PINJDAA..(K_A)

by khamosh_aawaaz on October 20, 2009, 09:01:26 AM
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Author  (Read 1289 times)
adil bechain
Umda Shayar
*

Rau: 161
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
31 days, 18 hours and 24 minutes.

Posts: 6552
Member Since: Mar 2009


View Profile
«Reply #15 on: November 05, 2009, 10:21:05 AM »
Reply with quote
Dear Khaamosh Aawaaz! Bura na maane aap to kuchh arz karooN. Ghazal ke kuchh usul hote haiN. Sirf qaafiya-radeef mila dena hi ghazal nahiN hai. Ghazal meiN zabaan-o-bayaan ke saath saath bahr (meter) ka hona laazmi hai warna ye ghazal nahin kahi jaayegi, ise aap kavita kah lijiye. Kisi arooz janne waale shaayar ko apni ghazal dikha dijiye uske baad hi post kijiye. Saari khaami door ho jaayegi. Ghazal ko ik meyaar ata kijiye. Bhai maiN aapki bhale ke liye likh raha hooN, koi bad intension nahin hai. Agar aap ko koi baat buri lagi hai to please maaf karenge. Baaqui maiN aapki shaayari ko urooj par dekhna chaahta hooN.


shukriya janab mujhey bhi aapsey yeh baat samajh aai ......adil bechain
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #16 on: November 06, 2009, 10:14:29 AM »
Reply with quote
My Dear Adil Bechain Sahib! AOA!
Aapka shukriya janaab k bande ko is qaabil samjha aapne. Ghazal ko uske tamaamtar lawaazimaat k saath baratna hi asal shayari hai warna ye waqt zaaya karna hi hai. Har sinf k kuchh oosool-o-zawaabit hote haiN, use jaanna behad zaroori hai. Ghazal shaayari ki woh mashhoor-o-maaroof fun hai jiski zulfoN maiN aal wa adna sab giraftar haiN. Is sinf ko theek tarah baratne meiN kabhi kabhi kai saal lag jaate haiN. Is liye ye mushkil fun bhi hai. Tamaam sher aur ghazal kahne waaloN se ye tawaqqo ki jaati hai k woh saare qaanoon qaayede k hisaab se ghazal kaheNge. Ghazal ko aap jaise log hi ik meyaar ata kar sakte haiN jis se ki ye fun qayaamat tak ke liye taabindah rahe. Aap ne yaad kiya is k liye aapka azhad mashkoor-o-mamnoon hooN. Kisi ko meri baat kuchh buri lagi ho to is ke liye maiN maa-zarat khwaah hooN. Maaf kareNge. Baaqui khush raheN, aabaad raheN.
Logged
adil bechain
Umda Shayar
*

Rau: 161
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
31 days, 18 hours and 24 minutes.

Posts: 6552
Member Since: Mar 2009


View Profile
«Reply #17 on: November 17, 2009, 01:32:07 PM »
Reply with quote
My Dear Adil Bechain Sahib! AOA!
Aapka shukriya janaab k bande ko is qaabil samjha aapne. Ghazal ko uske tamaamtar lawaazimaat k saath baratna hi asal shayari hai warna ye waqt zaaya karna hi hai. Har sinf k kuchh oosool-o-zawaabit hote haiN, use jaanna behad zaroori hai. Ghazal shaayari ki woh mashhoor-o-maaroof fun hai jiski zulfoN maiN aal wa adna sab giraftar haiN. Is sinf ko theek tarah baratne meiN kabhi kabhi kai saal lag jaate haiN. Is liye ye mushkil fun bhi hai. Tamaam sher aur ghazal kahne waaloN se ye tawaqqo ki jaati hai k woh saare qaanoon qaayede k hisaab se ghazal kaheNge. Ghazal ko aap jaise log hi ik meyaar ata kar sakte haiN jis se ki ye fun qayaamat tak ke liye taabindah rahe. Aap ne yaad kiya is k liye aapka azhad mashkoor-o-mamnoon hooN. Kisi ko meri baat kuchh buri lagi ho to is ke liye maiN maa-zarat khwaah hooN. Maaf kareNge. Baaqui khush raheN, aabaad raheN.


SHUKRIYA JANAB
Logged
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 08:23:07 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.135 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer