Mohabbat Kee Qasam Kuchh Kuchh*****Satish Shukla 'Raqeeb'

by Satish Shukla on June 14, 2011, 07:50:44 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 3664 times)
Satish Shukla
Khususi Shayar
*****

Rau: 51
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
25 days, 6 hours and 16 minutes.

Posts: 1862
Member Since: Apr 2011


View Profile
Reply with quote
 

[This Ghazal has already been posted in Hindi(Devnagri Script)
on huge public demand now being reposted in Roman - Raqeeb]


pareshaaN hai mera dil, meri aaNkheN bhi haiN nam kuchh kuchh
asar aNdaaz mujhpar ho raha hai tera gam kuchh kuchh

woH armaaN ab to nikleNge, rahe jo muddatoN dil meN
khuda ke fazl se chalne laga mera qalam  kuchh kuchh

Khabar sunkar mere aane kee, sakhiyoN se woH kahti haiN
khushee se dil dhadaktaa hai mohabbat kee qasam kuchh kuchh

zarooree to naheeN hai khwahisheN sab dil kee hoN pooree
magar mumkin hai, gar shaamil khuda kaa ho karam kuchh kuchh

zameeN par paaNw rakhte bhi, kabhee dekha naiheeN jinko
jo chalne kee sayee kee to haiN larzeedaH kadam kuchh kuchh

mere ehsaas par bhee chhaa gayee wahdaaniyat dekho
mujhe bhee aa rahee hai ab to, khushboo-e-haram kuchh kuchh

qareeb apne jo aayegaa, woh chaahe ho ‘Raqeeb’ apna
magar rakhkheNge ham uski, mohabbat ka bharam kuchh kuchh
 
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #1 on: June 15, 2011, 08:51:31 AM »
Reply with quote


[This Ghazal has already been posted in Hindi(Devnagri Script)
on huge public demand now being reposted in Roman - Raqeeb]


pareshaaN hai mera dil, meri aaNkheN bhi haiN nam kuchh kuchh
asar aNdaaz mujhpar ho raha hai tera gam kuchh kuchh

woH armaaN ab to nikleNge, rahe jo muddatoN dil meN
khuda ke fazl se chalne laga mera qalam  kuchh kuchh

Khabar sunkar mere aane kee, sakhiyoN se woH kahti haiN
khushee se dil dhadaktaa hai mohabbat kee qasam kuchh kuchh

zarooree to naheeN hai khwahisheN sab dil kee hoN pooree
magar mumkin hai, gar shaamil khuda kaa ho karam kuchh kuchh

zameeN par paaNw rakhte bhi, kabhee dekha naiheeN jinko
jo chalne kee sayee kee to haiN larzeedaH kadam kuchh kuchh

mere ehsaas par bhee chhaa gayee wahdaaniyat dekho
mujhe bhee aa rahee hai ab to, khushboo-e-haram kuchh kuchh

qareeb apne jo aayegaa, woh chaahe ho ‘Raqeeb’ apna
magar rakhkheNge ham uski, mohabbat ka bharam kuchh kuchh
 


Bahut bahut Khooob Satish Ji..

Bahut Achi Ghazal Likhi Hai Aapne..

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Satish Shukla
Khususi Shayar
*****

Rau: 51
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
25 days, 6 hours and 16 minutes.

Posts: 1862
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #2 on: June 15, 2011, 10:22:17 AM »
Reply with quote

khwaish ji,

thanks a lot for reading, liking and
replying....

Satish Shukla 'Raqeeb'
Logged
manzil-e-ishq
Guest
«Reply #3 on: June 15, 2011, 01:30:34 PM »
Reply with quote
bht bht khoob satish ji...
Logged
Satish Shukla
Khususi Shayar
*****

Rau: 51
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
25 days, 6 hours and 16 minutes.

Posts: 1862
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #4 on: June 15, 2011, 04:47:16 PM »
Reply with quote

Priya Ji,

Thanks a lot for liking and replying.

Satish Shukal 'Raqeeb'
Logged
mamta bajpai
Guest
«Reply #5 on: June 16, 2011, 01:17:07 AM »
Reply with quote
 Hats off to you! Hats off to you! Hats off to you! Hats off to you! Hats off to you!

waaaah waaah waaaaaaaaah!!!!!kyaaa baat hai!!!!
ek mukammal gazal ko paRhane ka lutf hee kuchh aur hai.......khoobsoorat alfaaz,umdah soch kee numaaindagee kartee aap kee ye gazal naayaab hai....dheroN badhaayee!!!!!!
Logged
Satish Shukla
Khususi Shayar
*****

Rau: 51
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
25 days, 6 hours and 16 minutes.

Posts: 1862
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #6 on: June 16, 2011, 04:28:11 AM »
Reply with quote

Mamta Ji,

Ghazal padhne, pasand karne aur jawaab dene ke
liye bahut bahut shukriya.

Gaib kee aamad hai, kab aayegee aur kis roop
men alfaaz men bandh jaayegi khud ko bhee naheen
maalom hota.

Waise is tarah kee qalaam kam hee huaa karte hain
kisee shayar ke jeewan men, aur mera to ye sabse
jyada pasandeeda qalaam hai.
 
Satish Shukla 'Raqeeb'
 
Logged
Manish Kumar Khedawat
Guest
«Reply #7 on: June 16, 2011, 06:28:30 PM »
Reply with quote
bahut khoobsurat gazal SATISH zi
 Clapping Smiley Applause Applause Clapping Smiley

gazal aapki pedne pe ,dil se aawaz aayi hai kuch kuch
kahi tareef likhne ko lawz kam na pad jaye kuch kuch
Logged
Satish Shukla
Khususi Shayar
*****

Rau: 51
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
25 days, 6 hours and 16 minutes.

Posts: 1862
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #8 on: June 16, 2011, 06:53:47 PM »
Reply with quote

Bahut...Bahut...Shukriya Manish Ji
jawaab dene ke liye.

Ghazal padhkar to aapne bahut achchha
she'r bhi kah diya usee bahr men, mujhe
to bahhut waqt laga ye ghazal kahne men.

Aage bhee saath nibhate rahiyega.

Satish Shukla 'Raqeeb'
 
Logged
nirala
Guest
«Reply #9 on: June 17, 2011, 03:47:24 AM »
Reply with quote
wah ye hui na bat……
aap jese ache shayr ka hi wait krta hu mai…
bht khubsurat aur pyari ghazal.
mujhe adhuri chije pasand nai aati chahe jitna b acha ho…
poori ghazal parh ke dil ko bht sukun mila.
thanx.
Logged
Satish Shukla
Khususi Shayar
*****

Rau: 51
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
25 days, 6 hours and 16 minutes.

Posts: 1862
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #10 on: June 17, 2011, 05:07:19 AM »
Reply with quote

Nirala Ji,

Aapka jawab padhkar achchha laga pooree
ghazal padhne, pasand karne aur Jawab dene
ka bahut bahut shukriya.

Bhavishya men bhee aalochanaatmak pratikriya
karte rahen, shayad kuchh aur seekhane ko mil
jaaye.

Hardik Aabhaar,

Satish Shujkla 'Raqeeb'
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #11 on: June 17, 2011, 09:05:58 AM »
Reply with quote
Janab Satish Shukla Ji! Adab o Tasleemaat!

Aapki ghazal ka har aik sher dil ko chhoone waala hai. Bahut hi murassa aur me.aari ghazal hai ye aapki. Dua karta hooN k zore-qalam aur ziyadah..... Aapke sirf aik sher ki taareef o tauseef meiN maiN ne barjasta aik sher kaha tha jo kuchh yuN tha:

Arooz o fun meiN likhta ja raha hai kya qalam kuchh kuchh
Tumhaare sher meiN dekha hai maiN ne dum-ba-dum kuchh kuchh

Aur aaj aapki ghazal ke poore ashaar paRhne ke baad phir dil se ye aawaaz aa gayee:

Sahar se baiThe haiN aakar tire kooche meiN jaan-e-jaaN
NigaahoN se pila do jaam gar chaaho sanam kuchh kuchh

Aik nihaayat achchhi ghazal k liye mubarakbaad k saath saath hazaroN daad qubul kijiye.

(waquif ansari)



[This Ghazal has already been posted in Hindi(Devnagri Script)
on huge public demand now being reposted in Roman - Raqeeb]


pareshaaN hai mera dil, meri aaNkheN bhi haiN nam kuchh kuchh
asar aNdaaz mujhpar ho raha hai tera gam kuchh kuchh

woH armaaN ab to nikleNge, rahe jo muddatoN dil meN
khuda ke fazl se chalne laga mera qalam  kuchh kuchh

Khabar sunkar mere aane kee, sakhiyoN se woH kahti haiN
khushee se dil dhadaktaa hai mohabbat kee qasam kuchh kuchh

zarooree to naheeN hai khwahisheN sab dil kee hoN pooree
magar mumkin hai, gar shaamil khuda kaa ho karam kuchh kuchh

zameeN par paaNw rakhte bhi, kabhee dekha naiheeN jinko
jo chalne kee sayee kee to haiN larzeedaH kadam kuchh kuchh

mere ehsaas par bhee chhaa gayee wahdaaniyat dekho
mujhe bhee aa rahee hai ab to, khushboo-e-haram kuchh kuchh

qareeb apne jo aayegaa, woh chaahe ho ‘Raqeeb’ apna
magar rakhkheNge ham uski, mohabbat ka bharam kuchh kuchh
 

Logged
Satish Shukla
Khususi Shayar
*****

Rau: 51
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
25 days, 6 hours and 16 minutes.

Posts: 1862
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #12 on: June 17, 2011, 10:27:38 AM »
Reply with quote

Ansari Sahab,

Ghazal padhne, passand karne aur jawab de ka
bahut bahut shukriya..

Waah...Waah...bahut khoob kaha hai
kya khoob misra hai...nigaahoN se pila do jaam gar....

Isee pash manzar par ek qataah bhi YO par abhee bhee
main page men hee hai, heading hai (Gaal Gulaabee Baal....)
waqt ho to nazar-e-inayat farmaayen.

Satish Shukla 'Raqeeb'
 
Logged
sbechain
Guest
«Reply #13 on: March 26, 2012, 11:45:45 AM »
Reply with quote


[This Ghazal has already been posted in Hindi(Devnagri Script)
on huge public demand now being reposted in Roman - Raqeeb]


pareshaaN hai mera dil, meri aaNkheN bhi haiN nam kuchh kuchh
asar aNdaaz mujhpar ho raha hai tera gam kuchh kuchh
bahut khoob..........! Applause Applause Applause Applause
woH armaaN ab to nikleNge, rahe jo muddatoN dil meN
khuda ke fazl se chalne laga mera qalam  kuchh kuchh
ji, aap ka kalaam bhi alaa hai aur qalm bhi alaa. koi shubha hi nahin isme Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Khabar sunkar mere aane kee, sakhiyoN se woH kahti haiN
khushee se dil dhadaktaa hai mohabbat kee qasam kuchh kuchh
wah wah aur wah.main ye khushi mehsoos karne lagi aapke is sher se Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
zarooree to naheeN hai khwahisheN sab dil kee hoN pooree
magar mumkin hai, gar shaamil khuda kaa ho karam kuchh kuchh
sirf khuda ki meharbaani chahiye ji. Applause Applause Applause Applause
zameeN par paaNw rakhte bhi, kabhee dekha naiheeN jinko
jo chalne kee sayee kee to haiN larzeedaH kadam kuchh kuchh
kya khoob.........! Applause Applause Applause
mere ehsaas par bhee chhaa gayee wahdaaniyat dekho
mujhe bhee aa rahee hai ab to, khushboo-e-haram kuchh kuchh
kya kahne janaab wah wah Applause Applause Applause Applause
qareeb apne jo aayegaa, woh chaahe ho ‘Raqeeb’ apna
magar rakhkheNge ham uski, mohabbat ka bharam kuchh kuchh
 

maqta iss ghazal ki jaan rahaa. aur haan khush rahne ke liye kabhi-kabhi aisa bharam zaruri bhi hai Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


very very................... Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley..!!!
Logged
Satish Shukla
Khususi Shayar
*****

Rau: 51
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
25 days, 6 hours and 16 minutes.

Posts: 1862
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #14 on: March 26, 2012, 12:57:27 PM »
Reply with quote

Sheba Ji,

Nazar-e-inayat aur hausala aafzai
ka bahut bahut shukriya.

Bahut pahle ye ghazal YO par post kee thee
aaj aapka comment padhkar bahut achchha
laga kal raat hi ek Mushayre men ye padhee
bhi thi.

Waise Bikaner ke ek kalakaar, Rajendra Ji ne
ye ghazal gaayee bhi hai trial basis par.

Satish Shukla 'Raqeeb'
 
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 04:39:12 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.115 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer