Mufliso.N ke ghar lekin khudkushi ka daar bhi hai - Qadeertoopchi

by qadeer_junaid on June 13, 2011, 04:02:22 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1213 times)
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
Reply with quote
Haaye shahr-e-munsif kya ye tujhe khabar bhi hai
Sar kataane ki saff me begunah ka sar bhi hai

Betiya.N meri yun to khush hamesha raheti hain
Mufliso.N ke ghar lekin khudkushi ka darr bhi hai
...
Haat sainkdo.N yun to uthte hai.N duao.N ko
Khuch hain beasar lekin khuch me to asar bhi hai

Kya kahon ke tere bin hai mera guzar kaise
Roz marta jeeta hon kya tujhe khabar bhi hai

gham qadeer aate hain par ye dars dete hain
mushkilo.N ke har shab ki khushnuma saher bhi hai

Qadeertoopchi
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #1 on: June 13, 2011, 04:22:25 PM »
Reply with quote
Bahut Khoooooooob... Kya Baat hai Qadeer Bhai... ek Mukammal Gazal Padhne ko Mili Bahut Dino baad.. Bahut Bahut Khooooob.. Daad Kuboool Karen dil se.. Applause Applause Applause




**~** Mann **~**
Logged
Anshumali
Guest
«Reply #2 on: June 13, 2011, 05:38:00 PM »
Reply with quote
Betiya.N meri yun to khush hamesha raheti hain
Mufliso.N ke ghar lekin khudkushi ka darr bhi hai


Good One ... Qadeer Sahab !

Very Impressive & Good Expressions ...

dilee mubaaraqbaad aur daad qubuul kareN .. !
Applause Applause Applause Applause Applause Applause

Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #3 on: June 13, 2011, 05:39:40 PM »
Reply with quote
Waah waah Waah Kya baat hai Qadeer Ji.. Bahoot Bahoot Khoob Likha hai... Ak Ak sher Mea ak Sachi baat chupi hai.. Bahoot Umda !

Divya
Logged
dead heart
Guest
«Reply #4 on: June 13, 2011, 06:34:03 PM »
Reply with quote
Ek mukamal ghazal hai yeh Qadeer sahab..
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Tariff kay lavz nahin hai mere paas..
Khush rahiye.!
Logged
mamta bajpai
Guest
«Reply #5 on: June 14, 2011, 06:25:08 AM »
Reply with quote
 Hats off to you! Hats off to you! Hats off to you! Hats off to you! Hats off to you! Hats off to you!
Speachless!!!!!!mindblowing!!!!!!!!!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #6 on: June 14, 2011, 07:22:08 AM »
Reply with quote
Haaye shahr-e-munsif kya ye tujhe khabar bhi hai
Sar kataane ki saff me begunah ka sar bhi hai

Betiya.N meri yun to khush hamesha raheti hain
Mufliso.N ke ghar lekin khudkushi ka darr bhi hai
...
Haat sainkdo.N yun to uthte hai.N duao.N ko
Khuch hain beasar lekin khuch me to asar bhi hai

Kya kahon ke tere bin hai mera guzar kaise
Roz marta jeeta hon kya tujhe khabar bhi hai

gham qadeer aate hain par ye dars dete hain
mushkilo.N ke har shab ki khushnuma saher bhi hai

Qadeertoopchi


Bahut Bahut Aur bahut Khoob!!!

Pehle Do A'shaar Par To Hazaaro Daad Qadeer Bhai..

Bahut Khooooooooob!!! Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Satish Shukla
Khususi Shayar
*****

Rau: 51
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
25 days, 6 hours and 16 minutes.

Posts: 1862
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #7 on: June 14, 2011, 09:37:51 AM »
Reply with quote

Waah...waah Abdul Qadeer Sahab kya baat hai..
maza aa gaya...dili mubaraqbaad qubool karen.

Satish Shukla 'Raqeeb'

Logged
adil bechain
Umda Shayar
*

Rau: 161
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
31 days, 18 hours and 24 minutes.

Posts: 6552
Member Since: Mar 2009


View Profile
«Reply #8 on: June 14, 2011, 10:08:49 AM »
Reply with quote
Haaye shahr-e-munsif kya ye tujhe khabar bhi hai
Sar kataane ki saff me begunah ka sar bhi hai

Betiya.N meri yun to khush hamesha raheti hain
Mufliso.N ke ghar lekin khudkushi ka darr bhi hai
...
Haat sainkdo.N yun to uthte hai.N duao.N ko
Khuch hain beasar lekin khuch me to asar bhi hai

Kya kahon ke tere bin hai mera guzar kaise
Roz marta jeeta hon kya tujhe khabar bhi hai

gham qadeer aate hain par ye dars dete hain
mushkilo.N ke har shab ki khushnuma saher bhi hai

Qadeertoopchi


    paseejti hain aakhein kisi ke guzar jaane par bechain,
    lakin tumhein maloom kya ye qaatilo.N ka shahar bhi hai




 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
    
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #9 on: June 14, 2011, 12:19:01 PM »
Reply with quote
Qadeer Sahaab Aadaab!


Waah janab bazm meiN aapki shirkat aur us par aik nayi
kalaam bahut khushi huyi aapko jald hi padhkar .. Usual Smile

Laa jawaab ahsaas O khayaal aur umda kavish par likha hai aapne
janab ....... aapki is khub khayaal aur dilfareb kalaam par
dil se hazaaroN daad hazir hai.... Usual Smile
 Applause Applause Applause Applause Applause
Likhate rahiye...... Usual Smile


Aate rahiye.......
Khush O aabaad rhaiye...
Khuda Hafez Usual Smile



Haaye shahr-e-munsif kya ye tujhe khabar bhi hai
Sar kataane ki saff me begunah ka sar bhi hai

Kia kahne janab waah.. behad khub matla kaha hai..
behad tanziyaa aur behad sahiN farmaya janab daad daad Usual Smile



Betiya.N meri yun to khush hamesha raheti hain
Mufliso.N ke ghar lekin khudkushi ka darr bhi hai
...
Gazab janab gazab ...... Masha Allah kia soch ko
anjaam diyaa hai aapne.. behad khoob janab daad daad daad Usual Smile


Haat sainkdo.N yun to uthte hai.N duao.N ko
Khuch hain beasar lekin khuch me to asar bhi hai

Bahut sahiN janab.... Usual Smile

Kya kahon ke tere bin hai mera guzar kaise
Roz marta jeeta hon kya tujhe khabar bhi hai

Achcha hai janab daad Usual Smile

gham qadeer aate hain par ye dars dete hain
mushkilo.N ke har shab ki khushnuma saher bhi hai

Waah janab bahut khoob daad daad daad Usual Smile

Qadeertoopchi

Logged
AbhiTamrakar
Guest
«Reply #10 on: June 15, 2011, 10:57:55 AM »
Reply with quote
kyaa baat hai qadeer sahab......bade lambe arse bad padha aaj apko dil khush ho gaya~
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #11 on: June 17, 2011, 03:13:23 PM »
Reply with quote
Qadeer saheb,bahut khoobsoorat,sanjeeda kalaam se nawaaza.Maqta mei.n  hausla bakhsh optimism bahut achhi lagi. Dil se daad. Hasan
Logged
sbechain
Guest
«Reply #12 on: June 20, 2011, 08:15:25 AM »
Reply with quote
Haaye shahr-e-munsif kya ye tujhe khabar bhi hai
Sar kataane ki saff me begunah ka sar bhi hai

Betiya.N meri yun to khush hamesha raheti hain
Mufliso.N ke ghar lekin khudkushi ka darr bhi hai
...
Haat sainkdo.N yun to uthte hai.N duao.N ko
Khuch hain beasar lekin khuch me to asar bhi hai

Kya kahon ke tere bin hai mera guzar kaise
Roz marta jeeta hon kya tujhe khabar bhi hai

gham qadeer aate hain par ye dars dete hain
mushkilo.N ke har shab ki khushnuma saher bhi hai

Qadeertoopchi


BAHUT BAHUT KHOOB QADEER SAHAB
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #13 on: June 22, 2011, 10:46:52 AM »
Reply with quote
Bahut Khoooooooob... Kya Baat hai Qadeer Bhai... ek Mukammal Gazal Padhne ko Mili Bahut Dino baad.. Bahut Bahut Khooooob.. Daad Kuboool Karen dil se.. Applause Applause Applause




**~** Mann **~**

janab-e-mann , mann sahab aadab ,,

ghazal pe apka tabsera faqr ka baaic bana ,, apne meri bharpoor hausla afzai ke hai jiske liye mai apka dil ki tamamtar gaheraiyun se shukriyah ada karta hon ..Allah apko khush rakhe ..

dua go

qadeertoopchi
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 05:52:20 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.141 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer