Poojajee bahut dino se likhna chahta tha, aapki lines ka counter uttar...
Par jab-jab prayaas kiya tou man k viroodh nahi likh paya...isi udhedbun mai uljha raha...aur thread khayaal se dur ho gaya....aaj reminder dekh socha kyun n apni purani kavita he prastut kar du jo aapke bhaavo ka samarthan karti hai...
Isi lay aur bhaav se judi ek rachna..........
Meri badi didi ne ek-baar mujhe salah di thee..unki lines"Sneh v samta se jeeta jata man....
Hriday marusthal ko bana do chaman.."
Utter mai maine ye kuchh line unhe likh bheji thee...
Mantra tumhara siddh hoga didi
Par mujhse sadha nahi
Hriday marusthal seench-seench thaka
Ful koi khila nahi
Banzer ho gayee hriday bhoomi
Spandan koi bacha nahi
Sukhi sab nadiyen hriday desh ki
Avrodh huye uttpan itne
Bypass karvana pada
Bhagirath ban nayee Ganga bahaane ko
Pyaar k bindu ko
Sindhu banana aasaan nahi
Ye do-chaar dino ka prayaas nahi
Anter ka kalush varsho purana
Usey khod hatana khel nahi
Hil jaayengi neev jeevan ki
Usey main kaise meetaun
Matbhed,man-ka-bhed,mati-bhed
Ye gati-rodh jeevan path k
Kaise main meet banau unko
Jo har-pal mere sang chalte
Man se par koson dur rehte
Mantra tumhara siddh hoga didi
Par mujhse sadha nahi
"Apno ko dil ki baat batao"Sahi hoga soch tumhara didi
Par jo n samjh sake peer parai
Unhen kaise hriday k ghaav dikhaun
Makkhol udaana jinhe suhaata
Un saathiyon se kaise
Main marham ki aas lagaun
Fal khane k din aaye ab
Kaise main naye beej oogaun ?
Shuru kiya hota jaap kuchh varsho pehle
Tou shayad mantra sadh jaata
Man ko ab kaise vishwaas dilaun
Kaise ab shuruaat karu main ?
Mantra tumhara siddh hoga didi
Par mujhse sadha nahi
Dosh nahi deta kisi ko
Mera apna dil beemaar
Main he karan,main he jimmevaar
Seench n paya apni jeevan bagiya
Kya main maali tha bekaar ? !!!
??