Poojaji aap tou Aashu kaviyatri hain…..
Shabdo aur bhavo ka aap bhandar hain…
Kitni sugamta se aapne 16 line likh dali..
Nari k gunon ki jordar vyakhya kar dali..
Main kya pratikriya vyakt karu….
Sochte-sochte ye kuch lines likh gaya so pesh hain…
Jab prem-sudha k nirjhar behte
Dil ki chattano ko pighla dete
Lakh uglo lava- Samay pa wo thanda ho jata
Banjar dharti bhi jut-te jut-te hari-bhari ho jati
Bin armano k jeena kaisa
Koi n ho apna tou jeena kaise
Laqshay jab hote sache-kab neend k bharose rukte
Pate hain wahi manzil jo din ko sapne dekhte
Dil mai kab band sughand, Sanso se uska sambandh
Jab tak jeevan hai sanse kab ruk pati hain
Mana triya hath bahut bhari hai,Aurat jiddh ki pitari hai
Par jab nav-jeevan dene ki aati baari hai, Nari tab haari hai
apki is kavita ko parr kar dil se ek muskuraht ubhari.. wah wah wah itne simple shabdo main.. jaise ufante Tuffan ko bin kahe, bin chue, sirf Ehsaas-e-zajbaat se kuch palo ke liye rok diya ho... yakinan is se acha jawab shayad is kavita ka nahi ho sakta tha... Very Positive.....
Jo man mai ayega wo he likh jaugi...
Ban jaaye jab aourat chattan
Man chuna mushkil hota hai
Her zajbaat jab ugle agg
Armaan jagana na-mumkin hota hai
Armaan nahi to khayal kaise
Kisi ko apna banana mushkil hota hai
Nind aati hai aise mai kaha kis ko
Khawab ka anna na-mumkin hota hai
Dil ki jawala main bhasam her sugandh
Baharo ka na koi najrana hota hai
Aise main kaha kuch mehsoos ho
Mushkil iske dil ko samjhana hota hai
Na rukati hai phir apni se
Jab aourat khud pe aa jaaye
Na kisi ke bas main phir
Isko Rok paana hota hai…..