Meri Haq me Maut hi Maang Le ( Qadeertoopchi )

by qadeer_junaid on January 18, 2012, 12:57:28 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 3966 times)
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
Reply with quote
Yaarane e Bazm Meri adna si Ghazal Ap hazraat ke hawale Umid hai Apni Ara se nawazenge  ,,,


Teri yaad me Jo hai jal raha , ussi deep ko tu hawa Na de
Mere haq me maut hi mang le, mujhe zindagi ki dua Na de

yun hi kaat di hai yeh zindagi, teri justuju me aye jaane jaan
Kabhi ho bhi ja tu ayaan sanam, mujhe berukhi ki saza na de

Tujhe kya Bataoo.N ke kiss tarah, liya hijraton ka ye faisla
Mujhe Rok mat tu watan mere, mera zabt aansu baha na de

Wohi rizq deta jahaan ko , wohi zaat sab se azeem hai
Meri muflisi pe na hans ke wo , tera taaj sar se giraa na de

Tera chahera chand se kam nahi, tujhe phir bhi koi khabar nahi
Yun nikal na ghar se tu bekhabar, tera husn bijli gira na de

Mile zakhm jo tere ishq me , unhe ab talak hun kure.dta
Yeh Hain Tere Gham ki nashaniyan, mujhe zakhm-e-dil ki dawa na de

Wohi log hai.N wohi shahr hai , wohi raaste hai.N wohi safar
Zara bach ke chalna qadeer jee , koi yaad Phir se rula na de

Qadeertoopchi
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
jab meri maut ho by VIKRANT in Shayri for Khumar -e- Ishq
~meri wafa meri maut ki waje bangayi..~ by roshni246 in Shayri-E-Dard « 1 2 ... 6 7 »
Ladengi Meri Tanha-e-yan ( Qadeertoopchi ) by qadeertoopchii in Ghazals « 1 2  All »
Beti Meri ( Qadeertoopchi ) by qadeer_junaid in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
Meri maang ka sindur by suman59 in Shayri for Khumar -e- Ishq
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #1 on: January 18, 2012, 01:52:00 PM »
Reply with quote
Yaarane e Bazm Meri adna si Ghazal Ap hazraat ke hawale Umid hai Apni Ara se nawazenge  ,,,


Teri yaad me Jo hai jal raha , ussi deep ko tu hawa Na de
Mere haq me maut hi mang le, mujhe zindagi ki dua Na de

yun hi kaat di hai yeh zindagi, teri justuju me aye jaane jaan
Kabhi ho bhi ja tu ayaan sanam, mujhe berukhi ki saza na de

Tujhe kya Bataoo.N ke kiss tarah, liya hijraton ka ye faisla
Mujhe Rok mat tu watan mere, mera zabt aansu baha na de

Wohi rizq deta jahaan ko , wohi zaat sab se azeem hai
Meri muflisi pe na hans ke wo , tera taaj sar se giraa na de

Tera chahera chand se kam nahi, tujhe phir bhi koi khabar nahi
Yun nikal na ghar se tu bekhabar, tera husn bijli gira na de

Mile zakhm jo tere ishq me , unhe ab talak hun kure.dta
Yeh Hain Tere Gham ki nashaniyan, mujhe zakhm-e-dil ki dawa na de

Wohi log hai.N wohi shahr hai , wohi raaste hai.N wohi safar
Zara bach ke chalna qadeer jee , koi yaad Phir se rula na de

Qadeertoopchi

Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Qadeer Bhai...Har lafz behtereen, Sachai Ka Aaena Hai..

Kya kahoon..Lafzon Mein Jaan Phoonkna Isse Kehte Hai..

Bahut Ache Mere Bhai
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #2 on: January 18, 2012, 02:39:50 PM »
Reply with quote
Waah Kya baat hai Bahoot Bahoot Umda Ghazal Pesh Ki hai .. Bahoot Lajawaab peshkash !!


Nysha
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #3 on: January 18, 2012, 04:09:45 PM »
Reply with quote
Waah bhai Qadeer saheb.Behad khubsurat,haseen ghazal
ata ki hai.Bahut khubsurat aur rythmic albatta mere
khayal se mushkil bahr hai.Lekin iss bahr mein zyada
tar bahut khubsurat ghazlein milti hain.Aap ko iss
kaamyaab ghazal ke liye bahut bahut mubarakbaad. Hasan
Logged
Abul Asad
Maqbool Shayar
****

Rau: 3
Offline Offline

Waqt Bitaya:
7 days, 50 minutes.
Posts: 773
Member Since: Dec 2011


View Profile
«Reply #4 on: January 18, 2012, 06:27:49 PM »
Reply with quote
Yaarane e Bazm Meri adna si Ghazal Ap hazraat ke hawale Umid hai Apni Ara se nawazenge  ,,,


Teri yaad me Jo hai jal raha , ussi deep ko tu hawa Na de
Mere haq me maut hi mang le, mujhe zindagi ki dua Na de

yun hi kaat di hai yeh zindagi, teri justuju me aye jaane jaan
Kabhi ho bhi ja tu ayaan sanam, mujhe berukhi ki saza na de

Tujhe kya Bataoo.N ke kiss tarah, liya hijraton ka ye faisla
Mujhe Rok mat tu watan mere, mera zabt aansu baha na de

Wohi rizq deta jahaan ko , wohi zaat sab se azeem hai
Meri muflisi pe na hans ke wo , tera taaj sar se giraa na de

Tera chahera chand se kam nahi, tujhe phir bhi koi khabar nahi
Yun nikal na ghar se tu bekhabar, tera husn bijli gira na de

Mile zakhm jo tere ishq me , unhe ab talak hun kure.dta
Yeh Hain Tere Gham ki nashaniyan, mujhe zakhm-e-dil ki dawa na de

Wohi log hai.N wohi shahr hai , wohi raaste hai.N wohi safar
Zara bach ke chalna qadeer jee , koi yaad Phir se rula na de

Qadeertoopchi

Bahut ache Qadeer Sahab,
Behtareen peshkash, waqay har sher qabil-e daad raha
har sher apni wazn ka tabedaar raha.

Abul Asad
Logged
sarfira
Guest
«Reply #5 on: January 18, 2012, 07:05:35 PM »
Reply with quote
lajawaab ghazal Qadeer sahab--
har sher apne aap me ek poori ghazal ka wajan rakhti hai--
superbb ghazal

thanz for dis Ghazal Qadeer sahab

khus rahie
muskurate rahie
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #6 on: January 18, 2012, 07:22:45 PM »
Reply with quote
Qadeer bhai bila shak bahot khubsurat aur murassa ghazal kahi hai aapne. Meri janib se daad hazir hai.
Logged
Sadiq Rizvi
Guest
«Reply #7 on: January 18, 2012, 07:34:04 PM »
Reply with quote
Qadeer saheb Mashaallah bahut achchi ghazal kahi hai har sher meiN mukammal pukhtagi hai dili mubarakbaad qubool farmayeN
Sadiq Rizvi
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #8 on: January 19, 2012, 05:02:57 AM »
Reply with quote
qadeer bhai is behtreen klaam ke liye hazaaron daad. mubarak ho
Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #9 on: January 19, 2012, 09:57:04 AM »
Reply with quote
Yaarane e Bazm Meri adna si Ghazal Ap hazraat ke hawale Umid hai Apni Ara se nawazenge  ,,,


Teri yaad me Jo hai jal raha , ussi deep ko tu hawa Na de
Mere haq me maut hi mang le, mujhe zindagi ki dua Na de

yun hi kaat di hai yeh zindagi, teri justuju me aye jaane jaan
Kabhi ho bhi ja tu ayaan sanam, mujhe berukhi ki saza na de

Tujhe kya Bataoo.N ke kiss tarah, liya hijraton ka ye faisla
Mujhe Rok mat tu watan mere, mera zabt aansu baha na de

Wohi rizq deta jahaan ko , wohi zaat sab se azeem hai
Meri muflisi pe na hans ke wo , tera taaj sar se giraa na de

Tera chahera chand se kam nahi, tujhe phir bhi koi khabar nahi
Yun nikal na ghar se tu bekhabar, tera husn bijli gira na de

Mile zakhm jo tere ishq me , unhe ab talak hun kure.dta
Yeh Hain Tere Gham ki nashaniyan, mujhe zakhm-e-dil ki dawa na de

Wohi log hai.N wohi shahr hai , wohi raaste hai.N wohi safar
Zara bach ke chalna qadeer jee , koi yaad Phir se rula na de

Qadeertoopchi


bahut khoob.behtreen ghazal hai janab qadeer sb

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #10 on: January 19, 2012, 04:12:17 PM »
Reply with quote
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Qadeer Bhai...Har lafz behtereen, Sachai Ka Aaena Hai..

Kya kahoon..Lafzon Mein Jaan Phoonkna Isse Kehte Hai..

Bahut Ache Mere Bhai


Khawish bhai ,,aadab

Badi nawazish apki ..APko ghazal pasand aai mahenat rang laai
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #11 on: January 19, 2012, 04:13:25 PM »
Reply with quote
Waah Kya baat hai Bahoot Bahoot Umda Ghazal Pesh Ki hai .. Bahoot Lajawaab peshkash !!


Nysha

Nysha Sahibah ,,

Ghazal apko pasand aai jaan kar khushi howi ..Allah apko khush rakhe ..Shukriyah..

Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #12 on: January 19, 2012, 04:14:51 PM »
Reply with quote
Waah bhai Qadeer saheb.Behad khubsurat,haseen ghazal
ata ki hai.Bahut khubsurat aur rythmic albatta mere
khayal se mushkil bahr hai.Lekin iss bahr mein zyada
tar bahut khubsurat ghazlein milti hain.Aap ko iss
kaamyaab ghazal ke liye bahut bahut mubarakbaad. Hasan

Hasan Sahab ,, Apki dad tabaruk hai ,, Baaic e sanad bhi ,, Allah apko do jahan ki barkaton se nawaze ....Apke husn-e-zaan ko salam ..
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #13 on: January 19, 2012, 04:16:39 PM »
Reply with quote
Bahut ache Qadeer Sahab,
Behtareen peshkash, waqay har sher qabil-e daad raha
har sher apni wazn ka tabedaar raha.

Abul Asad

Mahutram Apse sukhan Fahm Ki dad Hausla ata karti hai ...Umid hai aage bhi issi tarhan apni mahubbaton se nawazete rahenge ..Allah apko khush rakhe ..
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #14 on: January 19, 2012, 04:18:48 PM »
Reply with quote
lajawaab ghazal Qadeer sahab--
har sher apne aap me ek poori ghazal ka wajan rakhti hai--
superbb ghazal

thanz for dis Ghazal Qadeer sahab

khus rahie
muskurate rahie

Janab Apki dad Hausla ata karti hai ..Ap faraq dil insaan maloom parhte hain ..Badi nawazish bhai ..Shukriyah ..Allah apko khush rakhe ..
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 08:49:55 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.122 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer