vipul kumar
Guest
|
|
|
Samajhte hai.n ye ahl-e-Bazm k Main kudrat se shaayar hu..... Khuda ki bakhshishe.n hai, us ki mere dil pe Nemat hai........... [Nemat=Gift] Kaha jata hai meri kaavishe.n dast-e-Masiiha hai, [Kaavish=Thoghts] Ye Harf-e-Nazm jo hai ye khuda_saazi Viraasat hai........ [Khuda_saazi=God gifted]
Magar ai Kaash Tum dekho Meri Taariik Raato.n ko....... [Taariiq=Dark] Meri Tahriir mere Talkh Tajurbo.n ki Nishaani hai.............. [Tahriir=Writings; Talkh=Bad] Mere alfaaz wo Patthar hai jo Maine sahe sir par, Meri Tahreeq Un Barbaad Raato.n ki Kahaani hai........... [Tahriiq=Writings]
Wafa ke jurm ki sazaa hai mera ye Tabb-o-arz-e-hunar, [Tabb=Talent] Mera naama Meri Rusvaaiyo.n ka hi Natiija hai...... [Naama=Writtings] Meri Kaavish Meri dhadkan ke Zakhmo.n ki Ibaarat hai, [Ibaarat=Writing] Mere Afkaar mere Dil ke Daagho.n ke Siwaa Kya hai........ [Afkaar=Writing]
Musannif yu.n nahi jadta Nagiine dil ke Safho.n Par, [Musannif=Writer] Raqam yu.n hi nahi karta Khayaalo.n ko Kitaabo.n me......... Kayi ujade hue armaan chhupe hote hai har dil me, Ubhar jaate hai bas wo shaayar ki fitrat ke baabo.n me....... [Baab=Subject]
Har ik insaan paata hai Muufide.n kuchh mohabbat me, [Mufeed=Profit] Kisi ko Pyaar Milta Hai kisi ko Dard ke Tohfe...... Magar har faiz ko Taasiir dena Kya Muyassar hai, [Faiz=Profit;Taasiir=to use;Muyassar=Easy] Kahan aasan hai aansu se likhna pyar ke nagme.......
Jinhe lagti hai Meri Shohrate.n Bas aarzi Fikre, [Aaarzi=Temporary] Kisi Shab raat me Tanha akele Ro ke fir dekho..... Tumhare Lafz bhi Ashko.n se Afsha.n ho ke ubhare.nge, [Afsha.n=Bright] Juba.n mil jaayegi Tumhari Nazmo.n ke wusuulo.n ko..... [Wusuul=Collection]
Mere mazmoo.n Juz mere Zakhm Kuchh aur nahi..... [Mazmoo.n=Subject] Mera junun ik Teri mohabbat ke siwa kya hai...... Mera har Harf Dil ki Chot ka Partau hai Bas Yaara, Mera afsana Ab teri ibaadat ke siwaa kya hai......!! Mera afsana Ab teri ibaadat ke siwaa kya hai......!!
|