Nazm__KhudKushiii

by vipul kumar on June 01, 2011, 05:42:39 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 892 times)
vipul kumar
Guest
Reply with quote

Jab Dil Me Teri Yaad thi, Lafz bhi Roushan the.....
Har Waraq se Tere jism ki Khushbu aati Thi......
Har Misra Jaise Shiiri.n Tere Lab sa Tha,
Tab Kalam Meri Bin Soche Hi Chal Jaati Thi.....

Aur ab Jo Tujhko Bhoolne ki Koshish ki hai,
Lafzo.n ne Jaise Mujhse Bagaavat Kar di Hai.....
Mere Khayaal mere aangan me ab nahi rahte,
Meri Tahriir hi ab meri Mudda_ii si hai....
[Tahriir=writing;Mudda_i=Enemy]

Yu.n Khafa hai meri Ghazal ka Har Misra Mujhse,
Main k Paimaan-e-wafaa se Mukar gaya Jaise....
Bina tere ye dil ab is kadar viiraana hai,
Wo Jo ik shakhs tha Dil me, Wo Mar gaya Jaise......
Ab nahi Jalte Mere Lafzo.n se Har simt Chiraag,
Wo Tilism-e-Masiihaayi Bikhar Gaya Jaise......

Jab se Bhoole Hai.n sanam Tujhko, Tere Dard ko ham,
Kya kahe.n Kaisi Gira.n_Baar Zindgi kar Li.....
Aaj Mahsoos ki Teri Yaad ki Shidddat Hamne,
Tujhko Bhoole to...........................
Nazmo.n Ne Khudkushi Kar li........
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #1 on: June 01, 2011, 06:50:42 PM »
Reply with quote
Janab Vipul Sahaab Aadaab!

Aapki tareef meiN kia kaheN janab... aapne to bazm
ko roshan kar diyaa hai... behad umdaa gazaleN aur
nazmeN pesh karte hai... Usual Smile

Aapki yeH nazm bhi har baar ki tarhaa laa jawaab rahi
behad dikash aur dilfareb andaaz hai aapka.. Usual Smile

Likhate rahiye... Alaah aapki kalam meiN aur bhi zor e
kuwat bakhshe... Usual Smile


Aap se yehi guzarish hai ke waqt nikal kar is mehfil
ko roshan karte rahiye... Usual Smile
Shaad O aabaad rahiye...
aate rahiye.....
Khuda Hafez Usual Smile
          



Humne kia unse dosti kar lii
Nazmo GazloN ne khudkashi kar lii

   


Logged
manjum
Guest
«Reply #2 on: June 02, 2011, 03:54:23 AM »
Reply with quote
wah wah vipulji... kamaalji.... bahut bahut khub....

 Applause Applause Applause
Logged
MANOJ6568
Khaas Shayar
**

Rau: 31
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
42 days, 19 hours and 59 minutes.

Astrologer & Shayer

Posts: 12017
Member Since: Feb 2010


View Profile
«Reply #3 on: June 02, 2011, 04:38:19 AM »
Reply with quote

gd

Jab Dil Me Teri Yaad thi, Lafz bhi Roushan the.....

Har Waraq se Tere jism ki Khushbu aati Thi......
Har Misra Jaise Shiiri.n Tere Lab sa Tha,
Tab Kalam Meri Bin Soche Hi Chal Jaati Thi.....

Aur ab Jo Tujhko Bhoolne ki Koshish ki hai,
Lafzo.n ne Jaise Mujhse Bagaavat Kar di Hai.....
Mere Khayaal mere aangan me ab nahi rahte,
Meri Tahriir hi ab meri Mudda_ii si hai....
[Tahriir=writing;Mudda_i=Enemy]

Yu.n Khafa hai meri Ghazal ka Har Misra Mujhse,
Main k Paimaan-e-wafaa se Mukar gaya Jaise....
Bina tere ye dil ab is kadar viiraana hai,
Wo Jo ik shakhs tha Dil me, Wo Mar gaya Jaise......
Ab nahi Jalte Mere Lafzo.n se Har simt Chiraag,
Wo Tilism-e-Masiihaayi Bikhar Gaya Jaise......

Jab se Bhoole Hai.n sanam Tujhko, Tere Dard ko ham,
Kya kahe.n Kaisi Gira.n_Baar Zindgi kar Li.....
Aaj Mahsoos ki Teri Yaad ki Shidddat Hamne,
Tujhko Bhoole to...........................
Nazmo.n Ne Khudkushi Kar li........
Logged
vipul kumar
Guest
«Reply #4 on: June 02, 2011, 02:03:39 PM »
Reply with quote
Janab Vipul Sahaab Aadaab!

Aapki tareef meiN kia kaheN janab... aapne to bazm
ko roshan kar diyaa hai... behad umdaa gazaleN aur
nazmeN pesh karte hai... Usual Smile

Aapki yeH nazm bhi har baar ki tarhaa laa jawaab rahi
behad dikash aur dilfareb andaaz hai aapka.. Usual Smile

Likhate rahiye... Alaah aapki kalam meiN aur bhi zor e
kuwat bakhshe... Usual Smile


Aap se yehi guzarish hai ke waqt nikal kar is mehfil
ko roshan karte rahiye... Usual Smile
Shaad O aabaad rahiye...
aate rahiye.....
Khuda Hafez Usual Smile
         



Humne kia unse dosti kar lii
Nazmo GazloN ne khudkashi kar lii

   




Bahut Bahut Shukriya Parwaaz Sahab. Aur Roshni sirf hamse nahi Aap jaise ahl-e-Bazm se Hoti hai, Jo apna kiimati waqt nikaalkar Hame padhte hai.n aur daad aur Duaye.n dete hai.n....
Aur jo yaha.n aane ki baat hai to Jab tak Saans me Shayri aur sukhan rahenge, Ham mahfile.n Kaise chhoD sakte hai....Usual Smile
Aate rahiye... Khush Rahiye....
 SHukriya.
Logged
vipul kumar
Guest
«Reply #5 on: June 02, 2011, 02:04:41 PM »
Reply with quote
wah wah vipulji... kamaalji.... bahut bahut khub....

 Applause Applause Applause

Padhne aur Pasanad karne ka bahut bahut shukriya Manjum ji....
Shaad-o-aabad Rahe.n.....
Logged
vipul kumar
Guest
«Reply #6 on: June 02, 2011, 02:05:22 PM »
Reply with quote
gd

Waqt dene ka Shukriya Manoj ji...
Khush rahe.n......
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 24, 2024, 02:13:41 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.095 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer