Meri muhabbat ko woh is tarah aazmaate hain...........................................Aqsh....

by aqsh on October 29, 2013, 01:39:12 PM
Pages: 1 2 3 [4]
ReplyPrint
Author  (Read 2321 times)
aqsh
Guest
«Reply #45 on: October 30, 2013, 09:07:08 PM »
Reply with quote
Waaaah .... behad khoobsurat jazbaat ka reshmi bayaan ... dheron daad Aqsh ji
thnxxxxxx a lotttttttt zarra ji...
Logged
aqsh
Guest
«Reply #46 on: October 30, 2013, 09:11:21 PM »
Reply with quote
kyaa kahen aapke is rachnaa ki taarif mein, sach mein dil hi loot liyaa aapne, mazaa aa gayaa padh ke, taarif ke liye shabd nahi mil rahe hain mujhe, kyaa kahun iski taarif mein, just superb....!!!

 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause

hum chhip chhip ke aapkaa aksar humse sharmaanaa dekhte hain
zulfon ki aad  mein  chhipaake chehraa muskuraanaa dekhte hain

jaante hain hum bhi  aapko  jalan  hoti  hai  kisi aur  ko  dekh len
har baar aap  kaa  mohabbat ki aag mein  jal  jaanaa  dekhte hain

naa  ji  naa  sanam  hum  aap se nazar churaate nahi
yakeen   hai  aap  par  is  liye  aap  ko aazmaate nahi

jab  bhi  aap  hamaare   kareeb  aane kaa sochte  ho
kyaa  karen  hum,  bas  hum yahi samajh paate nahi

haalat  hi   apni  deewaano  si   ho jaati  hai  jaanaa
hum  jaan  bujh kar kabhi bhi aap ko  tadpaate nahi

aap kaa naam jahaan aayaa, woh  ghazal  kehlaayaa
ban  khud  jaati  hai, hum  koi ghazal  banaate nahi

daulat  yaa  rutbaa  kyaa  zindagi  hain aap hamaari
magar hothon se aapko yeh baat hum bataate nahi

hai mohabbat humein bepanaah aapse yeh sach hai
magar  dilki  baat aap se hum  kabhi keh paate nahi

kyaa  bataayen  hum aapko, kyaa hain hamaare liye
naa hote aap hamaare, hum kabhi muskuraate nahi

sirf  ek  naam  'Hriday'  hi  rehte  is  zamaane  mein
is  tarhaa  aap  ke  geeton ki wajah ban paate nahi

ek aap ki  mohabbat  hi  hai jeene ki wajah hamaari
naa hoti mohabbat to shaayad hum jee paate nahi

*****HRIDAY*****

notworthy notworthy notworthy notworthy notworthy notworthy notworthy  notworthy notworthy Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP

Hriday ji sabse pahele bahut bahut bahut dil ki gehraaiyon se thnxxxxxxx ki aapne apna itna waqt mujhe diya... wallah aapka yeh jawab yeh comments mujhe itna pasand aaya ki ise mai aise hi copy paste karke rakh lee hoon...Kai baar padhi phir bhi dil nahi bhara...aapke comments ne mujhe bahut hansaaya hai... ek dam masttttttttttt hai... sach mein dil se bahut bahut thnxxxxxxxx... aage bhi aise hi saath dete rahiyega...thnxxx once again.. happy3 happy3 happy3
Logged
aqsh
Guest
«Reply #47 on: October 30, 2013, 09:12:21 PM »
Reply with quote
Uff bada hi khoob andaaz hai, unke lutf uthaane ka
Mere dil meiN rehkar, mere hi dil ko tadpaate hain
Bahut Khoob Aqshji  Applause Applause
thnxxxxx ram ji...
Logged
aqsh
Guest
«Reply #48 on: October 30, 2013, 09:14:26 PM »
Reply with quote
Simply Marvellous Ashqji n Heart Touching wid 1rau
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
thnxxxxxx a lotttttt bhupinder ji.. aur rau ke liye bhi bahut bahut thnxxxxxx...
Logged
aqsh
Guest
«Reply #49 on: October 30, 2013, 09:16:01 PM »
Reply with quote
Itna Zulm Karte Hain Kya Woh
Bade Patthar Dil Phir To Aapke Wo

Mazak Dilpe Na Len Behna

Banakar meri yaadoN ko kaagaz, aur aansoo ko siyahi
Meri aankhoN ki masti ko, apni ghazal bataate hain

Ye Wala Achcha Laga Mujhey Applause

Shad o Aabaad Rahiye

Shihab
thnxxxxx a lottttttttt shihab... haan aap mazak kijiye.. mai dil par nahin leti choti choti baaton ko...thnxx for reading... duaon ke liye khaas thnxxxxxxxx Jazak Allah..
Logged
aqsh
Guest
«Reply #50 on: October 30, 2013, 09:17:18 PM »
Reply with quote

bahut khoob icon_flower icon_flower icon_flower!

Sheba ji aapke comments ke kya kehne arre hamari ghazalon par chaar chaand laga deti ho aap.. thnxxxxxxxx a lottttttttttttt sheba ji... aage bhi aise hi saath dete rahiyega..
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010

View Profile WWW
«Reply #51 on: October 30, 2013, 09:17:44 PM »
Reply with quote
Usual Smile

notworthy notworthy notworthy notworthy notworthy notworthy notworthy  notworthy notworthy Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP

Hriday ji sabse pahele bahut bahut bahut dil ki gehraaiyon se thnxxxxxxx ki aapne apna itna waqt mujhe diya... wallah aapka yeh jawab yeh comments mujhe itna pasand aaya ki ise mai aise hi copy paste karke rakh lee hoon...Kai baar padhi phir bhi dil nahi bhara...aapke comments ne mujhe bahut hansaaya hai... ek dam masttttttttttt hai... sach mein dil se bahut bahut thnxxxxxxxx... aage bhi aise hi saath dete rahiyega...thnxxx once again.. happy3 happy3 happy3
Logged
srishti raj chintak
Maqbool Shayar
****

Rau: 6
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 11 hours and 35 minutes.
Posts: 597
Member Since: Feb 2013

View Profile
«Reply #52 on: October 31, 2013, 03:27:20 PM »
Reply with quote
Hai muhabbat unhe bhi bas iqraar karna baaki hai
Meri yaadoN se apne dil ko beqaraar karna baaki hai

Meri muhabbat ko woh, is tarah aazmaate hain
Khwaabon meiN bhi mujhse, nazreiN churaate hain

Hum jab kabhi unke, qareeb jaane ka sochte hain
Woh apni qaatil adaaoN se, auroN ko lubhate hain

Uff bada hi khoob andaaz hai, unke lutf uthaane ka
Mere dil meiN rehkar, mere hi dil ko tadpaate hain

Banakar meri yaadoN ko kaagaz, aur aansoo ko siyahi
Meri aankhoN ki masti ko, apni ghazal bataate hain

Yeh rutbah yeh shohrat, sab hamari hi badaulat hai
Meri tareef meiN likhi hui, kalaam ko gungunaate hain

Hai unhe bhi muhabbat “Aqsh” se, beintehaan magar
Phir bhi use raaz ki tarah, apne dil meiN chupaate hain

Intehaaii taur par jajbaatee. Daad hee daad.
Logged
mauj
Guest
«Reply #53 on: November 01, 2013, 01:41:26 AM »
Reply with quote
its ...lovely... Usual Smile
Logged
aqsh
Guest
«Reply #54 on: November 01, 2013, 03:14:24 PM »
Reply with quote

Intehaaii taur par jajbaatee. Daad hee daad.
Thnxxxxxxx a lottttttt Shrishtiraj ji...
Logged
aqsh
Guest
«Reply #55 on: November 01, 2013, 03:15:04 PM »
Reply with quote
its ...lovely... Usual Smile
thnx a lotttttt mauj ji...
Logged
suman59
Guest
«Reply #56 on: November 01, 2013, 03:27:35 PM »
Reply with quote
Hai muhabbat unhe bhi bas iqraar karna baaki hai
Meri yaadoN se apne dil ko beqaraar karna baaki hai

Meri muhabbat ko woh, is tarah aazmaate hain
Khwaabon meiN bhi mujhse, nazreiN churaate hain

Hum jab kabhi unke, qareeb jaane ka sochte hain
Woh apni qaatil adaaoN se, auroN ko lubhate hain

Uff bada hi khoob andaaz hai, unke lutf uthaane ka
Mere dil meiN rehkar, mere hi dil ko tadpaate hain

Banakar meri yaadoN ko kaagaz, aur aansoo ko siyahi
Meri aankhoN ki masti ko, apni ghazal bataate hain

Yeh rutbah yeh shohrat, sab hamari hi badaulat hai
Meri tareef meiN likhi hui, kalaam ko gungunaate hain

Hai unhe bhi muhabbat “Aqsh” se, beintehaan magar
Phir bhi use raaz ki tarah, apne dil meiN chupaate hain

wah bahut bahut khoob likha hai aapne beta  Thumbs UP Thumbs UP
Logged
aqsh
Guest
«Reply #57 on: November 01, 2013, 03:48:56 PM »
Reply with quote
thank you soooooooooooooo much suman ji....
Logged
nikss
Guest
«Reply #58 on: November 02, 2013, 10:29:30 PM »
Reply with quote
Teri zaat ke shajar se yun mera chaman raha,
Wo be-samar shajar magar Saaya Ifgan raha,
Tera mizaaj waqti taqazo’n pe munhasir,
Mere mizaaj par wahi pehla zaman raha,
Ye medaan jahan aaj kal hy hashr ka smaa’n,
Ik dor mein kbhi tha kitna pur-aman raha,
An ginat silwaten ab tak hain par chuke’n,
Rishta hmara phir bhi hy ke be-shikan raha,
Atraaf-o-jawaanib toh mere pur-sukoon thy,
Dil tha ke jis me jalta shola-e-agan raha,
Thaama gulaab ko jo, phir toh chhor na sakay,
Umr bhr kaanto’n se yun rbt-e-chubhan raha,
Alfaaz bhi na kar sakay akaasi-e-mizaaj,
Ksh-ma-ksh me hr ghari mera hm-sukhan raha,
Mujrim qaraar de ke baa-izzat bari kiya,
Teri adaalato’n me bhi ajab ziman raha,
Be-misl khataao’n mein hun agarchy mein ‘Saadi’,
Zamana misaal de magar esa chalan raha..

 Crying
Logged
aqsh
Guest
«Reply #59 on: November 06, 2013, 01:19:32 PM »

Thnxxxxxx a lottttt for sharing it...
Logged
Pages: 1 2 3 [4]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 09:44:43 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.143 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer