjid nahi ke too uthata he.

Kis kee aamad he dur-o-diwaar sajtay hein?
Koan aata he ke ye dil muskuraata he!

beqaraari ka bhi apna husn hota he
dharkaney dil tez chehra tamtamaata he!

Initizaar-e-yaar mein betha hoon shab bhar se
Na woh aatay hein ne dil ko chain aata he.

gardish-e-doraa'n ka koi toe sabab ho ga?
Ghoomta he charkh ya hum ko ghumaata he?

dil ye kehta he ke keh day baat woh un say
Jis ko kehnay se too aksar hichkichata he!

Choreeay mazhur lab-o-rukhsaar ke batein
Kon sunta he yehaan kis ko sunaata he!


(seems like a revisit!) Anyway enjoy!
Logged
Miru;;;;
Guest
«Reply #1 on: February 07, 2014, 08:41:26 AM »
Reply with quote
bahut bahut khoob........ Applause Applause
Logged
mkv
Guest
«Reply #2 on: February 07, 2014, 09:26:47 AM »
Reply with quote
Zindagi mein aik waqt aisa bhi aata he
Aadmi sub jeet kar bhi haar jaata he.

gardish-e-doraa'n ka koi toe sabab ho ga?
Ghoomta he charkh ya hum ko ghumaata he?

dil ye kehta he ke keh day baat woh un say
Jis ko kehnay se too aksar hichkichata he!

Choreeay mazhur lab-o-rukhsaar ke batein
Kon sunta he yehaan kis ko sunaata he!

Bahut badhiya Mazhur sahab

Logged
mazHur
Guest
«Reply #3 on: February 07, 2014, 10:43:15 AM »
Reply with quote
Zindagi mein aik waqt aisa bhi aata he
Aadmi sub jeet kar bhi haar jaata he.

gardish-e-doraa'n ka koi toe sabab ho ga?
Ghoomta he charkh ya hum ko ghumaata he?

dil ye kehta he ke keh day baat woh un say
Jis ko kehnay se too aksar hichkichata he!

Choreeay mazhur lab-o-rukhsaar ke batein
Kon sunta he yehaan kis ko sunaata he!

Bahut badhiya Mazhur sahab



Janab e wala aap kahaan ghayab hein?? kafi dinoan baad aap ke niaz hasil huay. ummeed he aap khariyat se honge..
koi taza kalam ho tu pesh karein...
aapki pasandidagi aur pazeeraee ka dili shukriya
Logged
mazHur
Guest
«Reply #4 on: February 07, 2014, 10:44:29 AM »
Reply with quote
bahut bahut khoob........ Applause Applause

dili taur per hadiya e tashakkur pesh e khidmat he...
khush rehye aabad rehye!!
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #5 on: February 07, 2014, 12:23:05 PM »
Reply with quote
 Applause  Applause Applause
 
  Just Beautiful !
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #6 on: February 07, 2014, 12:39:41 PM »
Reply with quote
bahut saheeh kahaa aapne
Logged
Advo.RavinderaRavi
Guest
«Reply #7 on: February 07, 2014, 06:27:26 PM »
Reply with quote
So nice.
Logged
nandbahu
Mashhur Shayar
***

Rau: 122
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
20 days, 4 hours and 11 minutes.
Posts: 14553
Member Since: Sep 2011


View Profile
«Reply #8 on: February 07, 2014, 06:58:20 PM »
Reply with quote
very nice
Logged
aqsh
Guest
«Reply #9 on: February 07, 2014, 07:53:35 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Waaaaaaah mazhur saab kamaal ki peshkash kee hai... dheron dheron daad qubool kare..

Zindagi mein aik waqt aisa bhi aata he
Aadmi sub jeet kar bhi haar jaata he.

gardish-e-doraa'n ka koi toe sabab ho ga?
Ghoomta he charkh ya hum ko ghumaata he?

dil ye kehta he ke keh day baat woh un say
Jis ko kehnay se too aksar hichkichata he!

 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
jeet jainam
Khaas Shayar
**

Rau: 237
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
60 days, 12 hours and 13 minutes.

my rule no type no life and ,i m happy single

Posts: 10150
Member Since: Dec 2012


View Profile WWW
«Reply #10 on: February 07, 2014, 09:57:45 PM »
Reply with quote
Zindagi mein aik waqt aisa bhi aata he
Aadmi sub jeet kar bhi haar jaata he.

Tiflagi mein aansuOan se sab hee rotay hein
Per jub aata he burhaapa khoon rulaata he!

Aik Toofaan-e-Bala  mere muqaabil he
Her Qadam per do qadam peechay lay jaata he!

Neelgoon aankhein hein unkee ya samandar he?
In mein jo bhi utra forun doob jaata he.

Kookti he shaakh-e-peepal per koi koel
Hook see uthtee he dil hachkolay khaata he.

Jashn-e-may he khul ke peenay de mujhe waa-iz
maykada masjid nahi ke too uthata he.

Kis kee aamad he dur-o-diwaar sajtay hein?
Koan aata he ke ye dil muskuraata he!

beqaraari ka bhi apna husn hota he
dharkaney dil tez chehra tamtamaata he!

Initizaar-e-yaar mein betha hoon shab bhar se
Na woh aatay hein ne dil ko chain aata he.

gardish-e-doraa'n ka koi toe sabab ho ga?
Ghoomta he charkh ya hum ko ghumaata he?

dil ye kehta he ke keh day baat woh un say
Jis ko kehnay se too aksar hichkichata he!

Choreeay mazhur lab-o-rukhsaar ke batein
Kon sunta he yehaan kis ko sunaata he!


 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause

wah wah wah wah wah
Logged
mazHur
Guest
«Reply #11 on: February 08, 2014, 02:48:15 AM »
Reply with quote
Applause  Applause Applause
 
  Just Beautiful !

Thank you very much...
Have a nice day!
Logged
mazHur
Guest
«Reply #12 on: February 08, 2014, 02:49:05 AM »
Reply with quote
bahut saheeh kahaa aapne

Thanks a lot
Logged
mazHur
Guest
«Reply #13 on: February 08, 2014, 02:49:55 AM »
Reply with quote
So nice.

Many thanks
Logged
mazHur
Guest
«Reply #14 on: February 08, 2014, 02:50:42 AM »
Reply with quote
very nice

Thank you sooo much
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 07:58:38 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.131 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer