Mohabbat ke aadaab kahta raha.......................................Aqsh...

by aqsh on December 03, 2013, 01:25:32 PM
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 2140 times)
aqsh
Guest
Reply with quote
Woh mere chehre ko chamakta hua, aaftaab kehta raha
Aur kabhi toh khilta hua, ek taaza gulaab kehta raha

SamjhooN toh kya samjhooN, kahooN toh kya kahooN
Sawal apne laboN par rakhkar, wohi jawab kehta raha

Meri aankhoN ko dekhkar, doobne ki tamanna kee
Kabhi jheel kaha aur kabhi, khuli kitaab kehta raha

Jab kabhi bekhudi meiN, nasha sa chhaane lag jaata hai
LaboN ko paimaane se chalakta hua, sharaab kehta raha

Rukhsaar se meri woh, bikhri hui zulfon ko hatate hue
Badli meiN kyuN chhup gaya, mera mehtaab kehta raha

Hawa se udhta mera aanchal, jo zara sa sarakh gaya
Dekhkar mere husn ko bas, woh lajawaab kehta raha

Jab bhi nazreiN mili, sirf nihaarta hi raha “Aqsh” ko
Poochne par ise woh, muhabbat ke aadaab kehta raha
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011

View Profile
«Reply #1 on: December 03, 2013, 01:28:42 PM »
Reply with quote
waah waah laajawaab peshkash dheron daad aur mubarakbaad
Logged
Bishwajeet Anand Bsu
Guest
«Reply #2 on: December 03, 2013, 01:30:45 PM »
Reply with quote
wwwaaaahhhhhhhhhhh, din ki suruaat ho to aisi Ghazal se ho...
Maza aa gaya Aqsh ji Ghazal padhkar, aisa lag raha hai jaise aapne apnii tasviir ko tahriir me dhaal diya ho...
Beautiful Ghazal ...
bahut bahut khoob...
Dheron daad kabool karein...
Applause Applause Applause Clapping Smiley Applause Applause Applause
Logged
dksaxenabsnl
YOS Friend of the Month
Yoindian Shayar
*

Rau: 109
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
20 days, 20 hours and 34 minutes.

खुश रहो खुश रहने दो l

Posts: 4127
Member Since: Feb 2013

View Profile
«Reply #3 on: December 03, 2013, 01:31:53 PM »
Reply with quote
Meri aankhoN ko dekhkar, doobne ki tamanna kee
Kabhi jheel kaha aur kabhi, khuli kitaab kehta raha
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Jab kabhi bekhudi meiN, nasha sa chhaane lag jaata hai
LaboN ko paimaane se chalakta hua, sharaab kehta raha
 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2
Rukhsaar se meri woh, bikhri hui zulfon ko hatate hue
Badli meiN kyuN chhup gaya, mera mehtaab kehta raha

 icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower

Bahut Khoobsurat Likha hai Aqsh Ji. Dheron Daad.
Logged
khujli
Guest
«Reply #4 on: December 03, 2013, 01:38:20 PM »
Reply with quote
Woh mere chehre ko chamakta hua, aaftaab kehta raha
Aur kabhi toh khilta hua, ek taaza gulaab kehta raha

SamjhooN toh kya samjhooN, kahooN toh kya kahooN
Sawal apne laboN par rakhkar, wohi jawab kehta raha

Meri aankhoN ko dekhkar, doobne ki tamanna kee
Kabhi jheel kaha aur kabhi, khuli kitaab kehta raha

Jab kabhi bekhudi meiN, nasha sa chhaane lag jaata hai
LaboN ko paimaane se chalakta hua, sharaab kehta raha

Rukhsaar se meri woh, bikhri hui zulfon ko hatate hue
Badli meiN kyuN chhup gaya, mera mehtaab kehta raha

Hawa se udhta mera aanchal, jo zara sa sarakh gaya
Dekhkar mere husn ko bas, woh lajawaab kehta raha

Jab bhi nazreiN mili, sirf nihaarta hi raha “Aqsh” ko
Poochne par ise woh, muhabbat ke aadaab kehta raha

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower
Logged
aqsh
Guest
«Reply #5 on: December 03, 2013, 01:49:12 PM »
Reply with quote
waah waah laajawaab peshkash dheron daad aur mubarakbaad
thnxxxxxxxxxxx saini sir a lotttttttt...
Logged
aqsh
Guest
«Reply #6 on: December 03, 2013, 01:50:32 PM »
Reply with quote
wwwaaaahhhhhhhhhhh, din ki suruaat ho to aisi Ghazal se ho...
Maza aa gaya Aqsh ji Ghazal padhkar, aisa lag raha hai jaise aapne apnii tasviir ko tahriir me dhaal diya ho...
Beautiful Ghazal ...
bahut bahut khoob...
Dheron daad kabool karein...
Applause Applause Applause Clapping Smiley Applause Applause Applause
thank you soooooooooooooooooooo much bishwajeet ji....
Logged
aqsh
Guest
«Reply #7 on: December 03, 2013, 01:51:18 PM »
Reply with quote
Meri aankhoN ko dekhkar, doobne ki tamanna kee
Kabhi jheel kaha aur kabhi, khuli kitaab kehta raha
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Jab kabhi bekhudi meiN, nasha sa chhaane lag jaata hai
LaboN ko paimaane se chalakta hua, sharaab kehta raha
 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2
Rukhsaar se meri woh, bikhri hui zulfon ko hatate hue
Badli meiN kyuN chhup gaya, mera mehtaab kehta raha

 icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower

Bahut Khoobsurat Likha hai Aqsh Ji. Dheron Daad.
thnxxxxxxxxxxxx a lottttttttttttttt saxena ji...
Logged
aqsh
Guest
«Reply #8 on: December 03, 2013, 01:54:10 PM »
Reply with quote

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower
thank you soooooooooo much qalb ji..
Logged
sarfira
Guest
«Reply #9 on: December 03, 2013, 03:20:59 PM »
Reply with quote
behtareen ghazal
daad daad daad

kuch cmnt krna iss ghazal par: suraj ko dia dikhana hoga:

be happy lwys

jai babaji
Usual Smile
Logged
Risk
Guest
«Reply #10 on: December 03, 2013, 04:10:51 PM »
Reply with quote
Woh mere chehre ko chamakta hua, aaftaab kehta raha
Aur kabhi toh khilta hua, ek taaza gulaab kehta raha

SamjhooN toh kya samjhooN, kahooN toh kya kahooN
Sawal apne laboN par rakhkar, wohi jawab kehta raha

Meri aankhoN ko dekhkar, doobne ki tamanna kee
Kabhi jheel kaha aur kabhi, khuli kitaab kehta raha

Jab kabhi bekhudi meiN, nasha sa chhaane lag jaata hai
LaboN ko paimaane se chalakta hua, sharaab kehta raha

Rukhsaar se meri woh, bikhri hui zulfon ko hatate hue
Badli meiN kyuN chhup gaya, mera mehtaab kehta raha

Hawa se udhta mera aanchal, jo zara sa sarakh gaya
Dekhkar mere husn ko bas, woh lajawaab kehta raha

Jab bhi nazreiN mili, sirf nihaarta hi raha “Aqsh” ko
Poochne par ise woh, muhabbat ke aadaab kehta raha

very nice
Logged
sahal
Umda Shayar
*

Rau: 109
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
47 days, 4 hours and 0 minutes.

love is in the Air,but CuPiD is alone here.

Posts: 4410
Member Since: Sep 2012

View Profile WWW
«Reply #11 on: December 03, 2013, 04:22:37 PM »
Reply with quote
Meri aankhoN ko dekhkar, doobne ki tamanna kee
Kabhi jheel kaha aur kabhi, khuli kitaab kehta raha

waah waah waaaah Aqsh ji bohut hi khoobsurti se apne
kisi ke tareef ke jumlon ko apni zubani pesh kiya hai .

lajawaab ghazal RAU dena chahunga ,,, zaroori lag raha hai .

Clapping SmileyClapping SmileyClapping SmileyClapping SmileyClapping Smiley

F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #12 on: December 03, 2013, 04:40:10 PM »
Reply with quote

Rukhsaar se meri woh, bikhri hui zulfon ko hatate hue
Badli meiN kyuN chhup gaya, mera mehtaab kehta raha

Jab bhi nazreiN mili, sirf nihaarta hi raha “Aqsh” ko
Poochne par ise woh, muhabbat ke aadaab kehta raha

[/quote

beautiful , kya kahne . Bahut khubsurat ashaar hain ,
khubsurat ghazal . Aqsh ji bahut bahut mubarakbaad.
Logged
SURESH SANGWAN
Guest
«Reply #13 on: December 03, 2013, 08:22:05 PM »
Reply with quote
Rukhsaar se meri woh, bikhri hui zulfon ko hatate hue
Badli meiN kyuN chhup gaya, mera mehtaab kehta raha

Hawa se udhta mera aanchal, jo zara sa sarakh gaya
Dekhkar mere husn ko bas, woh lajawaab kehta raha

 Applause
 Applause Applause
 Applause Applause Applause
 Applause Applause Applause Applause
 Applause Applause Applause Applause Applause
wah waah waah bahut pasand aaya ye kalaam aqsh ji
 
ek rau pesh hai kubool farmaayen.
Logged
premdeep
Guest
«Reply #14 on: December 03, 2013, 08:37:27 PM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower love9 love9 love9 love9 love9 love9 love9 love4 love4 love4 mere man ki baat to is gazal mein keh di aapne love4 wah wah wah   +rau
Logged
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 24, 2024, 04:19:07 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.16 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer