maza to taNj khaane meiN .. kahaaN tareef pane meiN
mujhe to lutf aata hai khud apna dil dukhane meiN
Waah waah Bhai kia baat kahi hai behad khoob aur
behad sahiN farmaya daad ... kafi achcha aur pur asar matla kaha hai Bhai daad...
Aik chota se replacement hai gar sahiN lage to rakhiyeNga.. ula misre meiN..
Mazaa to ki jagaaH "Jo" meiN badal kar dekhiyeNga.. tum apne paap ki gathri uthaye chal diye lekin
miyaan ab zism tak dhultaa nahi Gangaa nahaane meiN
Waah waah waah kia baat kahi hai bhai bahut umdaa behad khoob..
hazaaroN daad hazir hai is umdaa aur khub khayaal par..
zara ulaa misre par gaur farmaiyeNga.. chale aao .. zara baitho .. khabar meri ghaRhi bhar lo
kab aaoge tum aane meiN... lagi hai jaan jaane meiN
Waah kia kahne khoob behad khoob... achcha sher hai daad.. zubaaN thodi si hai kadvi... zara gussa bhi karta hai
muhabbat hi muhabbat hai magar tere diwane meiN
Waah waah waah Bhai kia baat hai bahut khoob daad daad daad..
Kia sher kaha hai waah .. zara karke nikeele maaro..... pathar phool jaise haiN
kasar koe na cHodo tum mujhe ab aajmaane meiN
Bahut umdaa khayaal kaha hai bahut khoob... yahiN baithye- bithaye sher khariz kar diyaa tumne
kahaaN tak jaana padta hai mujhe mafhoom lane meiN
ha ha ha hah Kia baat hai Bhai bahut khoob hazaaroN daad
is sher par bahut umdaa... aur khub sher kaha daad... koe 'zidd' tha jo sunaata tha sunaata tha mujhe ghazleN
binaa uske maza hi kuch nahi sunne sunaane meiN
Kia baat hai Bhai upar ke sher meiN janab Zidd Sahaab par
katora phod diya aur yahaaN yaad kar raheN hai bahut achche... par kahaaN hai Zidd Sahaab Khairiyat toH hai... Missing U Zidd Sahaab...
Aap bhi aa jaiye mazaa aa jayeNga sunne sunaane meiN...
Aik sher Zidd Sahaab aapke liye Bhai ke kavish par..
Naye kisse sunaane hai puraane bhi sunayeNge
Zidd chhodo bhi kia rakha hai ab ruthne manaane meiN karaar aye bhala ab Fikr kaise, kya ajab hai ki
mujhe ab ashq bhi aate nahiN aansu bahane meiN
Kia baat hai Bhai kafi achcha aur khoob Maqta kaha hai daad..