Phoolon ko berang kar dete hain (poet taasir siddiqui)

by Taasir siddiqui on April 28, 2011, 07:02:15 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1440 times)
Taasir siddiqui
Guest
Reply with quote
khushaada raahon ke liye zindaganiyon ko tang kar dete hain;
log chehre ki rangat ke liye phoolon ko berang kar dete hain;

ajeeb tunak mizaaj lekar aaya hai insaan bhi is duniya mein,
log yahaan par zara zara si baat par  jung kar  dete hain;

yun to roz-o-shab yahaan par aashob-o-shor hai maamul,
magar hum ghazal khwaan inqalaab ko aahang kar  dete hain;

hume khaak samaj ne waalon zara itna bhi samaj lo,
hum agar jam jaaye sheeshe par  to zung kar dete hain;

khushbu ki maanind apna bhi mahzab faqat dil behlaana hai,
hum maayus-o-udaas dil ko ba-umang kar dete hain;


Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
RAAT KE KHAAB(poet taasir siddiqui) by Taasir siddiqui in Ghazals
AAJ PHIR DIL UDAAS HAI (poet: taasir siddiqui) by Taasir siddiqui in Ghazals
ek hasina mahjibina (poet taasir siddiqui) by Taasir siddiqui in Ghazals
har hausale ki buniyaad (POET: Taasir siddiqui) by Taasir siddiqui in Ghazals
hum to teri yaadon ke jahaan mein rehte hain......poet: Taasir siddiqui by Taasir siddiqui in Ghazals
Matrix Guy
Guest
«Reply #1 on: April 28, 2011, 07:18:16 AM »
Reply with quote
ufffffffffffff...........

siddiqqi sahab .....bahot lambe intjaar ke baad esa behtareen kalaam padne ko mila he .........i dnt have enough words to praise this post.........just behatreen...thx apne yaha share kiya ........bht umda pashkash........one of the best poetry on yoindia....
Logged
manjum
Guest
«Reply #2 on: April 28, 2011, 07:34:59 AM »
Reply with quote
bahutbahut khub taasirji....

Applause Applause  Applause
Logged
Imdad
Guest
«Reply #3 on: April 28, 2011, 07:35:19 AM »
Reply with quote
Bahut khoob. kya lika hai aapne

"hume khaak samaj ne waalon zara itna bhi samaj lo,
hum agar jam jaaye sheeshe par  to zung kar dete hain;"

wah
Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #4 on: April 28, 2011, 08:08:35 AM »
Reply with quote
khushaada raahon ke liye zindaganiyon ko tang kar dete hain;
log chehre ki rangat ke liye phoolon ko berang kar dete hain;

ajeeb tunak mizaaj lekar aaya hai insaan bhi is duniya mein,
log yahaan par zara zara si baat par  jung kar  dete hain;

yun to roz-o-shab yahaan par aashob-o-shor hai maamul,
magar hum ghazal khwaan inqalaab ko aahang kar  dete hain;

hume khaak samaj ne waalon zara itna bhi samaj lo,
hum agar jam jaaye sheeshe par  to zung kar dete hain;

khushbu ki maanind apna bhi mahzab faqat dil behlaana hai,
hum maayus-o-udaas dil ko ba-umang kar dete hain;




waah janab tasir sb khoob farmaya
Logged
Satish Shukla
Khususi Shayar
*****

Rau: 51
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
25 days, 6 hours and 16 minutes.

Posts: 1862
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #5 on: April 28, 2011, 08:18:52 AM »
Reply with quote
Bahut..khoob..haqeeqat bayani hai..Satish Shukla'Raqeeb'.
Logged
adil bechain
Umda Shayar
*

Rau: 161
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
31 days, 18 hours and 24 minutes.

Posts: 6552
Member Since: Mar 2009


View Profile
«Reply #6 on: June 07, 2011, 08:57:12 AM »
Reply with quote
khushaada raahon ke liye zindaganiyon ko tang kar dete hain;
log chehre ki rangat ke liye phoolon ko berang kar dete hain;

ajeeb tunak mizaaj lekar aaya hai insaan bhi is duniya mein,
log yahaan par zara zara si baat par  jung kar  dete hain;

yun to roz-o-shab yahaan par aashob-o-shor hai maamul,
magar hum ghazal khwaan inqalaab ko aahang kar  dete hain;

hume khaak samaj ne waalon zara itna bhi samaj lo,
hum agar jam jaaye sheeshe par  to zung kar dete hain;

khushbu ki maanind apna bhi mahzab faqat dil behlaana hai,
hum maayus-o-udaas dil ko ba-umang kar dete hain;





BEHTREEN KALAAM KYA MATLA HAI BAHUT KHOOB. AUR BAQI SHER BHI BAHUT WAZANDAAR. DAAD QABUL KAREIN TAASIR SAHAB
Applause Applause Applause Applause
Logged
Taasir siddiqui
Guest
«Reply #7 on: June 08, 2011, 06:35:03 AM »
Reply with quote
SHUKRIYA AAP TAMAAM QADARDANON KA...TAASIR SIDDIQUI
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 26, 2025, 07:38:21 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.114 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer