Mere mijaaz me wo arz-e-hunar aaj bhi hai.....

by vipul kumar on April 08, 2011, 04:32:22 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1848 times)
vipul kumar
Guest
Reply with quote
Tumhare Husn se waabasta nazar aaj bhi hai....
Tabaah ishq me tere qalb-o-jigar aaj bhi hai...
[qalb=Heart]

Tere firaaq me ghazalo.n ke jo hunar siikhe,
Mere mijaaz me wo arz-e-hunar aaj bhi hai.....

Har ek Harf-e-dua hai muddai farishto.n ka,
Fir bhi lagta hai duao.n me asar aaj bhi hai...
[muddai=Enemy]

Yu.n hi ishrat ki har ik shay nahi mili mujhko,
Ghar ke kaaliin pe wo gard-e-safar aaj bhi hai.....
[Ishrat=luxury; Gard-e-safar=Dust of journey]

Teri azeeyato.n ki intehaa nahi hai abhi,
Niind me meri tera khwaab magar aaj bhi hai....
[Azeeyat=Torture]

Haan meri jaan ye hai meri wafao.n ka sila,
Wo ik daag jo mere maathe par aaj bhi hai......

Har ik dukaan loot li ab ahl-e-duniya ne,
Aankh me apni magar sooq-e-gauhar aaj bhi hai.....
[Sooq-e-gauhar=Market of pearls]

Mere Mijaaz ki pechiidagi to jaati rahi,
Tumhari zulf ke kaakul me bhanvar aaj bhi hai....
[Kaakul=curls]

Teri choukhat pe jo badi aas se jalaaya tha,
Wo ik chiraag ba_Ummiid-e-Sehar aaj bhi hai....

Jo ye kahta hai k main tujhse Mukhatib hi nahi,
Surkhi us lab ki mere honth par aaj bhi hai.....

Ab to yu.n bhi nahi k tu mil gaya mujhe YaaRa,
Tere bichhadne ka wo khouf magar aaj bhi hai.....!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
ghazlon ka hunar by abeera in Shayri for Khumar -e- Ishq
HUNAR by bekarar in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
HUNAR...........A.B by adil bechain in Share:Love Poetry
Hunar bewafaiee ka.....( Ghayel ) by Sajid_Ghayel in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Mijaaz(CSET) by MANOJ6568 in Shayri for Khumar -e- Ishq
nirala
Guest
«Reply #1 on: April 08, 2011, 05:04:58 PM »
Reply with quote
waah sirji waah…
realy hats off to u.
bahot khubsurat ghazal sirji.
aur kuch kah hi nai pa rha me.
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #2 on: April 08, 2011, 06:32:42 PM »
Reply with quote
Vipul Sahaab Aadaab!

Janaab aapki is kalaam ke kia kahne .. bahut khoob ahsaas o khayaal aur behad umdaa bayaani .... Lajawaab kalaam se bazm ko nawaaza hai aapne.. Usual Smile behad khub hunar hai aapki kalam meiN Khuda Kare aapka yeH hunar yuN hi badh chad kar ubharta rahe.... Aur hume aise umdaa kalaamoN ka lutf milta rahe.... Usual Smile
         



Tumhare Husn se waabasta nazar aaj bhi hai....
Tabaah ishq me tere qalb-o-jigar aaj bhi hai...
[qalb=Heart]

Kia kahne janab... bus haqeekhat bayaaN kar dii aapne umdaa matle meiN daad daad daad Usual Smile           

Tere firaaq me ghazalo.n ke jo hunar siikhe,
Mere mijaaz me wo arz-e-hunar aaj bhi hai.....

Masha Allah janab Masha Allah bus hazaaroN daad... aik baat yaad aayi hume.. jo bahut sach hai.. " every one becomes a poet after falling in love.. "           

Har ek Harf-e-dua hai muddai farishto.n ka,
Fir bhi lagta hai duao.n me asar aaj bhi hai...
[muddai=Enemy]

Behad gehra sher hai janab... aapki kalam se yeH sher padhkar behad khushi huyi.. hazaroN daad.. is sher ke parwaaz e khayaal ko chu pane ki is Parwaazki to bisat... Usual Smile nahi           

Yu.n hi ishrat ki har ik shay nahi mili mujhko,
Ghar ke kaaliin pe wo gard-e-safar aaj bhi hai.....
[Ishrat=luxury; Gard-e-safar=Dust of journey]

Behad khoob behad umdaajanab daad Usual Smile         

Teri azeeyato.n ki intehaa nahi hai abhi,
Niind me meri tera khwaab magar aaj bhi hai....
[Azeeyat=Torture]

Kia kahne janab.. behad dil ke kareebi sher padh rahe hai daad daad Usual Smile           

Haan meri jaan ye hai meri wafao.n ka sila,
Wo ik daag jo mere maathe par aaj bhi hai......

Bahut khoob sada se ashaar hai par kafi khoob hai daad Usual Smile         

Har ik dukaan loot li ab ahl-e-duniya ne,
Aankh me apni magar sooq-e-gauhar aaj bhi hai.....
[Sooq-e-gauhar=Market of pearls]

achcha sher hai janab daad Usual Smile Aur bhi behtar kiya ja sakta hai humare khayaal se Usual Smile         

Mere Mijaaz ki pechiidagi to jaati rahi,
Tumhari zulf ke kaakul me bhanvar aaj bhi hai....
[Kaakul=curls]

Kia kahne janab bahut umda... " tumhare zulf ke kaakul meiN bhavar aaj bhi hai " kia kahne daad Usual Smile         

Teri choukhat pe jo badi aas se jalaaya tha,
Wo ik chiraag ba_Ummiid-e-Sehar aaj bhi hai....

Masha Allah janab bahut umdaa... YehummidoN ke charaagH jaane kaisejalte rahte hai shayad inhe kisi baat ki khabar nahi hoti ... bahut khoob Usual Smile         

Jo ye kahta hai k main tujhse Mukhatib hi nahi,
Surkhi us lab ki mere honth par aaj bhi hai.....

Kia kahne janab bada rumaani sher kaha hai daad aise pech O kham shayari meiN behad lutf de jate hai daad daad Usual Smile         

Ab to yu.n bhi nahi k tu mil gaya mujhe YaaRa,
Tere bichhadne ka wo khouf magar aaj bhi hai.....!!


Masha Allah janab Kia kahne beintehaaN khoob khayaal ko anjaam diya hai daad hazaaroN daad hazir hai... Usual Smile         


Janab Vipul Sahaab aapki is purkashish pur lutf kalaam par dil se daad hazir hai.... Behad umdaa kalaam se nawaaza hai... aapki kavish behad khoob rahi... kuch kuch arz karne ko jee chaah raha hai pa meter ka masla hai humari ayaani meiN so kuch kah nahi payeNge... Usual Smile

Aise hi umdaa kalaamoN ke saath aate rahiye...
Khush O aabaad rahiye... Usual Smile

Khuda Hafez... Usual Smile
         

Logged
sbechain
Guest
«Reply #3 on: April 11, 2011, 07:36:16 AM »
Reply with quote
Tumhare Husn se waabasta nazar aaj bhi hai....
Tabaah ishq me tere qalb-o-jigar aaj bhi hai...
[qalb=Heart]

Tere firaaq me ghazalo.n ke jo hunar siikhe,
Mere mijaaz me wo arz-e-hunar aaj bhi hai.....

Har ek Harf-e-dua hai muddai farishto.n ka,
Fir bhi lagta hai duao.n me asar aaj bhi hai...
[muddai=Enemy]

Yu.n hi ishrat ki har ik shay nahi mili mujhko,
Ghar ke kaaliin pe wo gard-e-safar aaj bhi hai.....
[Ishrat=luxury; Gard-e-safar=Dust of journey]

Teri azeeyato.n ki intehaa nahi hai abhi,
Niind me meri tera khwaab magar aaj bhi hai....
[Azeeyat=Torture]

Haan meri jaan ye hai meri wafao.n ka sila,
Wo ik daag jo mere maathe par aaj bhi hai......

Har ik dukaan loot li ab ahl-e-duniya ne,
Aankh me apni magar sooq-e-gauhar aaj bhi hai.....
[Sooq-e-gauhar=Market of pearls]

Mere Mijaaz ki pechiidagi to jaati rahi,
Tumhari zulf ke kaakul me bhanvar aaj bhi hai....
[Kaakul=curls]

Teri choukhat pe jo badi aas se jalaaya tha,
Wo ik chiraag ba_Ummiid-e-Sehar aaj bhi hai....

Jo ye kahta hai k main tujhse Mukhatib hi nahi,
Surkhi us lab ki mere honth par aaj bhi hai.....

Ab to yu.n bhi nahi k tu mil gaya mujhe YaaRa,
Tere bichhadne ka wo khouf magar aaj bhi hai.....!!



bahut khoob janab vipul sahab
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #4 on: April 11, 2011, 08:22:19 AM »
Reply with quote
Tumhare Husn se waabasta nazar aaj bhi hai....
Tabaah ishq me tere qalb-o-jigar aaj bhi hai...
[qalb=Heart]

Tere firaaq me ghazalo.n ke jo hunar siikhe,
Mere mijaaz me wo arz-e-hunar aaj bhi hai.....

Har ek Harf-e-dua hai muddai farishto.n ka,
Fir bhi lagta hai duao.n me asar aaj bhi hai...
[muddai=Enemy]

Yu.n hi ishrat ki har ik shay nahi mili mujhko,
Ghar ke kaaliin pe wo gard-e-safar aaj bhi hai.....
[Ishrat=luxury; Gard-e-safar=Dust of journey]

Teri azeeyato.n ki intehaa nahi hai abhi,
Niind me meri tera khwaab magar aaj bhi hai....
[Azeeyat=Torture]

Haan meri jaan ye hai meri wafao.n ka sila,
Wo ik daag jo mere maathe par aaj bhi hai......

Har ik dukaan loot li ab ahl-e-duniya ne,
Aankh me apni magar sooq-e-gauhar aaj bhi hai.....
[Sooq-e-gauhar=Market of pearls]

Mere Mijaaz ki pechiidagi to jaati rahi,
Tumhari zulf ke kaakul me bhanvar aaj bhi hai....
[Kaakul=curls]

Teri choukhat pe jo badi aas se jalaaya tha,
Wo ik chiraag ba_Ummiid-e-Sehar aaj bhi hai....

Jo ye kahta hai k main tujhse Mukhatib hi nahi,
Surkhi us lab ki mere honth par aaj bhi hai.....

Ab to yu.n bhi nahi k tu mil gaya mujhe YaaRa,
Tere bichhadne ka wo khouf magar aaj bhi hai.....!!


Bahut Bahut Khoob Vipul Ji..

Bahut Hi Khoobsurat Peshkash!!! Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


Logged
vipul kumar
Guest
«Reply #5 on: April 12, 2011, 10:52:11 AM »
Reply with quote
Shukriya Nirala ji, Parwaaz ji, sheba ji aur khwahish ji.....
Shukriya apna kiimti waqt dene ke liye......

@ Parwaaz ji, Mujhe sach me bahut bahut achha laga aapka analysis. Bahut mehnat aur waqt dekar aapne meri adni ghazal ke baare me ye sab likha. Ummid hai aap aage bhi sath denge......
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 07:59:54 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.135 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer