Only for Jagjeet Gazhals

by mili_genie on September 02, 2005, 11:33:30 AM
Pages: 1 [2] 3 4 5 6 7
ReplyPrint
Author  (Read 15148 times)
HumTum
Guest
«Reply #15 on: September 02, 2005, 11:53:14 AM »
Reply with quote
tere hote hue mahafil me.n jalaate hai.n chiraaG
log kyaa saadaa hai.n suuraj ko dikhaate hai.n chiraaG

apanii maharuumiyo.n pe sharmindaa hai.n
Khud nahii.n rakhate to auro.n ke bujhaate hai.n chiraaG

bastiyaa.N chaa.Nd sitaaro.n pe basaane vaale
kurraa-e-arz bujhaate jaate hai.n chiraaG

kyaa Khabar hai un ko ke daaman bhii bha.Dak uThate hai.n
jo zamaane kii havaao.n se bachaate hai.n chiraaG

aisii taariikiiyaa.N aa.Nkho.n me.n basii hai.n 'Faraz'
raat to raat ham din ko jalaate hai.n chiraaG
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
few lines sung by jagjeet by vb in Share:Miscellaneous Shayari
mili_genie
Guest
«Reply #16 on: September 02, 2005, 12:00:10 PM »
Reply with quote
Jinka tha pyar dil main wo begane ho gaye,
Sab manzilyen viran raste sab anjane ho gaye,
Ab ye aalam hai dil main mere,
Samma ke sang jal jal ke jaise parwane ho gaye,
Bas youn hi bhooli visri yaaden de deti hai dastak,
dil ko Un se mile to sayad jamane ho gaye,
Jhuta tha wo pyar jhuti thi wo moh maaya
Kashme waade jo kiye the fashane ho gaye,
Ab gujarti hai zindagi kuch is tarah hamari Ki,
har gali har basti may ke maykhane ho gaye
Logged
mili_genie
Guest
«Reply #17 on: September 03, 2005, 07:18:06 AM »
Reply with quote
aawaara hai galiyon mein main aur meri tanhayee
     jaayen to kahan jaayen har mod pe ruswaayee
     main aur meri tanhaayee main aur meri tanhaayee

     ye phool se chehre hain hanste huye guldaste
     koi bhee nahin apna begaane hain sab raste
     raahen bhee tamashyee raahen bhee tamashaee
     main aur meri tanhaayee main aur meri tanhaayee

     armaan sulagte hain seene mein chitha jaise
     qaatil nazar aati hai duniya ke hawa jaise
     roti hai mere dil par bajti huyee shehnayee
     main aur meri tanhaayee main aur meri tanhaayee

     aakaash ke maathe par taaron ka charagam hai
     pehloo mein magar mere zakhmon ka gulistaan hai
     aankhon se lahoo tapka daaman mein bahaar aayee
     main aur meri tanhaayee main aur meri tanhaayee
Logged
mili_genie
Guest
«Reply #18 on: September 03, 2005, 07:21:13 AM »
Reply with quote
    milkar juda huye tho na soya karenge hum
     ek doosre ke yaad meiN roya karenge hum

     aaNsoo chalak chalak ke sathaayenge raath bhar
     moti palak palak meiN piroyaa karenge hum

     jab dooriyoN ki yaad diloN ko jalaayegi
     jismoN ko chaandni meiN bhigoya karenge hum

     gar de gaya daga hameN toofan bhi 'qateel'
     sahil pe kashtiyoN ko doobOya karenge hum
Logged
mili_genie
Guest
«Reply #19 on: September 03, 2005, 07:22:47 AM »
Reply with quote
  yeh mojeza bhi mohabbat kabhi dikhaaye muJhe
     ke sang tuJhpe gire aur zakhm aaye muJhe

     wo meharbaaN hai tho ikraar kyooN nahiN kartha
     wo badgumaaN hai tho sau baar aazmaaye muJhe

     wo mera dost hai saare jahaaN ko hai maaloom
     daga kare wo kisi se tho sharm aaye muJhe

     maiN apni zaat meiN neelam ho raha hooN 'qateel'
     gham-e-hayaat se keh do khareed laaye muJhe
Logged
mili_genie
Guest
«Reply #20 on: September 03, 2005, 07:23:57 AM »
Reply with quote
  dil ko gham-e-hayaat gaNwaara hai in diNo
     pehle jo dard tha wahi chaara hai in diNo

     ye dil zara sa dil teri yaadoN meiN kho gaya
     zaRRe ko aandhiYon ka sahara hai in diNo

     tum aa sako to shab ko baDha dooN kuch aur bhi
     apne kahe meiN subhO ka taara hai in diNo
Logged
mili_genie
Guest
«Reply #21 on: September 03, 2005, 07:25:57 AM »
Reply with quote
apne haathon kee lakiron mein basa le mujhko
     main hoon tera to naseeb apna bana le mujhko

     mujhse too poochne aaya hai wafa ke maani
     ye teri saadaa-dili maar na daale mujhko
   
     khud ko main baant na daaloon kahin daaman-daaman
     kar diya tune agar mere hawaale mujhko

     waada fir waada hai main zehar bhi pee jaaoon 'qateel'
     shart ye hai koi baahon mein sambhaale mujhko
Logged
mili_genie
Guest
«Reply #22 on: September 03, 2005, 07:27:46 AM »
Reply with quote
angdai par angdai leti hai raat judaaee kee
     tum kya samjho tum kya jaano baat meri tanhaayee kee

     kaun siyahi ghol raha tha waqt ke behte dariya mein
     maine aankh jhuki dekhi hai aaj kisi harjee kee

     wasl ki raat na jaane kyoon israar tha unko jaane par
     waqt se pehle dhoob gaye taaron ne badi daanaee kee
   
     udte udte aas ka panchi door ufaq mein dood gaya
     rote rote baith gayee awaaz kisi saudaaee kee
Logged
mili_genie
Guest
«Reply #23 on: September 03, 2005, 07:32:06 AM »
Reply with quote
sadma hai mujhe bhi ke tujhse juda hoon main
     lekin ye sonchtaa hoon ke ab tera kyaa hoon main

     bikhraa pada hai tere hi ghar mein tera wajood
     bekaar mehfilon mein tujhe dhoondtaa hoon main

     naa jaane kis adaa se liya toone mera naam
     duniya samajh rahee hai ke sab kuch tera hoon main

     le mere tajurbon se sabak ae mere raqeeb
     do chaar saal umr mein tujhse bada hoon main
Logged
mili_genie
Guest
«Reply #24 on: September 03, 2005, 07:34:18 AM »
Reply with quote
pehle to apne dil ki raza jaan jayeeye
     fir jo nigah-e-yaar kahe maan jayeeye

     pehle mijaaz raah guzar jaan jayeeye
     fir kard-e-raah jo bhi kahe maan jaayeye

     kuchh keh rahi hai aapke seene ki dhadkane
     mera nahi to dil ka kaha maan jayeeye

     ik dhoop si jami hai nigaahon ke aas paas
     ye aap hain to aap pe kurbaan jayeeye

     shayad huzoor se koi nisbat hame bhi ho
     aankho me jhaank kar hame pehchaan jayeeye
Logged
bicky
Guest
«Reply #25 on: September 05, 2005, 06:03:10 PM »
Reply with quote
Mili ji, namaste! salaam! sat sri akal!
Ek ghazal add karne ki ghustakhi kar raha hoon, socha shayed aap ko pasand aaye. Ghazal ke aakhir mein ek baan khudh bana kar daala hai, pheli khoshish hai, koi galati ho toh seekha deejiyega.



Jeewan Kya Hai, Chalta Phirta, Ek Khilona Hai
Do Aankhon Mein, Ek Se Hasna, Ek Se Rona Hai

Chalte Chalte, Raha Mein Yuunhin, Raasta Mudeh Jaata Hai
Anjaane Mein, Anjaane Se, Rishta Judeh Jaata Hai
Kisse Paata Hai, Kis Raaste Mein, Kab Kya Hona Hai
Jeewan Kya Hai, Chalta Phirta, Ek Khilona Hai

Beett Gaya Joh, Woh Hi Har Pal, Aage Kyon Chalta Hai
Raakh Hue Aangare Kabke, Phir Bhi Dil Jaalta Hai
Bhooli Bhisri Yaadon Ko, Aaskoon Se Dhoona Hai
Jeewan Kya Hai, Chalte Phirta, Ek Khilona Hai

Jo Jee Chahe, Woh Mil Jaaye, Kab Aisa Hota Hai
Har Jeewan, Jeewan Jeene Ka, Samjhota Hota Hai
Abh Tak Jo Hota Aaya Hai, Woh Hi Hona Hai
Jeewan Kya Hai, Chalte Phirta, Ek Khilona Hai

Raat Andheri, Bhoor Sunheri, Yehi Zamana Hai
Haar Chaadar Mein, Sukh Ka Taana, Dukh Ka Baana Hai
Aati Saans Ko Paana, Jaati Saans Ko Khona Hai
Jeewan Kya Hai, Chalte Phirta, Ek Khilona Hai

Do Chehron Se, Jeena Bhi, Kaisi Majboori Hai
Jitna Jo Nasdeek Hai Usse, Utni Doori Hai
Phoolon Ke Sapne Lekar, Kaanton Par Sona Hai
Jeewan Kya Hai, Chalte Phirta, Ek Khilona Hai

Door Pahadhi Ke Peeche Jab, Suraj Dhalta Hai
Parchayen Jaisa Koi, Saanson Mein Chalta Hai
Bhooli Bhisri Yaadon Ko, Aaskoon Se Dhoona Hai
Jeewan Kya Hai, Chalte Phirta, Ek Khilona Hai


The ghazal ends here, and the verse that follows is my addition, what do you think of it mili ji.

Dukh Hai Daaru, Sukh Hai Rog, Yehi Haqeeqat Hai
Dukh Mein Insaan Dhoondhe Bhagwaan, Sukh Mein Bhuley Hai
Mann Mein Rahe Har Pal Daata, Phir Dukh Kahe Hoye
Jeewan Kya Hai, Chalta Phirta, Ek Khilona Hai
Do Aankhon Mein, Ek Se Hasna, Ek Se Rona Hai
Jeewan Kya Hai, Chalta Phirta, Ek Khilona Hai.


Daaru ~ Medicine
Logged
mili_genie
Guest
«Reply #26 on: September 07, 2005, 05:18:30 AM »
Reply with quote
bahot khooob bicky ji........
aur hum bhi to aapke hi jaise hai.......
Logged
mili_genie
Guest
«Reply #27 on: September 08, 2005, 09:26:27 AM »
Reply with quote
rishton mein darar aaye
bete na rahe bete
bhai na rahe bhai
rishton mein darar aaye
                                       
parkha hai lahu apna, bharata hai zamane ko
tufano mein koi bhi, aaya na bachane ko
sahil pe nazar aayee
kitane hi tamasai
                                     
Dhoondane se nahi milta, raahat ka jahan koi
TooTe huwe damo ko, le jaye kahaN koi
har mod pe hoti hai
ehsaas ki rusvaai
                                     
zakhmon se khili kaliyan, ashkon se khili shabnam
patthar ke daricHe se, aaya hai naya mausam
raaton ki siyali se
li subho ne angadai
Logged
rick
Guest
«Reply #28 on: September 09, 2005, 11:21:43 AM »
Reply with quote
teri yadoko dil me basake rakha he
teri taswir ko aankho me chhupake rakha he
aage kya batau janemann
mere to har lafzo me tu hi samai he.
Logged
sashe75
Guest
«Reply #29 on: September 12, 2005, 07:30:26 PM »
Reply with quote
Ek Humari Bhi Sunn Le Aap...?

Ruthi Hai Aisi Zindagi Hum Kya Bayaan De
Le Gaya Ho Pata Jaise Koi Koo-e-yaar Ke
Ruswa-e-Dahar K Mare Hai Hum Ab Aur Kya Kahe
Zakhm Aise Khaye Hai Jo Jigar K Par Na Ho Sake
Logged
Pages: 1 [2] 3 4 5 6 7
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 27, 2025, 04:42:23 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.111 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer