Mera Fasl-e-Gul se Hisab hai, Mera Karz Tay Hai Bahaar Par.....

by vipul kumar on August 26, 2011, 08:33:42 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 2140 times)
vipul kumar
Guest
Reply with quote
Kuchh qurbatoN ke khayaal me, Kuchh FurqatoN ke shumaar par.....
Meri zindgi bhi guzar gayi, Kisi ahd-e-Aamad-e-yaar par.....

[Qurbat=closeness; Furqat=Separation;
Ahd-e-aamad-e-yaar=Promise of coming of lover]

Jo Chaman me abke khila nahi, meri HasratoN ka Gulaab Tha,
Mera Fasl-e-Gul se Hisab hai, Mera Karz Tay Hai Bahaar Par.....

[Fasl-e-gul=spring]

Kabhi aa ke dekh to HamNashiN, Tera Muntzir Hu main aaj bhi,
Hai palak Wafaa ki khuli hui, Meri KhwahishoN ke Mazaar par.....

Mera sab tha tera diya hua, Tere baad karz hai Zindgi,
Meri Saans bhi mustaar hai, Meri Jaan bhi hai Udhaar par......
[Mustaar=Borrowed]

Mujhe rahbaroN se gilaa nahi, Teri chaahatoN me mila yahi,
Hai mere safar ka sila yahi, Jo Nisha.N hai Raah-e-Guzaar par.....

Hai Kalam Ki Dhaar pe 2 hadaf, ye 'Faraz' hai, wo 'Faiz' hai,
Ye SukhanWari Hai tiki hui, Rukh-e-yaar par, Dar-e-Daar par.......

[Hadaf=Targets]

Kabhi aa ke dekh Zamiin par, k shahar me ranj-o-hiraas ke,
Jo Guzar Rahi hai mere Khuda, Tere musht-e-khaak-e-gubaar par...

[Ranj-o-hiraas=Pain and terror]

Teri nafratoN ki Ye aandhiyaN, inhe fir bujha ke na phenk de,
Jo charaag Hamne jala Diye, Teri Dosti ke dayaar par.....

Mujhe shayri ka Hunar nahi, agar ho sake to mitaa bhi de,
Jo kalam se daagh laga diye, Teri MahfiloN ke mayaar par.....!!


[Mayaar=Standard]
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #1 on: August 26, 2011, 05:12:35 PM »
Reply with quote
Vipul Jee Aadaab!

Waah janab waah kia baat hai... Aap ki kalaam padhne mile
to bahut khushi hoti hai... Usual Smile

Behad gehre aur khub khayaaloN ko umdaa lafzi jamaa pahnaya
hai aapne... Usual Smile Aapka yeH hunar hume behad khoob lagta hai
janab... Humari daad O mubarakbaad kabul kijiye Usual Smile

   




Kuchh qurbatoN ke khayaal me, Kuchh FurqatoN ke shumaar par.....
Meri zindgi bhi guzar gayi, Kisi ahd-e-Aamad-e-yaar par.....

Kia kahne janab waah, behad khubsurat matla kaha
hai aapne... daad daad daad Usual Smile     


[Qurbat=closeness; Furqat=Separation;
Ahd-e-aamad-e-yaar=Promise of coming of lover]

Jo Chaman me abke khila nahi, meri HasratoN ka Gulaab Tha,
Mera Fasl-e-Gul se Hisab hai, Mera Karz Tay Hai Bahaar Par.....

Waah waah kia kahne janab.. Achcha sher hai daad ... khususi hume aapki bayaani behad khoob lagi is sher meiN daad Usual Smile     

[Fasl-e-gul=spring]

Kabhi aa ke dekh to HamNashiN, Tera Muntzir Hu main aaj bhi,
Hai palak Wafaa ki khuli hui, Meri KhwahishoN ke Mazaar par.....

Waah janab waah kia dilfareb sher kaha hai daad Usual Smile
     


Mera sab tha tera diya hua, Tere baad karz hai Zindgi,
Meri Saans bhi mustaar hai, Meri Jaan bhi hai Udhaar par......
[Mustaar=Borrowed]

Kia kahne Vipul jee bada pyaara aur khub gehra sher kahaa hai aapne daad daad daad Usual Smile     

Mujhe rahbaroN se gilaa nahi, Teri chaahatoN me mila yahi,
Hai mere safar ka sila yahi, Jo Nisha.N hai Raah-e-Guzaar par.....

Bahut khoob janab daad Usual Smile     

Hai Kalam Ki Dhaar pe 2 hadaf, ye 'Faraz' hai, wo 'Faiz' hai,
Ye SukhanWari Hai tiki hui, Rukh-e-yaar par, Dar-e-Daar par.......

Waah waah waah kia kahne janab... aapke khayaaloN ke waah bahut umdaa aur dilkash sher kaha hai daad Usual Smile
     


[Hadaf=Targets]

Kabhi aa ke dekh Zamiin par, k shahar me ranj-o-hiraas ke,
Jo Guzar Rahi hai mere Khuda, Tere musht-e-khaak-e-gubaar par...

Achcha sher kaha hai janab.. daad Usual Smile     

[Ranj-o-hiraas=Pain and terror]

Teri nafratoN ki Ye aandhiyaN, inhe fir bujha ke na phenk de,
Jo charaag Hamne jala Diye, Teri Dosti ke dayaar par.....

Waah waah waah Kia kahne Vipul jee behad gazab daad janab... Kia kaheN aapke ahsaas O khayaal ke aur is umdaa
bayaani ... Bahut khoob janaab bahut umdaa daad daad Usual Smile     


Mujhe shayri ka Hunar nahi, agar ho sake to mitaa bhi de,
Jo kalam se daagh laga diye, Teri MahfiloN ke mayaar par.....!!


Bahut achche janab... Aapki kalam se daag nahi, kisi bhi mehfil meiN chaNd jad jaaye .. Usual Smile daad daad daad Usual Smile     

[Mayaar=Standard]


Is khub kalaam par dil se hazaaroN daad kabul kijiye..
Vipul jee.. Aate rahiye... Khush O aabaad rahiye.. Usual Smile

Khuda Hafez Usual Smile     

Logged
vipul kumar
Guest
«Reply #2 on: August 26, 2011, 05:46:34 PM »
Reply with quote
@ Parwaaz sahab, aur aap jaisa qadrdaan har sukhanwar ki qismat me nahi hota..... Main bahut khushqismat hu ki aap merio  ghazaloN ko tawajjo dete hai./.... aapka har sher par nawazish ka hunar mujhe bahut pasand hai..... Padhte rahiye sahab..Usual Smile Shukriya :D
Logged
Satish Shukla
Khususi Shayar
*****

Rau: 51
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
25 days, 6 hours and 16 minutes.

Posts: 1862
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #3 on: August 27, 2011, 06:21:49 PM »
Reply with quote

Vipul Ji,

Waah..waah bahut khoob..kya baat hai
maza aa gaya..ustadana qalaam hai dost.

Dili daad qubool farmaayem.

Satish Shukla 'Raqeeb'
 
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 04:49:45 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.134 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer