Na main raja na koi rani thi....( Ghayel )

by Sajid_Ghayel on June 01, 2011, 06:18:55 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1873 times)
Sajid_Ghayel
Guest
Reply with quote

Jhoothi bachpan ki who kahani thi
Na main raja na koi rani thi

Zulm usne kiye they duniya par
Jiski duniya bohat deewani thi

Khoobsurat thi zindagi unki
Jinki seerat bohat noorani thi

Kho gayee woh bhi aaj jane kaha
Maa ki tasweer jo ghar purani thi

Khwab kaise woh apne keh deti
Woh jo ladki thi khandani thi

Kaun keemat chukaye shero ki
Koi sasti ghazal sunani thi

Khud ko shayer samajhna mehfil me
Teri Ghayel badi nadaani thi

Sajid Ghayel
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Phoolon Main Ghazal Rakhna Yeh Raat Ki Rani Hai by waheed_rose2004 in Shayri for Khumar -e- Ishq
raja - rani by tushar_4u_im in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
ek raja tha ek rani thi.. aur unki ek kahaani thi.. charan.. by lovely_charan in Miscellaneous Shayri
Raja Ki Rani..!! by Áɑѕӈίգ in Ghazals
RAJA MERA RAJA MERA RAJA MERA KHWAJA by pradeep srivastava raunaq in Shayari-e-Parastish
AbhiTamrakar
Guest
«Reply #1 on: June 01, 2011, 07:13:54 AM »
Reply with quote
**khwab kaise wo apne keh deti...... wah sajid bhaiii...
bahut khoob..
**kho gayi wo bhi aajj...badi sanjeeda line he ji..
**kaun keemat chukaye shero ki...ahaaa behetreen...

bahut khoob sajid bhaii... maja aa gaya aaaj..


sunana tha koi afsana koi rubaai keh gaya
labo ki shararat thi shayad koi dil ki sadayee keh gaya~
Logged
adil bechain
Umda Shayar
*

Rau: 161
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
31 days, 18 hours and 24 minutes.

Posts: 6552
Member Since: Mar 2009


View Profile
«Reply #2 on: June 01, 2011, 07:30:26 AM »
Reply with quote

Jhoothi bachpan ki who kahani thi
Na main raja na koi rani thi

Zulm usne kiye they duniya par
Jiski duniya bohat deewani thi

Khoobsurat thi zindagi unki
Jinki seerat bohat noorani thi

Kho gayee woh bhi aaj jane kaha
Maa ki tasweer jo ghar purani thi

Khwab kaise woh apne keh deti
Woh jo ladki thi khandani thi

Kaun keemat chukaye shero ki
Koi sasti ghazal sunani thi

Khud ko shayer samajhna mehfil me
Teri Ghayel badi nadaani thi

Sajid Ghayel



BEHTREEN Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
manjum
Guest
«Reply #3 on: June 01, 2011, 08:17:29 AM »
Reply with quote
bahut bahut khub sajidji....

 Applause Applause Applause Applause
Logged
SURESH SANGWAN
Guest
«Reply #4 on: June 01, 2011, 08:36:23 AM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
mamta bajpai
Guest
«Reply #5 on: June 01, 2011, 10:19:24 AM »
Reply with quote
Behad umdah or behad maaneekhez as'aar ....bahut khoob Saajid jee!
Logged
Manish Kumar Khedawat
Guest
«Reply #6 on: June 01, 2011, 06:03:05 PM »
Reply with quote
lazawaab....
 Applause Applause Applause
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #7 on: June 01, 2011, 07:44:47 PM »
Reply with quote
Ghayal Sahaab Aadaab!

Janab ke mijaaz e shareef kaise haiN?
Ummid hai khairiyat se hoNge Usual Smile

Janab aapke khayaaloN ki gehrai behad
khub hai.... Zindagi ke behad kareeb ki
soch ko ashaaroN meiN dhalte hai aap Usual Smile

Aapke is fan ko salaam Usual Smile
Sabhi ashaar khub rahe haiN Usual Smile         




Jhoothi bachpan ki who kahani thi
Na main raja na koi rani thi

Bahut achche janab matla kafi achcha kaha hai .... bachpan ki un khati mithi yaadeN dila gaya.. Usual Smile
Shukra hai khaniyaaN sunane wali naani thi Usual Smile         


Zulm usne kiye they duniya par
Jiski duniya bohat deewani thi

Achcha khayaal hai daad ... Usual Smile
Par shayad aajkal ki duniyaa aisi nahi hai zulm karne wale ki deewaani ho jaye.. ?         


Khoobsurat thi zindagi unki
Jinki seerat bohat noorani thi

Waah janab bahut khoob Usual Smile daad hazir hai...         

Kho gayee woh bhi aaj jane kaha
Maa ki tasweer jo ghar purani thi

Masha Allah janab ... kitni aasaani se kah diyaa aapne roNgte khade kar dene waali baat ... Bahut khoob Usual Smile         

Khwab kaise woh apne keh deti
Woh jo ladki thi khandani thi

Kia baat hai janab daad daad Usual Smile         

Kaun keemat chukaye shero ki
Koi sasti ghazal sunani thi

Hmmm Janab yeH sasti gazaleN milti kahaaN hai hume bhi bataiye ... tongue3 KayiN dino se humne bhi kuch sunaya nahi hai wohi suna deNge :D ( just kidding )

Behad gehra sher kaha hai janab daad daad daad Usual Smile         


Khud ko shayer samajhna mehfil me
Teri Ghayel badi nadaani thi

Bahut achche janab Usual Smile         

Sajid Ghayel


Likhate rahiye...
Bazm meiN aate rahiye... Usual Smile

Khush O aabaad rahiye..
Khuda Hafez Usual Smile         

Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #8 on: June 03, 2011, 08:30:01 AM »
Reply with quote
Wah janab Sajid Ghayel Saheb!
Kya umda ghazal se bazm meiN raunaq-afroz hue haiN. Matla to bahut hi shaandaar hai aur is ghazal meiN sheriyat ka bolbaala hai. Kaafi achchhe ashaar haiN. Aik aadh micra bahr se baahar ho gaya hai jaise "maaN ki tasweer jo (ghar)purani thi" meiN "ghar" ki wajh se micra bahr se khaarij ho gaya hai, ise dekh leN. Isi tarah qawaafi par bhi nazrsaani farma leN jaise k "nadaani". Lafz "naadaani" hai, is tarah se ye qaafiya bahr meiN nahiN aa raha hai. Is haqeer bande k ishaaroN ko ho sake to qubul kareN warna naacheez ki gustaakhi ko moaaf kijiyega.

(waquif ansari)


Jhoothi bachpan ki who kahani thi
Na main raja na koi rani thi

Zulm usne kiye they duniya par
Jiski duniya bohat deewani thi

Khoobsurat thi zindagi unki
Jinki seerat bohat noorani thi

Kho gayee woh bhi aaj jane kaha
Maa ki tasweer jo ghar purani thi

Khwab kaise woh apne keh deti
Woh jo ladki thi khandani thi

Kaun keemat chukaye shero ki
Koi sasti ghazal sunani thi

Khud ko shayer samajhna mehfil me
Teri Ghayel badi nadaani thi

Sajid Ghayel

Logged
killbill
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
24 days, 7 hours and 41 minutes.
Posts: 2130
Member Since: Oct 2010


View Profile
«Reply #9 on: June 03, 2011, 03:37:39 PM »
Reply with quote
wah sirji…
mere lie to aapko padhna ek inaam hai
sukriya…
mai to daad dene ke kabil nai fir b…
bht bht lajawaab post
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 07:30:24 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.118 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer