NAFRAT HI SAHI MOHABBAT KO MITANAY KE LEYE AA

by comeandlove on December 04, 2007, 01:57:20 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 2483 times)
comeandlove
Guest
Reply with quote

NAFRAT HI SAHI MOHABBAT KO MITANAY KE LEYE AA
AA EK BAAR LOOT KE JANAY KE LIYE AA

NAFRAT KE ZAMANAY MAIN MOHABBAT K ASHYANAY MAIN
AA EK BAAR PHIR MOSKRANAY K LIYE AA


TALUQ KI DOOR JO ULGH GAI THI
AA EK BAAR PHIR USS KO SULGHANAY K LIYE AA

TERAY NAAM PE JO AB BHI MARTA HAI
AA ISS MOHABBAT K DEWANAY K LIYE AA

TERAY AASI KO TERAY BAAD KISI NEY AZMAYA HI NAHI
AA EK BAAR PHIR ISS KO AZMANAY K LIYE AA
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
payar na sahi nafrat hi kijiye by payar in Shayri for Dard -e- Judai
Mohabbat Batne Se Mohabbat,Nafrat Se Nafrat Badhti Hai by @kaash in Ghazals
Muhabbat Nahi Na Sahi Nafrat Mere Liye Hoti by majid in Share: Poetry of Pain
Talat
Guest
«Reply #1 on: December 04, 2007, 02:28:39 PM »
Reply with quote
Welcome to Yoindia Usual Smile

This ghazal reminds me of the Ghazal sung by Mehendi Hasan........Its so similar !

Ranjish hee sahee dil hee dukhaane ke liye aa
aa phir se mujhe chhod ke jaane ke liye aa

Pahale se maraasim na sahee phir bhee kabhee to
rasm-o-rahe duniyaa hee nibhaane ke liye aa

Kis kis ko bataayenge judayi kaa sabab ham
tuu mujh se khafaa hai to zamaane ke liye aa

Kuchh to mere pindaar-e-muhabbat ka bharam rakh
tuu bhee to kabhee mujh ko manaane ke liye aa

Ek umra se huun lazzat-e-giriyaa se bhee maharuum
ai raahat-e-jaan mujh ko rulaane ke liye aa

Ab tak dil-e-khush_faham ko hain tujh se ummiidein
ye aaKhirii sham-me bhee bujhaane ke liye aa

Maanaa ki muhabbat kaa chhipaanaa hai muhabbat
chupake se kisii roz jataane ke liye aa

Jaise tujhe aate hain na aane ke bahaane
aise hee kisii roz na jaane ke liye aa

Ranjish hi sahi dil hi dukhane ke liye aa
aa phir se mujhe chod ke jaane ke liye aa

pehle se marasim na sahi phir bhi kabhi to
rasm-o-reh duniya ki nibhane ke liye aa

kis kis ko bataayenge judaaii ka sabab hum
tu mujh se kafa hai to zamane ke liye aa

kuch to mere pindaar-e-muhabbat ka bharam rakh
tu bhi kabhi mujh ko manane ke liye aa

ek umr se hoon lazzat-e-giriya se bhi mehroom
aye raahat-e-jaan mujh ko rulaane ke liye aa

ab tak dil-e-khush faham ko tujh se hain ummiiden
ye aakhri shamme bhi bhujaane ke liye aa

maana ki muhabbat ka chupaana hai muhabbat
chupke se kisi roz jataane ke liye aa

jaise tujhe aate hain na aane ke bahaane
aise hi kisi roz na jaane ke liye aa !
Logged
Advo.RavinderaRavi
Guest
«Reply #2 on: April 24, 2013, 05:12:47 AM »
Reply with quote
Nice.
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 02:46:03 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.102 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer