Mufliso.N ke ghar lekin khudkushi ka Darr bhi hai ( Qadeertoopchi )

by qadeer_junaid on March 01, 2011, 08:12:31 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1236 times)
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
Reply with quote
Yaarane Bazm aadab o tasleemat ,,

Ik Taweel arse ke baad apki bazm me tashreef farma hun apni ik muqtaqsar ghazal ke saat umid hai apni khimti ara se nawazenge ...


Haaye shahr-e-munsif kya ye tujhe khabar bhi hai
Sar kataane ki saff me begunah ka sar bhi hai



Betiya.N meri yun to khush hamesha raheti hain
Mufliso.N ke ghar lekin khudkushi ka darr bhi hai



Haat sainkdo.N yun to uthte hai.N duao.N ko
Khuch hain beasar lekin khuch me to asar bhi hai



Kya kahon ke tere bin hai mera guzaar kaise
Roz marta jeeta hon kya tujhe khabar bhi hai



gham qadeer aate hain par ye dars dete hain
mushkilo.N ke har shab ki khushnuma saher bhi hai




Qadeertoopchi
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
khudkushi by sankalp in Shayari-e-Parastish
khudkushi by injured.warrior in Shairi - E - Zindagi
chalo ghar ghar batei.n khushi...happy diwali ....from Irshad by irshad ahmed siddiqui in Ghazals
Mufliso.N ke ghar lekin khudkushi ka daar bhi hai - Qadeertoopchi by qadeer_junaid in Ghazals
Subah ke Saath nikal Jata Hun ghar se lekin by yaadein in Share:Miscellaneous Shayari
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #1 on: March 01, 2011, 08:17:16 AM »
Reply with quote
Yaarane Bazm aadab o tasleemat ,,

Ik Taweel arse ke baad apki bazm me tashreef farma hun apni ik muqtaqsar ghazal ke saat umid hai apni khimti ara se nawazenge ...


Haaye shahr-e-munsif kya ye tujhe khabar bhi hai
Sar kataane ki saff me begunah ka sar bhi hai



Betiya.N meri yun to khush hamesha raheti hain
Mufliso.N ke ghar lekin khudkushi ka darr bhi hai



Haat sainkdo.N yun to uthte hai.N duao.N ko
Khuch hain beasar lekin khuch me to asar bhi hai



Kya kahon ke tere bin hai mera guzaar kaise
Roz marta jeeta hon kya tujhe khabar bhi hai



gham qadeer aate hain par ye dars dete hain
mushkilo.N ke har shab ki khushnuma saher bhi hai




Qadeertoopchi


Bahut bahut Aur bahut Khoob Qadeer Bhai..

Har Ek Sher Apne Hisse Ki Kahani kehta Hua..

Bahut Ache Qadeer Bhai Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
manjum
Guest
«Reply #2 on: March 01, 2011, 08:37:03 AM »
Reply with quote
bahut khub qadeerji... kamal ki shayari hai aapki.... bahut khub...

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #3 on: March 01, 2011, 08:54:57 AM »
Reply with quote
Yaarane Bazm aadab o tasleemat ,,

Ik Taweel arse ke baad apki bazm me tashreef farma hun apni ik muqtaqsar ghazal ke saat umid hai apni khimti ara se nawazenge ...


Haaye shahr-e-munsif kya ye tujhe khabar bhi hai
Sar kataane ki saff me begunah ka sar bhi hai



Betiya.N meri yun to khush hamesha raheti hain
Mufliso.N ke ghar lekin khudkushi ka darr bhi hai



Haat sainkdo.N yun to uthte hai.N duao.N ko
Khuch hain beasar lekin khuch me to asar bhi hai



Kya kahon ke tere bin hai mera guzaar kaise
Roz marta jeeta hon kya tujhe khabar bhi hai



gham qadeer aate hain par ye dars dete hain
mushkilo.N ke har shab ki khushnuma saher bhi hai




Qadeertoopchi


behtreen kalaam bahut hi umda bayaan janab qadeer sb
Logged
nirala
Guest
«Reply #4 on: March 01, 2011, 08:57:33 AM »
Reply with quote
Qadeer sahab hello :
aapko pahli baar parha mashaallah bahut khubsurat sachhi ehsaaso aur haqeeqat se labrez ghazal kahi aapne.
behtareen .
bahut bahut achha laga aapka kalaam.
har sher khasamkhash hai ji.
ek sawaal aya aapke ghazal parhne ke baad.
" kya kahun ke tere bin--"
2nd last sher--isme aapne khud ka indication dia hai--
baaki ke saare lajawaab sher ke mayne bahut umda aur sachhe hai lekin ye ek sher jo kaafi khubsurat hai iss ghazal me kaise sazaya aapne !!
kuch jawaab dijiyega--
thanx
Logged
dead heart
Guest
«Reply #5 on: March 01, 2011, 02:51:24 PM »
Reply with quote
Yo ki iss mehfil main, meri nazar main ek institution hai
Qadeer sahab ap..Mere bhai koshish kara karo kay zada aya karo..
Akhri do toh dil main bas gaye..
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Khush rahiye..!
Logged
Anshumali
Guest
«Reply #6 on: March 01, 2011, 03:24:16 PM »
Reply with quote
Betiya.N meri yun to khush hamesha raheti hain
Mufliso.N ke ghar lekin khudkushi ka darr bhi hai

Haat sainkdo.N yun to uthte hai.N duao.N ko
Khuch hain beasar lekin khuch me to asar bhi hai


Bahut khoob ... Qadeer Sahab !

Jab bhi ... jitni baar iss ghazal ko padhoN ... ek nayaa asar choDh jaati hai ... bahut khoobsurat ehsaas bayaan kiye hai aapne ... adaayegi bhi asardaar rahi ... ek umdaa peshkash ... !

tahe dil se daad hazir hai ...  Applause Applause Applause

aise hi likhte rahen aage bhi ... khush rahen ... !

duaaoN ke saath ... !
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #7 on: March 01, 2011, 06:50:57 PM »
Reply with quote
Janab Qadir Sahab Aadaab!

Badi mudat baad aapki kalaam se ruberu hokar behad achcha lag raha hai.... Usual Smile

Is behad aur umdaa gazal ki bayaani hi nahi balki khayaaloN ki gehraai bahut bahut umdaa hai... Usual Smile
Waqai dilfareb shayari ka muzahera kiya hai aapne Usual Smile
Dil se daad O mubarakbaad kabul kijiye Usual Smile         



Yaarane Bazm aadab o tasleemat ,,

Ik Taweel arse ke baad apki bazm me tashreef farma hun apni ik muqtaqsar ghazal ke saat umid hai apni khimti ara se nawazenge ...


Haaye shahr-e-munsif kya ye tujhe khabar bhi hai
Sar kataane ki saff me begunah ka sar bhi hai

Bahut achcha aur sidha matla kaha hai janaab ...
         



Betiya.N meri yun to khush hamesha raheti hain
Mufliso.N ke ghar lekin khudkushi ka darr bhi hai

Waah waah janab ....... Kia umdaa khayaal kahaa hai Masha Allah ... Bahut umdaa Usual Smile
Allah aapke zarf ko buland kare... aameen Usual Smile         



Haat sainkdo.N yun to uthte hai.N duao.N ko
Khuch hain beasar lekin khuch me to asar bhi hai

Behad sahiN farmaya janab....


Jaane kiski duaaoN ka asar sambhalta hai mujhe..         
MaiN dubta huN to daryaa bhi uchalta hai mujhe.. NM




Kya kahon ke tere bin hai mera guzaar kaise
Roz marta jeeta hon kya tujhe khabar bhi hai


Bahut khoob daad Usual Smile         

gham qadeer aate hain par ye dars dete hain
mushkilo.N ke har shab ki khushnuma saher bhi hai

Bahut umdaa sher kaha hai janab daad daad daad Usual Smile         



Qadeertoopchi


Is khub khayaali aur dilfareb kalaam par
dil se daad kabul kijiye aur bazm meiN shirkat karte rahiye..

Allah aapki kalam meiN aur bhi zor o taqat bakhshe..
Khush O aabaad rahiye..
Khuda Hafez .... Usual Smile         

Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #8 on: March 01, 2011, 08:26:41 PM »
Reply with quote
Bahut Khub Likha Hai Qadeer JI Applause Applause
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 05:27:06 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.103 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer