Meri Haq me Maut hi Maang Le ( Qadeertoopchi )

by qadeer_junaid on January 18, 2012, 12:57:28 PM
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Author  (Read 3930 times)
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #15 on: January 19, 2012, 04:20:45 PM »
Reply with quote
Qadeer bhai bila shak bahot khubsurat aur murassa ghazal kahi hai aapne. Meri janib se daad hazir hai.

Riyaz Bhai ,, Assalamwalekum ,, Zamane baad apko Apko yo india me dekh kar behad khushi howi ,,APki amad baaic e faqr hai ,,Dad ke liye azhd mashoor o mumnoo hon ,,Allah apko khush rakhe ..Apni maujodgi ka ahesas dilate rahe.N ,,
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
jab meri maut ho by VIKRANT in Shayri for Khumar -e- Ishq
~meri wafa meri maut ki waje bangayi..~ by roshni246 in Shayri-E-Dard « 1 2 ... 6 7 »
Ladengi Meri Tanha-e-yan ( Qadeertoopchi ) by qadeertoopchii in Ghazals « 1 2  All »
Beti Meri ( Qadeertoopchi ) by qadeer_junaid in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
Meri maang ka sindur by suman59 in Shayri for Khumar -e- Ishq
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #16 on: January 19, 2012, 04:23:52 PM »
Reply with quote
Qadeer saheb Mashaallah bahut achchi ghazal kahi hai har sher meiN mukammal pukhtagi hai dili mubarakbaad qubool farmayeN
Sadiq Rizvi

Mahutram Sadiq Rizvi Sahab ,, Assalamwalekum ,,

Ab meri nazar apke khadmo.N se nahi hat'ti ,,,Apki dad Ghazal ki kamiyabi pe dalalat karti hai ...YAqeen Jaaniye Apni khushi ko Lafzon me bayan karna mushkil ho chala hai ......Allah apko khoob nawaze ...Shukriyaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaah....

Khadim

Qadeertoopchi
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #17 on: January 19, 2012, 04:25:48 PM »
Reply with quote
qadeer bhai is behtreen klaam ke liye hazaaron daad. mubarak ho

Dr.Sahab aadab ..

Tum jiyo HAzaro saal Har saal ke din hon pachas hazar ...Bhai apse sukhan fahm o ahle ilm hazrat ki dad Hausla ata karti hai ..Allah apko khush rakhe ..

Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #18 on: January 19, 2012, 04:28:43 PM »
Reply with quote

bahut khoob.behtreen ghazal hai janab qadeer sb

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Bhai Khamosh Awaz Sahab ,,,,Aadab ,,,,Apne is Faqir Ke kaase me dad daal ke Usse badshah Bana diya ....Ek sher zahn me tarteeb Paya Apke Hawale ..

Kissi Faqir ne kaase me khuch Dikha ke Kaha __________wo jisko Chahe Usse Malamal Karta hai


Dua go

Qadeertoopchi
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #19 on: January 19, 2012, 04:47:52 PM »
Reply with quote
Riyaz Bhai ,, Assalamwalekum ,, Zamane baad apko Apko yo india me dekh kar behad khushi howi ,,APki amad baaic e faqr hai ,,Dad ke liye azhd mashoor o mumnoo hon ,,Allah apko khush rakhe ..Apni maujodgi ka ahesas dilate rahe.N ,,
Walekum assalaam Qadeer bhai, apki is muhabbat ka dili shukria. Mera kafi arse baad Yo par aana hua. Kuchh uljhanen, masaail, masrufiyat ki vajah se qaasir tha. Koshish karunga ke Yo par musalsal aakar aap jaise umdah shukhanwaron ke kalam se lutfandoz hota rahun. Akhir men apna ek sher arz karta hun:

Kis darja badlon ne sitam dekhiye kiya,
Sahra ko jalta chhod ke aage nikal gaye.

Shukriya
Logged
dead heart
Guest
«Reply #20 on: January 20, 2012, 04:09:32 PM »
Reply with quote
Aha Kya baat hai Sahab..
Kamal ka likha hai tumne..Maza hi agaye parrne ka..
Akhri line toyh mujhe bahaut bahaut achi lagi..
Ap bahaut bahaut bahaut umda shayar hai..
Koshish karein kay zada aya karein..Apko parrna, humari khushkismati hai..
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Khush rahiye..!
Logged
mamta bajpai
Guest
«Reply #21 on: January 23, 2012, 07:07:22 AM »
Reply with quote
Yaarane e Bazm Meri adna si Ghazal Ap hazraat ke hawale Umid hai Apni Ara se nawazenge  ,,,


Teri yaad me Jo hai jal raha , ussi deep ko tu hawa Na de
Mere haq me maut hi mang le, mujhe zindagi ki dua Na de

yun hi kaat di hai yeh zindagi, teri justuju me aye jaane jaan
Kabhi ho bhi ja tu ayaan sanam, mujhe berukhi ki saza na de

Tujhe kya Bataoo.N ke kiss tarah, liya hijraton ka ye faisla
Mujhe Rok mat tu watan mere, mera zabt aansu baha na de

Wohi rizq deta jahaan ko , wohi zaat sab se azeem hai
Meri muflisi pe na hans ke wo , tera taaj sar se giraa na de

Tera chahera chand se kam nahi, tujhe phir bhi koi khabar nahi
Yun nikal na ghar se tu bekhabar, tera husn bijli gira na de

Mile zakhm jo tere ishq me , unhe ab talak hun kure.dta
Yeh Hain Tere Gham ki nashaniyan, mujhe zakhm-e-dil ki dawa na de

Wohi log hai.N wohi shahr hai , wohi raaste hai.N wohi safar
Zara bach ke chalna qadeer jee , koi yaad Phir se rula na de

Qadeertoopchi
[/qu


Mohtaram Qadeer Saaheb, Baad muddat ke aap kee ye naayaab gazal paRhane ko mili .....gazal kaa har sher apnee oonchaaiyon ko chhoo rahaa hai......sar se paa talak har sher apnaa purzor asar chhortaa hai...is laajawaab peshkash par meri dili daad kubool farmaayeN.........
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #22 on: January 23, 2012, 04:32:30 PM »
Reply with quote
Qadeer Bhai Bahut Bahut Khooooooooob.. Har ek Lafz apni Kahani Bayaan kar raha Hai.. Dil ko Chhoo gai aapki Yeh Gazal.. daad Kubool karen Dil se.. Applause Applause



**~** Mann **~**
Logged
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 09:45:46 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.093 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer