NAZAR KA JAAM AISE KHWAAB SE LABREZ RAHTA HAI (WAQUIF ANSARI)

by waquif ansari on January 08, 2010, 08:47:05 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2889 times)
waquif ansari
Guest
Reply with quote
Nazar ka jam aise khwaab se labrez rahta hai
Dil apna dekh kar jisko talaatum-khez rahta hai

Kisi ke gham meiN dil apna nishaat-angez rahta hai
Sharaara sa koi ehsaas meiN mahmez rahta hai

Usi ne chheen li hai mujhh se meri khil-ate-hasti
Jo bazm-e-multafit meiN khoob jalwah-rez rahta hai

Hamaare zehn ke kamre meiN aakar tum zara dekho
Ye sote jaagte har dam tilismangez rahta hai

Sadaa-e-baazgasht uski yahaN jab aane lagti hai
Dar-o-deewar ka mausam lataafat-khez rahta hai

Haran tum ho, yaqeeN hai mujhko apni paaedaari par
Yahi to dekhna hai kaun kitna tez rahta hai

ChaleN chal kar ghamoN ki mittioN par dastakhat kar deN
Suna hai gham ka pauda aur bhi zarkhez rahta hai

Shameem-e-gham ki nudrat-aafrini se mire "WAQUIF"
Nigaar-e-qalb ka manzar qayaamat-khez rahta hai
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #1 on: January 08, 2010, 08:55:06 AM »
Reply with quote
Wah Waqif sahab behtreen ghazal kahi hai aapne. Aap rubaru hote to tarannum se sunte. Nice sharing.
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #2 on: January 08, 2010, 09:00:41 AM »
Reply with quote
Wah very touching gazal Ansari ji,lovely creation,excellent Thumbs UP Applause Applause Applause Applause
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #3 on: January 08, 2010, 09:06:30 AM »
Reply with quote
Dear Riyaz Saheb! AOA!
Just abhi abhi maiN ne ye ghazal post ki aur just abhi abhi aapne ise padha aur ghazal ko pasand kiya, is hausla afzaai ka shukriya. Isi ke saath aapne ye bhi likhe ke agar maiN rubaru hota to ye ghazal tarannum se aap suna dete. MaiN aapki is shauq-e-tabiyat ko salaam karta hooN. Zail meiN apna cell number diye de raha hooN, maiN is ghazal ko tarannum meiN sunna chaahta hooN:

Cell: 09451848827
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #4 on: January 08, 2010, 09:24:45 AM »
Reply with quote
Wah Waqif sahab behtreen ghazal kahi hai aapne. Aap rubaru hote to tarannum se sunte. Nice sharing.

Walekum Salam, Darasl Waqif Saheb main tarannum se sunane ki nahi sunne ki baat kar raha tha. Bhala mujhe tarannum ki kya tameez. Waise maine jo upar ghazal ke baare mein likha hai uske dono matlab nikalte hain. Han agar aap sunana chahen to batayen, main aapko phone karunga.
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #5 on: January 08, 2010, 10:54:50 AM »
Reply with quote
Bahut Khubsurat Gazal Hai Ansari JI
Logged
mrZakram
Guest
«Reply #6 on: January 08, 2010, 03:32:48 PM »
Reply with quote
masha Allah bohot khoob bohot hi khoob.Ansari sahab]
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #7 on: January 08, 2010, 03:59:50 PM »
Reply with quote
Waah Waah Bahoot Bahoot Khoob ANsari ji
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #8 on: January 08, 2010, 06:12:48 PM »
Reply with quote
Bahut khoob Ansari Ji
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #9 on: January 11, 2010, 10:08:22 AM »
Reply with quote
Walekum Salam, Darasl Waqif Saheb main tarannum se sunane ki nahi sunne ki baat kar raha tha. Bhala mujhe tarannum ki kya tameez. Waise maine jo upar ghazal ke baare mein likha hai uske dono matlab nikalte hain. Han agar aap sunana chahen to batayen, main aapko phone karunga.
Rishi Agarwal Saheb! Aapki nawazis
Bahut Khubsurat Gazal Hai Ansari JI
hoN ka az had suhukriya.
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #10 on: January 11, 2010, 10:09:45 AM »
Reply with quote
masha Allah bohot khoob bohot hi khoob.Ansari sahab]
Dear MrZakram Ji! Aapki hauslaafzaai ka shukriya.
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #11 on: January 11, 2010, 10:10:42 AM »
Reply with quote
Waah Waah Bahoot Bahoot Khoob ANsari ji
Dear Sophi Ji! Aapki nawazish ka tah-e-dil se shukriya.
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #12 on: January 11, 2010, 10:12:23 AM »
Reply with quote
Bahut khoob Ansari Ji
Dear Rajesh Harish Saheb! Aap ne meri ghazal ko pasand kiya, iska tah-e-dil se aapka shukriya ada karta hooN.
Logged
drpandey
Guest
«Reply #13 on: January 26, 2010, 06:33:19 PM »
Reply with quote
Itni achhi ghazal abhi tak maine kyoN nahin dekhi? Aap se sikhne ko mile yahi khwahis hai.....
I am speechless..... icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut 

Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #14 on: January 28, 2010, 09:31:08 AM »
Reply with quote
Dear drpandey Saheb! Aapne meri ghazal ko saraha aur apne haseen alfaaz se madah-saraayee ki, iske liye aapka azhad shukriya ada karta hooN. MaiN bhi Allahabad ki Ganga-Jamuni Sanskriti meiN saaNs leta hooN. Aap mujhh se mere mobile par contact kar sakte haiN. Darj-zail meiN apna mobile number likh raha hooN:
09451848827
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 05:30:07 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.108 seconds with 20 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer