Na Mujhko Ab Tum Rok Paoge

by Pooja on July 13, 2009, 07:25:11 PM
Pages: 1 [2] 3 4 5 6
ReplyPrint
Author  (Read 7269 times)
jasbirsingh
Guest
«Reply #15 on: July 14, 2009, 12:37:18 PM »
Reply with quote
Bahut Bahut Khoob Pooja Didi,!! Clapping Smiley  Clapping Smiley
Aksar ek aurat bahut kuch sehti hai, par jab uss sehan shakti ki intaha hoti hai to waisa hi hota hai jaisa aapne likha hai..behtreen..!!! Clapping Smiley

Kab tak bandhi rehti mein tere gamo ke jaal se,
Aakhir ek din to chootna hi tha mujhe iss haal se..

Jis kadar royi hoo.n mein teri har yaad-baat se,
Kaash teri aankh bhi bhare kabhi mohabbat ki maar se,

Aaj tune nikala hai mujhe apne dilo-jahan se,
Bahut royega tu uss din jab chali jaoungi mein iss jahan se..

Shally.





arey itna jabardast likha hai aap ney ... kya ho raha hai yaha ji... bahut senti senti batey likhi ja rahey hai yaha peh .... kuch cool down yaar ... bahut dard meh likha ja raha hai iss thread peh


jasbir singh
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
KYA KYA MITA PAOGE by VIKAS KAMAT in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
~~~HAME HEE PAOGE~~~ by Ravinder in Shayri-E-Dard
*¤¤*Tum Bhula Na Paoge*¤¤* by waheed_rose2004 in Shayri for Dard -e- Judai
tum mujhe yu bhula na paoge by samnoj in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2 ... 12 13 »
Bicharr ke mujh se tum bhi jee na paoge by pkgoyal in Shayri for Dard -e- Judai
jasbirsingh
Guest
«Reply #16 on: July 14, 2009, 12:39:07 PM »
Reply with quote
kya baat hai  pooja ji.......

JAA CHUKI HUN DOOR TUMSE,
KI AB KABHI  APNE PAAS, HUMKO NA PAAOGE,
LAKH KOSHISH KARO,NA MUJHKO AB TUM ROK PAOGE.

AB TAK TOH THI MAIN SEEDI-SAADI,
HAR BAAT PE TERE KARTI THI YAKEEN,
JAISE BAJTI TERI BIN,WAISE NAACHTI RAAT AUR DIN.
AB TOH BAN CHUKI HUN NAAGIN,DAS JAAUNGI-NA MUJHKO AB TUM ROK PAOGE.

DIKHAWE KE LIYE KARTE THE, PYAAR MUJHSE,
PAR HAR WAQAT TERA DIL,KISI AUR KE LIYE TARSE,
SAHAN KARTI THI HAR WAQAT TERE SITAM,JO TUNE THE BARSE,
AAJ AGAR MEIN KISI AUR KO CHAHUNGI,
TUM BARDAAST NA KAR PAOGE AUR NA MUJHKO AB TUM ROK PAOGE.

TERE ANDHKAR SE NIKAL CHUKI HUN MAIN,
CHAL PADI HUN AAJ ROSHNI KI RAHA PAR.
DAM HAI TOH  DIKHA, MUJHE AAJ ROK KAR,
BAN CHUKI HUN AANDHI-TOOFAN,NA MUJHKO AB TUM ROK PAOGE.






 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
wah bahut hi khoob CARA ji... bahut khoob

jasbir singh
Logged
smardia
Guest
«Reply #17 on: July 14, 2009, 01:06:29 PM »
Reply with quote
Poojaji aapki har rachna lajawab hoti hai...
FIR chahe wo dard ho ya ishq ya koi jajbaat...
Nari jaati k liye badi sashakt gajjal... Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

PAR NAR BHI KUCHH KAM NAHI....

Man se man ko chhu lunga
kya tum mujhko rok paoge

Bin bulaye sapno me aa jaunga
kya tum mujhko rok paoge

Sughand ban sason mai samaunga
kya tum mujhko rok paoge

Kavita k shabd jaal mai
Bahuposh sa tumhe jakad lu
kya tum mujhko rok paoge

Na mujhko ab tum na Rok paoge…

maine kabhi khud Gazal ke section mai likhne ki koshish nahi ki... magar ajj khud ko dard mai likhne se rokne ke liye... is section ka sahara le rahi hu...

yah ek aourat ke man ki bhawna hai... Jo bahoot kuch dekhne ke baad ab wapis purani zindagi ki taraf dekhna bhi nahi chahti... aor jab aourat koi baat man mai than leti hai to usko rokna mushkil he nahi asmbhav hota hai ( Mera yah man.na hai)

Asha hai jo bhi likha apko pasand ayega:


Hawa hu, hawa ko na rok paoge
Karoge jabardasti to iski andhi main bikhar jaoge
Na mujhko ab tum Rok paoge…

Thi andhkaar mai barso, mil chuki hu roshani se ab
Na kar koshish, iski chamak se he jal jaoge
Na mujhko ab tum Rok paoge…

Ansoo bahaye jayada ke Pooja pi gai ansoo
Na cher phir se zakham, iske dariya main beh jaoge
Na mujhko ab tum Rok paoge…

Banjar ho chuki kab ki armaano ki mehfil
Chue jo zajbaat, khud tadap ke rah jaoge
Na mujhko ab tum Rok paoge…

Na rok saki khudai bhi aourat ke man ko
Hawain ho tum, gardisho main kho jaoge
Na mujhko ab tum Rok paoge…

Logged
Pooja
Guest
«Reply #18 on: July 14, 2009, 04:51:52 PM »
Reply with quote
Bahut Bahut Khooob Pooja.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Bahut Hi Inspiring Aur Dil Ko Chuu Jaane Wale Jazbaat Pesh Kiye Hai Aapne..

Shally Aapne bhi Bahut Bahut Khoob Likha Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Cara Ji,Aapne Bhi Lajawaab Likha hai..Bahut Ache Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


Khwaish ji is thread mai to apka jawab anna chahiye tha... bahoot nainsaafi kar di apne to!!

shukaria apko yah gazal pasand aai!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #19 on: July 14, 2009, 04:52:26 PM »
Reply with quote
Wah beautiful lines Shally ji and Cara ji, Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

thanks Madhu ji...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #20 on: July 14, 2009, 04:53:37 PM »
Reply with quote
Shocked Even More Shocked Even More Shocked Even More

Pooja DiDi aap ne mujhe JI kyun bola ?


App per bahoot pyaar aa gaya tha is liye  NaNaNa.. Koi haal nahi hai  DOH Celmira Apke  Laughing hard ab thik hai  Thumbs UP
Logged
Pooja
Guest
«Reply #21 on: July 14, 2009, 04:53:59 PM »
Reply with quote
bahut khoob Pooja Ji .... acche khayalaat hai.



Thanks HumTum ji...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #22 on: July 14, 2009, 04:54:33 PM »
Reply with quote

Wah Kya Baat hai Pooja Ji.. Behad Khubsoorat Gazal Likhi Hai aapne.. Ek Aurat Ki Soch aur Jazzbaaton Ko Bakhoobi Pesh kiya hai aapne.. Really Great Work.. Bahut Bahut Khoooooooooob..
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


Cara aapne Bhi Lajawab Likha Hai.. Applause Applause

Aur Shally Dear aapke Likhe Lafz to Dil tak Utar gaye.. Kamaal Likha hai.. Applause Applause


**~** Mann **~**

bahoot bahoot shukaria Mann ji!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #23 on: July 14, 2009, 04:55:10 PM »
Reply with quote
kya baat hai  pooja ji.......

JAA CHUKI HUN DOOR TUMSE,
KI AB KABHI  APNE PAAS, HUMKO NA PAAOGE,
LAKH KOSHISH KARO,NA MUJHKO AB TUM ROK PAOGE.

AB TAK TOH THI MAIN SEEDI-SAADI,
HAR BAAT PE TERE KARTI THI YAKEEN,
JAISE BAJTI TERI BIN,WAISE NAACHTI RAAT AUR DIN.
AB TOH BAN CHUKI HUN NAAGIN,DAS JAAUNGI-NA MUJHKO AB TUM ROK PAOGE.

DIKHAWE KE LIYE KARTE THE, PYAAR MUJHSE,
PAR HAR WAQAT TERA DIL,KISI AUR KE LIYE TARSE,
SAHAN KARTI THI HAR WAQAT TERE SITAM,JO TUNE THE BARSE,
AAJ AGAR MEIN KISI AUR KO CHAHUNGI,
TUM BARDAAST NA KAR PAOGE AUR NA MUJHKO AB TUM ROK PAOGE.

TERE ANDHKAR SE NIKAL CHUKI HUN MAIN,
CHAL PADI HUN AAJ ROSHNI KI RAHA PAR.
DAM HAI TOH  DIKHA, MUJHE AAJ ROK KAR,
BAN CHUKI HUN AANDHI-TOOFAN,NA MUJHKO AB TUM ROK PAOGE.


bahoot he achi lines likhi hai Cara ji!! aise he sath dete rahiyega!!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #24 on: July 14, 2009, 04:56:25 PM »
Reply with quote
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Waah Pooja ji...Abhi char hi din hue hain hume yaha se jude...
par banda kayal hua ja raha hai aapka.

Tahe dil se hum apke shukarguzar hai ki char din mai app ke humare liye yeh khayalaat ho gaye!! Magar Yoindia ek se bar kar ek ache shayar/shayara se bhara hua hai.. jaise jaise app sab ko padege ... khud-b-khud yah mehsoos kar jayege!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #25 on: July 14, 2009, 04:57:08 PM »
Reply with quote
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
bahut hi khoob likha hai aap ney ji .... aur sach bhi likha hai aap ney...
par aaj aisi kya baat ho gayi joh itney dard meh likha hai aap ney...


jasbir singh



bahoot bahoot shukaria Jas ji!!! Apko wapis Yoindia per dekh kar bahoot khushi hui hai!!
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 7 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #26 on: July 14, 2009, 05:03:19 PM »
Reply with quote
Mashallah Bohat Achcha Likha Hai Aapne Pooja Didi,.

And Nice One From U, Shally,.
Cara Ji,.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #27 on: July 14, 2009, 05:22:30 PM »
Reply with quote
Poojaji aapki har rachna lajawab hoti hai...
FIR chahe wo dard ho ya ishq ya koi jajbaat...
Nari jaati k liye badi sashakt gajjal... Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

PAR NAR BHI KUCHH KAM NAHI....

Man se man ko chhu lunga
kya tum mujhko rok paoge

Bin bulaye sapno me aa jaunga
kya tum mujhko rok paoge

Sughand ban sason mai samaunga
kya tum mujhko rok paoge

Kavita k shabd jaal mai
Bahuposh sa tumhe jakad lu
kya tum mujhko rok paoge

Na mujhko ab tum na Rok paoge…


apki is kavita ko parr kar dil se ek muskuraht ubhari.. wah wah wah itne simple shabdo main.. jaise ufante Tuffan ko bin kahe, bin chue, sirf Ehsaas-e-zajbaat se kuch palo ke liye rok diya ho... yakinan is se acha jawab shayad is kavita ka nahi ho sakta tha... Very Positive.....

Jo man mai ayega wo he likh jaugi...

Ban jaaye jab aourat chattan
Man chuna mushkil hota hai
Her zajbaat jab ugle agg
Armaan jagana na-mumkin hota hai

Armaan nahi to khayal kaise
Kisi ko apna banana mushkil hota hai
Nind aati hai aise mai kaha kis ko
Khawab ka anna na-mumkin hota hai

Dil ki jawala main bhasam her sugandh
Baharo ka na koi najrana hota hai
Aise main kaha kuch mehsoos ho
Mushkil iske dil ko samjhana hota hai

Na rukati hai phir apni se
Jab aourat khud pe aa jaaye
Na kisi ke bas main phir
Isko Rok paana hota hai…..
Logged
Pooja
Guest
«Reply #28 on: July 14, 2009, 05:23:07 PM »
Reply with quote
Mashallah Bohat Achcha Likha Hai Aapne Pooja Didi,.

And Nice One From U, Shally,.
Cara Ji,.

bahoot bahoot shukaria Lil bro!!
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #29 on: July 15, 2009, 02:05:36 AM »
Reply with quote
apki is kavita ko parr kar dil se ek muskuraht ubhari.. wah wah wah itne simple shabdo main.. jaise ufante Tuffan ko bin kahe, bin chue, sirf Ehsaas-e-zajbaat se kuch palo ke liye rok diya ho... yakinan is se acha jawab shayad is kavita ka nahi ho sakta tha... Very Positive.....

Jo man mai ayega wo he likh jaugi...

Ban jaaye jab aourat chattan
Man chuna mushkil hota hai
Her zajbaat jab ugle agg
Armaan jagana na-mumkin hota hai

Armaan nahi to khayal kaise
Kisi ko apna banana mushkil hota hai
Nind aati hai aise mai kaha kis ko
Khawab ka anna na-mumkin hota hai

Dil ki jawala main bhasam her sugandh
Baharo ka na koi najrana hota hai
Aise main kaha kuch mehsoos ho
Mushkil iske dil ko samjhana hota hai

Na rukati hai phir apni se
Jab aourat khud pe aa jaaye
Na kisi ke bas main phir
Isko Rok paana hota hai…..


WAH SARI DASTAAN BAYAAN KAR DI HAI AAP NEY
HAR TASVIR BAYAAN KAR DI HAI AAP NEY


bahut khoob pooja ji... wah

jasbir singh
Logged
Pages: 1 [2] 3 4 5 6
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 10:23:09 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.119 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer