Na jaaney kis naqaab mein chhupey huye hain wo?

by abdbundeli on December 27, 2010, 02:03:23 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1301 times)
abdbundeli
Guest
Reply with quote

Deykhtey raah roz, umra guzar jaatee hai!
Waaidon ki, pai unhain yaad naheen aatee hai!!

Na jaaney kis naqaab mein chhupey huye hain wo?
Wahee-wahee hain: jahaan par bhi nazar jaatee hai?

Farq parhtaa hai unhain kuchh: hamain nahin lagtaa!
Wo to ham hain, ki, hamain neend naheen aatee hai!!

Na jaaney kab sey guzarteen hain jaagtey raateyn:
Roz kee baat hai: baad-e-sabaa sulaatee hai?

Na jaaney kyon, hai unhain fikra zamaaney bhar kee?
Hamain tamaam kaayinaat aazmaatee hai!

Zaroor peysh keejiye jahaan ko jalwey:
Har taraf, par, hamain deewaar nazar aatee hai!

Hasrateyn laakh hon beyllous, magar kyaa kahiye?
Binaa shama'a key, syaah raat zulm dhhaatee hai!

Unhin ki raah chaley hain, magar chaleyn kab tak?
Reyg hi reyg hawaaoun mein sarsaraatee hai!

'Abd', maqaam-e-baqaa kaa khayaal hai: leykin,
Rooh us thhour kyon qayaam-e-lamhah paatee hai?

                          - abd bundeli

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
apni aankhon ke samunder mein utar jaaney de by Dewana_Badal in Shayri-E-Dard
Badle huye hain paimane by 99% §hå®èèf_Mµñda in Ghazals
Naqaab hi naqaab hain yahaan qataaroun mein! by abdbundeli in Ghazals
Hameen, aansuoun mein nahaaye huye hain! by abdbundeli in Shayri for Dard -e- Judai
Do sey huye hain aik adad, kheil-kheil mein! by abdbundeli in Shayri for Khumar -e- Ishq
MANOJ6568
Khaas Shayar
**

Rau: 31
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
42 days, 19 hours and 59 minutes.

Astrologer & Shayer

Posts: 12017
Member Since: Feb 2010


View Profile
«Reply #1 on: December 27, 2010, 05:36:35 PM »
Reply with quote

khub

Deykhtey raah roz, umra guzar jaatee hai!
Waaidon ki, pai unhain yaad naheen aatee hai!!

Na jaaney kis naqaab mein chhupey huye hain wo?
Wahee-wahee hain: jahaan par bhi nazar jaatee hai?

Farq parhtaa hai unhain kuchh: hamain nahin lagtaa!
Wo to ham hain, ki, hamain neend naheen aatee hai!!

Na jaaney kab sey guzarteen hain jaagtey raateyn:
Roz kee baat hai: baad-e-sabaa sulaatee hai?

Na jaaney kyon, hai unhain fikra zamaaney bhar kee?
Hamain tamaam kaayinaat aazmaatee hai!

Zaroor peysh keejiye jahaan ko jalwey:
Har taraf, par, hamain deewaar nazar aatee hai!

Hasrateyn laakh hon beyllous, magar kyaa kahiye?
Binaa shama'a key, syaah raat zulm dhhaatee hai!

Unhin ki raah chaley hain, magar chaleyn kab tak?
Reyg hi reyg hawaaoun mein sarsaraatee hai!

'Abd', maqaam-e-baqaa kaa khayaal hai: leykin,
Rooh us thhour kyon qayaam-e-lamhah paatee hai?

                          - abd bundeli


Logged
AbhiTamrakar
Guest
«Reply #2 on: December 28, 2010, 06:42:05 AM »
Reply with quote
bahut bahut khoo abd ji.

2, 3, 5 or last wala gazab ka he ...

dheron sari daad~

likhet rahiye..


Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #3 on: December 28, 2010, 07:47:08 AM »
Reply with quote
khub

Shukriyah Manoj ji!

  - abd bundeli
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #4 on: December 28, 2010, 07:52:08 AM »
Reply with quote
bahut bahut khoo abd ji.

2, 3, 5 or last wala gazab ka he ...

dheron sari daad~

likhet rahiye..


Shukriyah Abhi bhai!

      - abd bundeli
Logged
Matrix Guy
Guest
«Reply #5 on: December 28, 2010, 08:09:17 AM »
Reply with quote
abdbundeli ji..........bht bht khub......sach maniye sidha dil me utar jaye esa likha he apne...bht bht pyara.....superb
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #6 on: December 28, 2010, 09:42:32 AM »
Reply with quote
abdbundeli ji..........bht bht khub......sach maniye sidha dil me utar jaye esa likha he apne...bht bht pyara.....superb

Bahut-bahut shukriyah, 'Matrix Guy' ji!

              - abd bundeli
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #7 on: December 28, 2010, 10:40:29 AM »
Reply with quote
Bahut Khub Abd JI
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #8 on: December 28, 2010, 10:51:36 AM »
Reply with quote
Bahut Khub Abd JI

Dhanyawaad Rishi ji!

 - abd bundeli
Logged
aslam saifi
Guest
«Reply #9 on: October 02, 2011, 11:52:56 AM »
Reply with quote
wah wah kya khoob hai
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #10 on: October 03, 2011, 05:15:50 AM »
Reply with quote
wah wah kya khoob hai

Shukriyah Aslam bhai!
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #11 on: October 03, 2011, 05:20:53 AM »
Reply with quote
bahut khoob!
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 22, 2024, 08:14:48 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.144 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer