merey laboN se na aaye terey laboN pe kharaash

by masoodhassaas on August 16, 2011, 05:36:13 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 2120 times)
masoodhassaas
Guest
Reply with quote
kalee kalee pe mazaalim sabhi gulooN pe kharaash
tumhaarey taor ne daaley hain ham sabhoN pe kharaash

ye kaisaa tanz thaa bainas sotoor posheedah
ki parh ke aa gayee us ko merey laboN pe kharaash

main roshnee ka dasaa hun mujhey zamaanat do
cheraagh e nao hi na daaley meree shaboN pe kharaash

qayaas kis liye kahtey hain is haqeeqat ko
ghoroor e hast ne daaley baDey baDoN pe kharaash

khodaa ke waastey tum zulf gooNdh kar sonaa
shameem e zulf se aaye gee rat jagoN pe kharaash

faqat ye soch ke main choomtaa nahi in ko
merey laboN se na aaye terey laboN pe kharaash

bhaley khamosh huN hssaas par ye yaad rahey
merey sawaal se paD jaaye mahfiloN pe kharaash
Logged
Mohammad Touhid
Umda Shayar
*

Rau: 35
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
38 days, 12 hours and 35 minutes.

'I' 'Luv' d Way 'U' 'Forget' Me..!.!

Posts: 7160
Member Since: Aug 2009


View Profile
«Reply #1 on: August 16, 2011, 05:41:57 PM »
Reply with quote
kalee kalee pe mazaalim sabhi gulooN pe kharaash
tumhaarey taor ne daaley hain ham sabhoN pe kharaash

ye kaisaa tanz thaa bainas sotoor posheedah
ki parh ke aa gayee us ko merey laboN pe kharaash

main roshnee ka dasaa hun mujhey zamaanat do
cheraagh e nao hi na daaley meree shaboN pe kharaash

qayaas kis liye kahtey hain is haqeeqat ko
ghoroor e hast ne daaley baDey baDoN pe kharaash

khodaa ke waastey tum zulf gooNdh kar sonaa
shameem e zulf se aaye gee rat jagoN pe kharaash

faqat ye soch ke main choomtaa nahi in ko
merey laboN se na aaye terey laboN pe kharaash

bhaley khamosh huN hssaas par ye yaad rahey
merey sawaal se paD jaaye mahfiloN pe kharaash

1ST OF ALL WELCOME TO YOINDIA... Usual Smile Usual Smile

MASOOD JI... BAHUT KHOOB...  Applause Applause Applause Applause
Logged
sarfira
Guest
«Reply #2 on: August 16, 2011, 06:15:02 PM »
Reply with quote
itna mast ghazal to aaj padhi mene --jise padhkar ek alag hi andaaz aur ehsaas hua --
lajawaaab post--
hazaaron daad kubul ho --

hanste rahiye Usual Smile
tata
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #3 on: August 16, 2011, 06:36:29 PM »
Reply with quote
Masood Sahaab Aadaab!

Waah janab waah kia khub gazal se nawaaza hai...
Masha Allah badi umdaa.. Gazal kahi hai aapne Usual Smile

Khub zameen banaayi hai janab... aur us par
itne khubsurat ashaar waah ... Dil khush ho gaya
padh kar Usual Smile behad umdaa janab behad khoob Usual Smile

Aur In ashaaroN ki kia kaheN tareef ke liye lafz
hi nahi hai humare paas Applause Applause ApplauseApplause Applause ApplauseApplause Applause Applause         





qayaas kis liye kahtey hain is haqeeqat ko
ghoroor e hast ne daaley baDey baDoN pe kharaash

Behad khub khayaal ko anjaam diya
janab daad daad Usual Smile         


khodaa ke waastey tum zulf gooNdh kar sonaa
shameem e zulf se aaye gee rat jagoN pe kharaash

Oye hoye waaah waah waah janab
kia gazab ka sher kaha hai waah ...
Behad dilkash aur Kia kahne Janab waah bahut hi
umdaa .. Shameem e zukf se aaye gee rat jagoN pe
kharaash "  Masha Allah janab kia kahne waah Usual Smile       


faqat ye soch ke main choomtaa nahi in ko
merey laboN se na aaye terey laboN pe kharaash

Masood sahaab bada zaleem sher kaha hai
waah janab waah ... behad umdaa janab .. Kia khayaal
hai aur kia adaaygi hai daad daad daad
         
         



Behad khubsurat Gazal se nawaaza hai janab ... Is umdaa gazal par phir se dheroN daad kabul kijiye Usual Smile

Likhate rahiye... Aate rahiye.. Usual Smile
Khush O aabaad rahiye.. Usual Smile
Khuda Hafez Usual Smile         

Logged
sbechain
Guest
«Reply #4 on: August 16, 2011, 07:01:31 PM »
Reply with quote
kalee kalee pe mazaalim sabhi gulooN pe kharaash
tumhaarey taor ne daaley hain ham sabhoN pe kharaash

ye kaisaa tanz thaa bainas sotoor posheedah
ki parh ke aa gayee us ko merey laboN pe kharaash

main roshnee ka dasaa hun mujhey zamaanat do
cheraagh e nao hi na daaley meree shaboN pe kharaash

qayaas kis liye kahtey hain is haqeeqat ko
ghoroor e hast ne daaley baDey baDoN pe kharaash

khodaa ke waastey tum zulf gooNdh kar sonaa
shameem e zulf se aaye gee rat jagoN pe kharaash

faqat ye soch ke main choomtaa nahi in ko
merey laboN se na aaye terey laboN pe kharaash

bhaley khamosh huN hssaas par ye yaad rahey
merey sawaal se paD jaaye mahfiloN pe kharaash

QYAAS KIS LIYE KAHTE HAI ISS HAQIQAT KO...............BAHUT UMDA HASSAS SAHAB



 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #5 on: August 16, 2011, 07:04:39 PM »
Reply with quote
kalee kalee pe mazaalim sabhi gulooN pe kharaash
tumhaarey taor ne daaley hain ham sabhoN pe kharaash

ye kaisaa tanz thaa bainas sotoor posheedah
ki parh ke aa gayee us ko merey laboN pe kharaash

main roshnee ka dasaa hun mujhey zamaanat do
cheraagh e nao hi na daaley meree shaboN pe kharaash

qayaas kis liye kahtey hain is haqeeqat ko
ghoroor e hast ne daaley baDey baDoN pe kharaash

khodaa ke waastey tum zulf gooNdh kar sonaa
shameem e zulf se aaye gee rat jagoN pe kharaash

faqat ye soch ke main choomtaa nahi in ko
merey laboN se na aaye terey laboN pe kharaash

bhaley khamosh huN hssaas par ye yaad rahey
merey sawaal se paD jaaye mahfiloN pe kharaash

Bahut bahut Khoooob Hassan Ji..

Umda peshkash!!! Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #6 on: August 16, 2011, 07:18:53 PM »
Reply with quote
Shebaa Sahibaa Aur Khawahish jee

WoH Masood Hassaas Sahaab hai Hasan sahaab nahi Usual Smile
Plz reply karne se pahele .. lekhak ka naam thik se
dekh liya kijiye .. Usual Smile

Be happy Usual Smile         

Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #7 on: August 16, 2011, 07:23:34 PM »
Reply with quote
Shebaa Sahibaa Aur Khawahish jee

WoH Masood Hassaas Sahaab hai Hasan sahaab nahi Usual Smile
Plz reply karne se pahele .. lekhak ka naam thik se
dekh liya kijiye .. Usual Smile

Be happy Usual Smile         



Ji Shukriya parwaaz Ji..Aapne Bata Diya..Agli Baar se Zaroor Khayal Rakha Jaayega.. icon_flower
Logged
sbechain
Guest
«Reply #8 on: August 16, 2011, 07:24:15 PM »
Reply with quote
Shebaa Sahibaa Aur Khawahish jee

WoH Masood Hassaas Sahaab hai Hasan sahaab nahi Usual Smile
Plz reply karne se pahele .. lekhak ka naam thik se
dekh liya kijiye .. Usual Smile

Be happy Usual Smile        



WOH ZYADA HASSAS QISM KE HAIN ISS LIYE CORRECT KAR LIYA

 Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile
Logged
masoodhassaas
Guest
«Reply #9 on: August 16, 2011, 10:13:19 PM »
Reply with quote
1ST OF ALL WELCOME TO YOINDIA... Usual Smile Usual Smile

MASOOD JI... BAHUT KHOOB...  Applause Applause Applause Applause


is izzat fazaayee pe tah e dil se aap ka shukr guzaar hun khodaa aap ko barkaton se nawaazey
masood
Logged
masoodhassaas
Guest
«Reply #10 on: August 16, 2011, 10:20:43 PM »
Reply with quote
itna mast ghazal to aaj padhi mene --jise padhkar ek alag hi andaaz aur ehsaas hua --
lajawaaab post--
hazaaron daad kubul ho --

hanste rahiye Usual Smile
tata

aadaab
bahot khoobsoorat andaaz me aap n eghazal ko saraahaa jis se dilee taskeen milee aor main tah e dil se aap ka shukriyah adaa karta ahun
masood
Logged
masoodhassaas
Guest
«Reply #11 on: August 16, 2011, 10:23:38 PM »
Reply with quote
Masood Sahaab Aadaab!

Waah janab waah kia khub gazal se nawaaza hai...
Masha Allah badi umdaa.. Gazal kahi hai aapne Usual Smile

Khub zameen banaayi hai janab... aur us par
itne khubsurat ashaar waah ... Dil khush ho gaya
padh kar Usual Smile behad umdaa janab behad khoob Usual Smile

Aur In ashaaroN ki kia kaheN tareef ke liye lafz
hi nahi hai humare paas Applause Applause ApplauseApplause Applause ApplauseApplause Applause Applause         



Behad khubsurat Gazal se nawaaza hai janab ... Is umdaa gazal par phir se dheroN daad kabul kijiye Usual Smile

Likhate rahiye... Aate rahiye.. Usual Smile
Khush O aabaad rahiye.. Usual Smile
Khuda Hafez Usual Smile         



aadaab
parwaaz saahab aap kaa aor meraa takhallus ham wazn hai haan magar aap mohabbat ke aisey dhanee hain jo donon haath se usey lutaanaa jaantey hain aor sach hai ki yahee jazbah aadmee ko insaan banaataa hai aor insaan ko azeem banaataa hai ... aap ki mohabbat ko salaam aor kholoos ka be had shukriyah
masood
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #12 on: August 16, 2011, 10:24:44 PM »
Reply with quote
Wah baddiya peshkash Masoodhasaas ji.very touching ghazal,meri sawaal se pad jaaye mahifilon mein khraas,wah wah.  Hats off to you!  icon_thumleft Applause Applause Applause Applause
Logged
masoodhassaas
Guest
«Reply #13 on: August 24, 2011, 10:09:13 PM »
Reply with quote
Wah baddiya peshkash Masoodhasaas ji.very touching ghazal,meri sawaal se pad jaaye mahifilon mein khraas,wah wah.  Hats off to you!  icon_thumleft Applause Applause Applause Applause

aap kaa aabhaaree hun aap ne ghazal pasand ki badaa achhaa lagaa be had shukriyah
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 09, 2024, 01:39:00 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.13 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer