Only for Jagjeet Gazhals

by mili_genie on September 02, 2005, 11:33:30 AM
Pages: 1 ... 3 4 5 6 [7]
ReplyPrint
Author  (Read 15012 times)
mili_genie
Guest
«Reply #90 on: July 25, 2006, 01:23:18 PM »
Reply with quote
:::- clapping -:::

gr8 job all of u.... tongue3
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
few lines sung by jagjeet by vb in Share:Miscellaneous Shayari
Sonu
Guest
«Reply #91 on: July 29, 2006, 06:39:47 AM »
Reply with quote
sabney bahut acha likha hia  

   
Logged
RamSagar
Guest
«Reply #92 on: July 29, 2006, 07:18:17 AM »
Reply with quote
nice thread.....


TUM HAMARE NAHI TO KYA GUM HAI...........
HUM TUMARE TO HAI YE BHI KYA KAM HAI........
Logged
ranjana
Guest
«Reply #93 on: July 30, 2006, 03:10:50 AM »
Reply with quote
bahut khoon ..nice thread ....Jagjit singh ji ko sunana mujhe bhi bahut pasand hai....good collections......



baat nikalegii to phir duur talak jaayegii

log bevajah udaasii kaa sabab pUchhe.nge
ye bhii puuchhe.nge ke tum itanii pareshaa.n kyU.N ho
u.ngaliyaa.n uThe.ngii suukhe hue baalo.n kii taraf
ek nazar dekhe.nge guzare hue saalo.n kii taraf
chuu.Diyo.n par bhii kaI ta.nz kiye jaaye.nge
kaa.Npate haatho.n pe bhii fikare kase jaaye.nge

log zaalim hai.n har ek baat kaa taanaa de.nge
baato.n baato.n me.n meraa zikr bhii le aaye.nge - 2
unakii baato.n kaa zaraa saa bhii asar mat lenaa
varanaa chehare kii taasur se samajh jaaye.nge
chaahe kuchh bhI ho savaalaat naa karanaa unase
mere baare me.n koI baat na karanaa unase

baat nikalegii to phir duur talak jaayegii
Logged
mili_genie
Guest
«Reply #94 on: September 12, 2006, 08:53:39 AM »
Reply with quote
hey thanx ranjana ji...
and nice once.. this is also my favorite one..
Logged
ranjana
Guest
«Reply #95 on: September 14, 2006, 07:55:31 AM »
Reply with quote
shukriya ji...yeh bhi  mujhe bahut pasand hai  Usual Smile

Dariya Ka Saahil Ho, Poore Chaand Ki Raat Ho
Aur Tum Aao, Kabhi Yoon Bhi To Ho

Pariyon Ki Mehfil Ho, Koi Tumhari Baat Ho
Aur Tum Aao, Kabhi Yoon Bhi To Ho

Ye Naram Mulaayam Thandi Hawaayen, Jab Ghar Se Tumhaare Guzre
Tumhari Khushbo Churaayen, Mere Ghar Le Aayen, Kabhi Yoon Bhi To Ho

Sooni Har Mehfil Ho, Koi Na Mere Saath Ho
Aur Tum Aao, Kabhi Yoon Bhi To Ho

Ye Baadal Aise Toot Ke Barse, Mere Dil Ki Tarah Milne Ko,
Tumhara Dil Bhi Tarse, Tum Niklo Ghar Se, Kabhi Yoon Bhi To Ho

Tanhaai Ho Dil Do, Boonde Hon Barsaat Ho Aur Tum Aao.
Logged
ranjana
Guest
«Reply #96 on: September 14, 2006, 10:00:18 AM »
Reply with quote
Ye Bhi Kya Ehsaan Kam Hai Dekhiye Na Aap Ka
Ho Raha Hai Har Taraf Charcha Humara Aap Ka

Chaand Mein To Daag Hai Par Aape Mein Wo Bhi Nahin
Chaudhwi Ke Chaand Se Badhke Hai Chechra Aap Ka

Ishq Mein Aise Bhi Hum Doobe Huye Hain Aap-ke
Apne Chechre Pe Sada Hota Hai Dhokha Aap Ka

Chaand-suraj, Dhoop-subahah, Keh-kasha Taare-shama
Har Ujaale Ne Churaaya Hai Ujaala Aap Ka
Logged
ranjana
Guest
«Reply #97 on: September 14, 2006, 10:02:54 AM »
Reply with quote
Babul Mora, Naihar Chhooto Hi Jaye,
Babul Mora, Naihar Chhooto Hi Jaye,

Chaar Kaha Mil Mori, Doliya Sajayi Re,
Mora Apna Begana, Chhooto Jaye,
Naihar Chhooto Hi Jaye,

Angana To Parbat Bhayo, Dyudi Bhayi Videsh,
Le Babul Ghar Aapna, Main Chali Piya Ke Desh

film[ Aavishkar]
Logged
ranjana
Guest
«Reply #98 on: September 14, 2006, 10:04:59 AM »
Reply with quote
Aayina Dekh Ke Bole,
Yeh Savarne Wale,
Ab To Bemaut Marenge,
Mere Marne Wale,

Dekh Ke Tumko,
Hosh Mein Aana,
Bhool Gaye,
Yaad Rahe Tum,
Aur Jamana Bhool Gaye,

Jab Samne Tum, Aa Jate Ho,
Kya Jane Kya Ho Jata Hai,
Kuch Mil Jata Hai,
Kuch Kho Jata Hai,
Kya Jane Kya Ho Jata Hai,

Chaha Tha Yeh Kahege,
Socha Tha Who Kahege,
Aaye Who Samne To,
Kuch Bhi Na Keh Sake Bas,
Dekha Kiye Unhe Hum,
Dekh Kar Tum Ko Yakin Hota Hai,
Koi Itna Bhi Haseen Hota Hai,
Dekh Pate Hai Kaha Hum Tumko,
Dil Kahi Hosh Kahi Hota Hai,

Aa Kar Chale Na Jana,
Ayese Nahi Satana,
Dekar Hasee Laboo Ko,
Aakho Ko Mat Rulana,

Dena Na Bekarari,
Dil Ka Karar Ban Ke,
Yaado Mein Kho Na Jana,
Tum Intajar Banke,

Bhool Kar Tumko Na Jee Payege,
Saath Tum Dogi Jaha Hum Jayege,
Hum Koi Waqt Nahi Hai Humdum,
Jab Bulaoge Chale Aayege.
Logged
Sonu
Guest
«Reply #99 on: September 15, 2006, 02:51:27 AM »
Reply with quote
ranju sis wonderful.. bahut hi achi gazels hai...
Logged
vibs
Guest
«Reply #100 on: October 18, 2006, 05:50:36 PM »
Reply with quote
thanks ... for the lyrics and all.. i am too a dedicated jagjit singh's fan
Logged
ALONE BAD
Guest
«Reply #101 on: November 27, 2006, 09:56:36 AM »
Reply with quote
every gazal of Jagjit Jee is my all time fav...

here r some which i like


Zhuki-zhuki si nazar bekarar hai ke nahi
Daba-daba sa sahi dil main pyaar hai ke nahi
Zhuki-zhuki si nazar....

Teri umeed pae thukra raha hoon duniya ko
Tujhae bhi apnae pe ye aitbaar hai ke nahi
zhuki-zhuki si nazar.....

Tu apne dil ki jawa dhadkanoo ko sun ke bata
Meri tarha tera dil bekarar hai ke nahi
zhuki-zhuki si nazar.....


hope u like it toooo.....
Logged
ALONE BAD
Guest
«Reply #102 on: November 27, 2006, 10:00:26 AM »
Reply with quote
Jabsae hum tabah ho gaye...
Aaenae sayaha ho gaye...

Dushmanoo ko chithiyaan likho..
Dost kher khaba ho gaye.....


Jabsae hum tabah ho gaye.....
Logged
Pages: 1 ... 3 4 5 6 [7]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 15, 2024, 01:47:12 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.082 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer