"Muddat huii kisi se laRaaii nahiN huii".

by Ghulam Haider on November 03, 2008, 01:07:38 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1747 times)
Ghulam Haider
Guest
Reply with quote
Muddat huii kisi se laRaaii nahiN huii.
A'rse se buz diloN ki piTaaii nahiN huii.

BaiThe haiN chhup ke teer o kamaN leke fitna saaz,
ham ko udheR-bun ki salaaii nahiN huii.

Ham khaali haath ho ke bhi maidaan meN rahe,
Ham se zabar kisi ki kalaaii nahiN huii.

Gulshan meN ghaas-phoNs panapne lagi bohot,
Kab se yahaN pe koii safaaii nahiN huii.

Woh sheer-e-gaaomeesh haiN pee kar baRe huye,
Aql o khirad ki un se baRaaii nahiN huii.

Jeene na deN kisi ko agar un ka bas chale,
Achha huaa ke un ki khudaaii nahiN huii.

Ham saaf saaf kehte haiN muNh toR muNh pe baat,
Peechhe kisi ke ham se buraaii nahiN huii.

Uljhan meN zulf-e-yaar ki uljhi rahi nazar,
Suljhai zulf laakh, rihaaii nahiN huii.

Woh baat kya ke jis ka na matlab nikal sake,
Woh doodh kya ke jis pa malaaii nahiN huii.

Aashiq mizaaj, dil hai baRaa, shaae'raana fikr,
HaiN dar ba dar pa ham se gedaaii nahiN huii.

Khaamosh bazm-e-khair se jaate hain Khaali haath,
Be daad aaj koii kamaaii nahiN huii.

"haider" nigaah-e-bad se ye kaavish bachi rahi,
Is par kisi tarah ki tavaaii nahiN huii.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
"Tu Mili Bhi Nahin" by Qutubuddin in Shayri for Dard -e- Judai
nazm ulajhii huii hai siine me.n by DJ Goher in Shayri for Khumar -e- Ishq
"MAIN KISI QAABIL NAHI" by KIKANI in Shayri-E-Dard
"USKI KISI DUA MEIN MERA ZIKAR HUA HI NAHI" by k.shael in Shayeri for Dard -e- Bewafai « 1 2  All »
~~"Bata Nahin Sakte"~~ by Sammual in Shayri for Dard -e- Judai
sajid_ghayel
Guest
«Reply #1 on: November 03, 2008, 02:51:27 PM »
Reply with quote
KOSHISH TO BOHAT KI THI BANU, TUJSA MAIN BHI HAIDER
AFSOS MAGAR GHAYEL SE BEWAFAIEE NAHI HUI

HAIDER MAIN TUMHARE KALAM KO GOOD KEHNA YA ICON BANANA BOHAT MAMULI BAAT SAMJTA HU UM TAREEF SE BHI BOHAT UCHA LIKHTE HO BAS MERI 2 LINO KO HI DAD SAMAJ LIYA KARO




Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #2 on: November 03, 2008, 02:58:59 PM »
Reply with quote
KOSHISH TO BOHAT KI THI BANU, TUJSA MAIN BHI HAIDER
AFSOS MAGAR SE GHAYEL SE BEWAFAIEE NAHI HUI

HAIDER MAIN TUMHARE KALAM KO GOOD KEHNA YA ICON BANANA BOHAT MAMULI BAAT SAMJTA HU UM TAREEF SE BHI BOHAT UCHA LIKHTE HO BAS MERI 2 LINO KO HI DAD SAMAJ LIYA KARO






Kya kehte ho saajid bhai...
aap ka aik lafz daad ke liye bohot hai. MaiN jaanta hoN ke aap meri poetry dil se pasand karte ho....
Thanks
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #3 on: November 05, 2008, 06:22:54 AM »
Reply with quote
"Khaamosh bazm-e-khair se jaate hain Khaali haath,
Be daad aaj koii kamaaii nahiN huii."


Masha-Allah... Usual Smile
Kya khoob kaha hai aapne Ghulam Haidar Ji...
Sach mein, Beshkeemti peshkash... Applause
Likhte rahiye, aur humko padhne ka mauka dete rahiye... Thumbs UP
Logged
Talat
Guest
«Reply #4 on: November 05, 2008, 01:50:53 PM »
Reply with quote
Muddat huii kisi se laRaaii nahiN huii.
A'rse se buz diloN ki piTaaii nahiN huii.

BaiThe haiN chhup ke teer o kamaN leke fitna saaz,
ham ko udheR-bun ki salaaii nahiN huii.

Ham khaali haath ho ke bhi maidaan meN rahe,
Ham se zabar kisi ki kalaaii nahiN huii.

Gulshan meN ghaas-phoNs panapne lagi bohot,
Kab se yahaN pe koii safaaii nahiN huii.

Woh sheer-e-gaaomeesh haiN pee kar baRe huye,
Aql o khirad ki un se baRaaii nahiN huii.

Jeene na deN kisi ko agar un ka bas chale,
Achha huaa ke un ki khudaaii nahiN huii.

Ham saaf saaf kehte haiN muNh toR muNh pe baat,
Peechhe kisi ke ham se buraaii nahiN huii.

Uljhan meN zulf-e-yaar ki uljhi rahi nazar,
Suljhai zulf laakh, rihaaii nahiN huii.

Woh baat kya ke jis ka na matlab nikal sake,
Woh doodh kya ke jis pa malaaii nahiN huii.

Aashiq mizaaj, dil hai baRaa, shaae'raana fikr,
HaiN dar ba dar pa ham se gedaaii nahiN huii.

Khaamosh bazm-e-khair se jaate hain Khaali haath,
Be daad aaj koii kamaaii nahiN huii.

"haider" nigaah-e-bad se ye kaavish bachi rahi,
Is par kisi tarah ki tavaaii nahiN huii.

Humesha ki tarah Bohot Khoobsurat, Haider Ji Applause
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #5 on: November 07, 2008, 03:03:33 PM »
Reply with quote
KOSHISH TO BOHAT KI THI BANU, TUJSA MAIN BHI HAIDER
AFSOS MAGAR GHAYEL SE BEWAFAIEE NAHI HUI

HAIDER MAIN TUMHARE KALAM KO GOOD KEHNA YA ICON BANANA BOHAT MAMULI BAAT SAMJTA HU UM TAREEF SE BHI BOHAT UCHA LIKHTE HO BAS MERI 2 LINO KO HI DAD SAMAJ LIYA KARO





Tashakkur Saajid bhai. Maza aaya hoga zuroor.
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #6 on: November 07, 2008, 03:11:34 PM »
Reply with quote
"Khaamosh bazm-e-khair se jaate hain Khaali haath,
Be daad aaj koii kamaaii nahiN huii."


Masha-Allah... Usual Smile
Kya khoob kaha hai aapne Ghulam Haidar Ji...
Sach mein, Beshkeemti peshkash... Applause
Likhte rahiye, aur humko padhne ka mauka dete rahiye... Thumbs UP
Ye to maiN ne tafreeh aur mizaah ke taur par likhi hai taake paRhne waale ko achha lage.
Pasand karne ke liye shukriya.
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #7 on: November 07, 2008, 03:18:23 PM »
Reply with quote
Celmira ji,
Jo kalaam aap ki khoobsurat nigaahoN se guzar kar aap ki daad pa le wo yaqeenan khoobsurat hai.
Aap ka intehaai shukr guzaar hoN.
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #8 on: July 08, 2010, 12:28:46 PM »
Reply with quote
"Khaamosh bazm-e-khair se jaate hain Khaali haath,
Be daad aaj koii kamaaii nahiN huii."


Masha-Allah... Usual Smile
Kya khoob kaha hai aapne Ghulam Haidar Ji...
Sach mein, Beshkeemti peshkash... Applause
Likhte rahiye, aur humko padhne ka mauka dete rahiye... Thumbs UP
Dil ko iHsaas kami ka kyoN ho,
Qemati daad hameN milti hai.
  Aap dostoN ki mohabbat se ziyada qeemati shai kuchh nahiN. Thanks v.m.
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #9 on: July 14, 2010, 10:19:45 AM »
Reply with quote
Wah wah wah Janab Ghulam Haider Saheb!Ghazab kar diya aapne janaab, kya kya kahte haiN, kaise kahte haiN magar kamaal ki kahte haiN. Aik aik sher apne andar jaadui kaifiyat liye hue hai jo teer ki tarah kaleje se ja lagta hai. Khoob aur bahut khoob janaab. HazaroN daad qubul kijiye in chand tukbandiyoN ke saath:

Kya kya bataauN kis se laRaayee nahiN hui
Lekin ghalat ki mujh se baRaayee nahiN hui

Be-bahr misroN ko hi ghazal kah rahe haiN kuchh
Lagta hai fun meiN inki paRhaayee nahiN hui

Bilkul baja hai baat sabhi aapki janaab
Muddat hui ghazal ki baRaayee nahiN hui

(Waquif Ansari)

Muddat huii kisi se laRaaii nahiN huii.
A'rse se buz diloN ki piTaaii nahiN huii.

BaiThe haiN chhup ke teer o kamaN leke fitna saaz,
ham ko udheR-bun ki salaaii nahiN huii.

Ham khaali haath ho ke bhi maidaan meN rahe,
Ham se zabar kisi ki kalaaii nahiN huii.

Gulshan meN ghaas-phoNs panapne lagi bohot,
Kab se yahaN pe koii safaaii nahiN huii.

Woh sheer-e-gaaomeesh haiN pee kar baRe huye,
Aql o khirad ki un se baRaaii nahiN huii.

Jeene na deN kisi ko agar un ka bas chale,
Achha huaa ke un ki khudaaii nahiN huii.

Ham saaf saaf kehte haiN muNh toR muNh pe baat,
Peechhe kisi ke ham se buraaii nahiN huii.

Uljhan meN zulf-e-yaar ki uljhi rahi nazar,
Suljhai zulf laakh, rihaaii nahiN huii.

Woh baat kya ke jis ka na matlab nikal sake,
Woh doodh kya ke jis pa malaaii nahiN huii.

Aashiq mizaaj, dil hai baRaa, shaae'raana fikr,
HaiN dar ba dar pa ham se gedaaii nahiN huii.

Khaamosh bazm-e-khair se jaate hain Khaali haath,
Be daad aaj koii kamaaii nahiN huii.

"haider" nigaah-e-bad se ye kaavish bachi rahi,
Is par kisi tarah ki tavaaii nahiN huii.
Logged
aaina
Guest
«Reply #10 on: July 17, 2010, 05:38:22 AM »
Reply with quote
Haidar sahab kya kehne haiN bhut hi khoob paishkash, saare ke saare aashaar bhut hi khooob is khoobsurat takhleeq ke liyn dil se daad hazir hai qubool keejiye



aslam
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 09, 2024, 02:21:04 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.099 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer