Only for Jagjeet Gazhals

by mili_genie on September 02, 2005, 11:33:30 AM
Pages: 1 2 3 4 [5] 6 7
ReplyPrint
Author  (Read 15063 times)
Shikha12
Guest
«Reply #60 on: March 29, 2006, 07:39:16 AM »
Reply with quote
fir se mausam baharoN ka aane ko hai
fir se rangiN zamana badal jaayega
abki bazme charaagoN saja lenge hum
Ye bhi armaan dil ka nikal jaayega

aap karde jo muJhko nigaahe karam
meri ulfat ka reh jaayega kuch bharam
yuN fasana to mera rahega yahi
sirF unwaan uska badal jaayega

fiki fiki see kyoon shaam-e-maikhanaa hai
lutf saaqi bhi kam khaali paimaana hai
apnee nazroN se hee kuch pila de jiye
rang mehfil ka khud hee badal jaayega

mere miTne ka unkO zara gam nahiN
julF bhi unki ae dosth war ham nahiN
apne hone na hone se hotha hai kya
kaam duniya ka yun hee to chal jaayega

aapne dil jo 'zaahid' ka toDa to kya
aapne uski duniya ko choDa to kya
aap itne to aakHir pareshaaN na hoN
wo sambhalte sambhalte sambhal jaayega
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
few lines sung by jagjeet by vb in Share:Miscellaneous Shayari
Shikha12
Guest
«Reply #61 on: March 29, 2006, 07:41:03 AM »
Reply with quote
kisne bheege huye baaloN se ye jHaTka paani
jhooM ke aayi ghaTa TooT ke barsa paani

koi matwaali ghaTa peeke jawaani ki umang
jee baha le gaya barsaat ka pehla paani

TikTiki baandhe wo firte haiN maiN is fidR meiN hooN
kahiN khaane lage chakkar na ye gehra paani

baat karne mein wo un aankhoN se amrit tapka
aarzoo dekhte hee mooh meiN bhar aaya paani
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #62 on: March 29, 2006, 07:44:26 AM »
Reply with quote
I M A DIE-HARD JAGJEET FAN.... SO HERE IS ONE MORE

patha-patha booTa-booTa haal hamaara jaane hai
jaane na jaane gul hi na jaane baag to saara jaane hai

chaara gareebi maariye dil ki rasm-e-shehar-e-husn naheeN
warna dilbar ae' naadaaN bhi is dard ka chaara jaane hai

mehar-o-wafa-o-lutf-o-inaayat ek se waakif inmeiN nahiN
aur to sab kuCh tanz-o-kinaaye  ranjo ishaara jaane hai
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #63 on: March 29, 2006, 07:45:43 AM »
Reply with quote
ONE OF MY FAVORITE:

zindagi say badi saza hi nahin
aur kya jurm hai pata hi nahin

itne hissoN meiN bat gaya hoon maiN
meray hisay meiN kuch bacha hi nahin

sach ghatay ya badey to sach na rahey
jhooth ki koi intehaa hi nahin

jad do chaandi meiN chahey sonay meiN
aaiana jhooth bolta hi nahin
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #64 on: March 29, 2006, 07:47:28 AM »
Reply with quote
wo rulakar hans na paya der taq
jab maiN rokar mushkuraaya der taq

bhoolna chaaha agar usko kabhi
aur bhi wo yaad aaya der taq
 
bhookhe bachchoN ki tasalli ke liye
maa ne phir paani pakaya der taq

gungunata jaa raha tha ik fakeer
dhoop rehti hai na saaya der taq
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #65 on: March 29, 2006, 07:49:26 AM »
Reply with quote
tumne sooli pe latakte jise dekha hoga
waqt aayega wahi shaksh maseeha hoga

khwaab dekha thaa ke sehra meiN basera hoga
kyaa khabar thi ke yahi khwaab to sachcha hoga

maiN fizaaoN meiN bikhar jaaoonga khushboo bankar
rang hoga na badan hoga na chehra hoga
Logged
mili_genie
Guest
«Reply #66 on: March 29, 2006, 12:23:29 PM »
Reply with quote
wowwwwwwwwwwwwwww....... keep it up shikha ji..... Usual Smile
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #67 on: March 29, 2006, 01:10:36 PM »
Reply with quote
thanks mili ji.....for giving a platform for jagjeet fans.... and i am one of his greatest fans... so thanks to u, and keep going the good work
Logged
jugnu
Guest
«Reply #68 on: March 30, 2006, 04:54:59 AM »
Reply with quote
sarakati jaaye hai rukh se naqaab aahista-aahista,
nikalata aa raha hai aaftaab aahista-aahista !

jawaan hone lage jab vo to ham se kar liya parda,
haya yakalakht aayi aur shabaab aahista-aahista !

shab-e-furkat ka jaaga huun farishton ab to sone do,
kabhi fursat mein kar lena hisaab aahista-aahista !

savaal-e-vasl par unko uduu ka Khauf hai itana,
vo honthon se dete hain javaab aahista aahista !

hamare aur tumhare pyar mein bas fark hai itana,
idhar to jaldi jaldi hai udhar aahista aahista !

vo bedardi se sar kaate "ameer" aur main kahuun un se,
huzuur aahista aahista, janaab aahista-aahista !
Logged
jugnu
Guest
«Reply #69 on: March 30, 2006, 04:59:44 AM »
Reply with quote
Ik na ik shama andhere mein jalaye rakhiye,
subah hone ko hai mahaul banaye rakhiye !

jin ke haathon se hamen zakhm-e-nihaan pahunche hain,
vo bhi kahate hain ki zakhmon ko chupaye rakhiye !

kaun jaane ki vo kis raah-guzar se guzare,
har guzar-gaah ko phoolon se sajaaye rakhiye !

daaman-e-yaar ki zinat na bane har aansuu,
apani palakon ke liye kuchh to bachaye rakhiye !!

Tariq Badayuni
Available in Album(s): The Unforgettables
Logged
jugnu
Guest
«Reply #70 on: March 30, 2006, 05:03:39 AM »
Reply with quote
Bahut pahale se un qadamon ki aahat jaan lete hain,
tujhe ai zindagi ham door se pahchaan lete hain !

meri nazaren bhi aise qaatilon ka jaan-o-imaan hai,
nigaahen milte hi jo jaan aur imaan lete hain !

tabiyat apani ghabraati hai jab sun-saan raaton mein,
ham aise mein teri yaadon ki chaadar taan lete hain !

'Firaq' aksar badal kar bhes milata hai koi qaafir,
kabhi ham jaan lete hain kabhi pahchaan lete hain !!

Firaq Gorakhpuri
Available in Album(s): The Unforgettables
Logged
jugnu
Guest
«Reply #71 on: March 30, 2006, 05:08:34 AM »
Reply with quote
Baat nikalegi to phir door talak jaayegi
log bevajah udaasi ka sabab puchenge
ye bhi puchege ki tum itani pareshaan kyuun ho
ungaliyan uthengi sukhe huye baalon ki taraf
ik nazar dekhenge guzare huye saalon ki taraf
chudiyon par bhi kai tanz kiye jaayenge
kanpate haathon pe bhi fikre kase jaayenge
log zaalim hain har ik baat ka taana denge
baaton baaton mein mera zikr bhi le aayenge
unaki baaton ka zara sa bhi asar mat lena
varna chehare ke taasur se samajh jaayenge
chaahe kuch bhi ho savalat na karna unse
mere bare mein koi baat na karna unse
baat nikalegii to phir duur talak jaayegii !!

Kafeel Aazer
Available in Album(s): The Unforgettables
Logged
jugnu
Guest
«Reply #72 on: March 30, 2006, 05:13:28 AM »
Reply with quote
Din aa gaye shabab ke aanchal sambhaliye,
hone lagi hai shahar mein hal-chal sambhaliye !

chaliye sambhal sambhal ke kathin raah-e-ishq hai,
naazuk badi hai aap ki payal sambhaliye !

saj dhaj ke aap nikale sar-e-raah Khair ho,
Takara na jaaye aap ka pagal sambhaliye !

ghar se na jaao duur kisi ajnabi ke saath,
barasenge zor-zor se badal sambhaliye !

din aa gaye shabab ke aanchal sambhaliye,
hone lagi hai shahar mein hal-chal sambhaliye !!

Madanpal
Available in Album(s): Together
Logged
jugnu
Guest
«Reply #73 on: March 30, 2006, 05:19:12 AM »
Reply with quote
Gulshan ki faqat phoolon se nahin kanton se bhi zinat hoti hai,
jine ke liye is duniya mein gam ki bhi zarurat hoti hai !

ai vaaiz-e-nadan karta hai tu ek qayamat ka charcha,
yahaan roz nigahen milati hain yahaan roz qayamat hoti hai !

vo purasish-e-Gam ko aaye hain kuch kah na sakun chup rah na sakun,
Khamosh rahun to mushkil hai kah doon to shikayat hoti hai !

karna hi padega zabt-e-alam pine hi padenge yeh aansu,
fariyaad-o-fugan se ai nadan tauhin-e-mohabbat hoti hai !

jo aake ruke daaman pe 'sabaa' vo ashq nahin hain paani hai,
jo aansu na chhalke aankhon se us ashq ki qimat hoti hai !!

Saba Afghani
Available in Album(s): Together
Logged
jugnu
Guest
«Reply #74 on: March 30, 2006, 05:28:37 AM »
Reply with quote
Pareshaan raat saari hai sitaaro tum to so jaao,
sukuut-e-marg taari hai sitaaro tum to so jaao !

tumhen kya aaj bhi koi agar milane nahin aaya,
ye baazi ham ne haari hai sitaaro tum to so jaao !

kahe jaate ho ro-roke hamara haal duniya se,
ye kaisi raazdari hai sitaaro tum to so jaa !

hamen to aaj ki shab pau phate tak jaagna hoga,
yahi qismat hamari hai sitaaro tum to so jaao !

hamen bhi niind aa jaayegi ham bhi so hi jaayenge,
abhi kuchh beqarari hai sitaaro tum to so jaao !!

Qateel Shifai
Available in Album(s): Memorable Ghazals of Jagjit and Chitra Singh
Logged
Pages: 1 2 3 4 [5] 6 7
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 04:16:58 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.218 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer