PAAON MERE ZAMEEN PE REHNE DO.....,Hasan

by F.H.SIDDIQUI on August 12, 2011, 10:56:34 AM
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Author  (Read 2325 times)
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #15 on: August 14, 2011, 07:15:07 AM »
Reply with quote
Qadeer Junaid saheb,Aadab.Aap ke purkhuloos tabsire ke liye behad mashkoor hoon.Aap ne jis tashweesh ka izhaar kiya hai,haqeeqat yeh hai ki usske baare mein wasooq ke saath main bhi kuchh naheen kah sakta.Mera khayaal hai ki jis tarah ZAMEEN , NAAZNEEN , AASTEEN waghaira alfaaz saakin noon ke saath iste'maal ho sakta hai ussi tarah lafz SAAMA'EEN bhi iste'maal ho sakta hai.Iss tarah ki ghaltiyaan umooman khud hi khatakne lagti hain aur iste'maal karte waqt shakk paida karti hain.Magar aisa kuchh ehsaas bhi mujhe nahee.n hua.Bahar'haal yeh meri laailmi ho sakti hai.Behtar hai--aur yeh meri guzaarish bhi hai--ki YOINDIA ke koi aur saaheb e nazar ,agar ilm rakhte ho.n to apni garaanqadr raai se nawaazein.Iss tarah aap ke saath mere bhi ilm mein izaafa ho jaaye ga....Khair andesh,Hasan

hasan sahab tasleemaat,,

Apka jawab parh ke khushi howi ,, Lafz Samaee.N ke saat non ailaan zaroori hai ,,ya nahi kya is lafz ko shiri zaroriyat ke hisab se is tarhan bandha jaasakta hai ke nahi ab koi adeeb hazrat hi bata sakte hain ,,meri guzarish hai ke Waqif Ansari Sahab aur Satis Shuka sahab ya phir koi digar hazrat jo ilm rakhte hain ,,zara raushni daalen to maherbani hogi ,,

dua go

Qadeertoopchi
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Maa-Baap (Zameen Par Rehne Wale Khuda) by khwahish in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan « 1 2  All »
AAP JUB SE MERE HUMSAFAR HO GAYE...Hasan by F.H.SIDDIQUI in Ghazals « 1 2  All »
MERE DIL KE GHAREEB KHAANE MEIN.............HASAN by F.H.SIDDIQUI in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
WOH PAREE - HUSN MERE KHWAABON MEIN AATA HAI BAHUT ..........HASAN by F.H.SIDDIQUI in Ghazals « 1 2  All »
MERE SAPNON KI SAKHEE ....................... HASAN by F.H.SIDDIQUI in Ghazals « 1 2 3  All »
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #16 on: August 14, 2011, 09:02:05 AM »
Reply with quote
Beshak,Qadeer saheb.Main pehle hi guzaarish kar chuka hoon.Ab aap ki bhi khwaahish zaahir ho gai hai to insha'allah doston mein koi zaroor aage aayega.Satishji aur Waquif saheb donon hi, meri nazar mein bhi, moatabar aur zee-ilm hastiyaan hain .Innki raai yaqeenan qabil e qadr hogi.Hasan
Logged
sbechain
Guest
«Reply #17 on: August 14, 2011, 07:54:40 PM »
Reply with quote
Mai.n  jahaa.n  hoo.n  wahee.n  pe  rehne  do,
Paao.n  mere  zamee.n  pe  rehne  do

Har  jagah  se  mitaa  do  naam  mera,
Bus  lab-e-naaznee.n   pe  rehne  do

Kah  chuke  ho  jo  tum ko  kehna  thha,
Faisla   saama'ee.n   pe  rehne  do

Khud  ko  her  zaaviye  se  dekh  liya,
Aa'ina  ab  wahee.n   pe  rehne  do

Bhool  jaaoo.n  na  dosto.n  ko 'Hasan',
Kychh  nishaa.n  aastee.n  pe  rehne  do


BAHUT BAHUT BAHUT KHOOBSURAT GHAZAL


             Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #18 on: August 14, 2011, 08:13:22 PM »
Reply with quote
Siddiqui Sahaab Aadaab!

Masha Allah janab kia khubsurat gazal bazm ko
ataa ki hai aapne ... Aik aik ashaar behad khub
aur behad purasar raha... Usual Smile

puri kalaam behad khoob rahi janab humari dil se
daad O mubarakbad kabul kijiye... Usual Smile
         




Mai.n  jahaa.n  hoo.n  wahee.n  pe  rehne  do,
Paao.n  mere  zamee.n  pe  rehne  do

Kia kahne janab waah bada pyaara
matlaa kaha hai aapne daad daad daad Usual Smile         


Har  jagah  se  mitaa  do  naam  mera,
Bus  lab-e-naaznee.n   pe  rehne  do

Waah janab waah bahut khoob..
Badi masoomiyat se behad achchi baat kahi aapne tongue3
Daad daad daad Usual Smile         


Kah  chuke  ho  jo  tum ko  kehna  thha,
Faisla   saama'ee.n   pe  rehne  do

Bahut achche janab behad achcha sher hai.. daad Usual Smile
Is kafiye ki bahas maiN hum bhi kahna chaheNge.. Waise to aap
sukhanwaroN meiN humari koi bisaat nahi.. par hume jahaaN sahiN
lagtaa hai hum wahaaN zarur kahna munaseeb samjhte haiN..
Haan hum bhi is kafiye ke bare meiN Qadeer Sahaab ke hum khayaal hai.. Usual Smile "Saamaeen" meiN nun ki awaaz bhari hai usko nadarad nahi kiya jaa sakta.. Usual Smile YahaaN silent nun ki awaaz paida nahi
ho paa rahi hai.. Usual Smile Ummid hai aap usko silent nun meiN padheN to sirf woH lafz "saamee" rah jayeNga .....       


Khud  ko  her  zaaviye  se  dekh  liya,
Aa'ina  ab  wahee.n   pe  rehne  do

Behad khoob ... daad Usual Smile         

Bhool  jaaoo.n  na  dosto.n  ko 'Hasan',
Kychh  nishaa.n  aastee.n  pe  rehne  do

Gazab janab behad gazab daad daad daad Usual Smile         


Siddiqui Sahaab Aap ki is dilkash kalaam par
phir se daad .. aur koi gustaqui huyi ho toH dil se mazarrat
chahte haiN  .. Usual Smile

Likhate rahiye... Aate rahiye.. Usual Smile
Khush O aabaad rahiye...
Khuda Hafez Usual Smile       

Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #19 on: August 15, 2011, 11:12:16 AM »
Reply with quote
Sheba ji,Tabsire aur hausla afzaai ke liye bahut bahut shukriya.khush rahiye.
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #20 on: August 15, 2011, 06:19:01 PM »
Reply with quote
Parwaaz Saheb,Ghazal padhne aur hausla afzaai ke liye shukriya.Qadeer saheb ke uthhaye huve mudday per aap ki raai ka isteqbaal hai.Aap ki raaai se main poori tarah muttafiq nahiin ho paaraha hoon.Aap ne likha hai ki SAAMA'EE.N mein  Silent noon ki aawaz paida naheen ho paa rahi hai aur yeh sirf SAAMEE rah jaata hai.Mere khayaal se aawaz paida ho rahi hai : aap lafz SAAMA'EE.N ko silent noon ke saath phir se  parh kar dekhei.n.Eik doosra  issi tarah ka lafz bhi support mein pesh kar raha hoo.n--TA'EE.N.isse bhi try kijiye.Haan aap ne doosri baat jo likhi hai ki-- SAAMA'EEN mein noon ki aawaz bhari hai usko nadaarad nahee.n kiya jaa sakta.--Yehi kuchh Qadeer saheb ne kaha hai ki 'noon ka elaan zaroori hai'.Yahaan per jawaab talab ye hai ki lafz SAAM'AEEN kya SAAMA'EE.N (yaani silent noon se)istemaal ho sakta hai jaise NAANEE.N,ZAMEE.N waghaira ho sakte hai.n. ya nahee.n. Ummeed hai aap ne meri daleel se bura nahii.n maana hoga.Islaah ke liye phir se khair maqdam hai.Filhaal mai.n muntazir hoo.n ki mere she'r ko phansi ki saza milti hai ya usski appeal manoor hoti hai.Hasan
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #21 on: August 15, 2011, 06:53:01 PM »
Reply with quote
Parwaaz Saheb,Ghazal padhne aur hausla afzaai ke liye shukriya.Qadeer saheb ke uthhaye huve mudday per aap ki raai ka isteqbaal hai.Aap ki raaai se main poori tarah muttafiq nahiin ho paaraha hoon.Aap ne likha hai ki SAAMA'EE.N mein  Silent noon ki aawaz paida naheen ho paa rahi hai aur yeh sirf SAAMEE rah jaata hai.Mere khayaal se aawaz paida ho rahi hai : aap lafz SAAMA'EE.N ko silent noon ke saath phir se  parh kar dekhei.n.Eik doosra  issi tarah ka lafz bhi support mein pesh kar raha hoo.n--TA'EE.N.isse bhi try kijiye.Haan aap ne doosri baat jo likhi hai ki-- SAAMA'EEN mein noon ki aawaz bhari hai usko nadaarad nahee.n kiya jaa sakta.--Yehi kuchh Qadeer saheb ne kaha hai ki 'noon ka elaan zaroori hai'.Yahaan per jawaab talab ye hai ki lafz SAAM'AEEN kya SAAMA'EE.N (yaani silent noon se)istemaal ho sakta hai jaise NAANEE.N,ZAMEE.N waghaira ho sakte hai.n. ya nahee.n. Ummeed hai aap ne meri daleel se bura nahii.n maana hoga.Islaah ke liye phir se khair maqdam hai.Filhaal mai.n muntazir hoo.n ki mere she'r ko phansi ki saza milti hai ya usski appeal manoor hoti hai.Hasan

Siddiqui Sahaab Aadaab!

Taaqeer ke liye mazarrat janab Usual Smile
Jee hum aapki baat se sehmat ho jaate par hume lafz ki adaaygi
samjh meiN nahi aa rahi hai.. Shayad aise kuch lafz hai jahaaN
nun guna ki awaaz behad bhari hoti hai use sileNt meiN adaa karna
kuch munaaseeb sa nazar nahi aata.. Usual Smile

Aapne Ta'eeN lafz ka hawaala diya hai jo sahiN se adaa hota nazar
aa raha hai.. par hum ab bhi SaamaeeN ko adaa nahi kar paaye.. Usual Smile
Shayad hum use sur se tarshne kar raheN hai isliye aisa ho raha ho par yakeeN janiye... Yaa phir yeH aise kuch lafz hai jiNki adaygi bina nun guna se nahi ki jaa sakti Usual Smile

Hum apni kam akhli par phir se mazarrat chahte haiN.. Kuch gustaqui huyi hoN
toH koi gilaani dil meiN mat rakhiyeNga Usual Smile

Khush O aabaad rahiye..
Khuda Hafez Usual Smile

          

Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #22 on: August 16, 2011, 05:07:50 AM »
Reply with quote
Parwaaz saheb,Kisi qism ke gile ka sawaal nahiin paida hota hai.Yeh ilmi,aadabi guftugu hai aur hum sabhi taalib e ilm hain.Aisi bahes ka matlab kisi shakhs ko ghalat saabit karna nahee.n bulki kisi adbi  sawaal per sahi nateeje per pahunchna hai....Aur filhaal main apne stand per qaaim hoo.n.Ummeed hai aap bhi gila nahin kareinge.Hasan
Logged
masoodhassaas
Guest
«Reply #23 on: August 17, 2011, 06:26:46 PM »
Reply with quote
aadaab
jo alfaaz arbi unnasl hone gey un kaa NOON noon gunnaa me tabdeel nahi ho saktaa
haa faarsee ke alfaaz ka NOON noongunnaa bane gaa
magar
yahaan SAAME ;EEN arbee hai to jaayiz nahi ho gaa ye meraa mannaa hai magar main ghalat bhi ho sakta hun magar main ne buzurgob se yahee suna aaor parha ahai

masood
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #24 on: August 18, 2011, 04:10:19 AM »
Reply with quote

masoodhassaas saheb,shukriya.Aap ki daleel mein wazan hai.Aapne buzurgon se suna bhi hai parha bhi hai.Yaqeenan aapki baat sahi hogi.Main chuunki baaqaida urdu adab ya funn e shaairy ka taalib ilm nahiin raha,main aapki daleel ki mwafiqat yaa mukhaalifat mein kuchh nahiin kah sakta.Doosre doston ki raai ka muntazir hoon.Warna zer e bahas she'r ko munaasib tareeqe se tabdeel kar doo.nga.Aap ka bahut shukriya.Hasan
Logged
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 01:24:26 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.119 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer