Poochh mat mujhsey magar, 'Dard kahaan hotaa hai?'

by abdbundeli on July 17, 2009, 01:50:50 PM
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Author  (Read 1966 times)
Roja
Guest
«Reply #15 on: July 19, 2009, 04:10:20 PM »
Reply with quote
Deykhtaa hai jo, wahee zaar-zaar rotaa hai!
Poochh mat mujhsey magar, 'Dard kahaan hotaa hai?'

Mein ney zahreeley niwaaloun ko bhi aameen kahaa!
Too, magar, nargisee aankhoun ko kyoun bhigotaa hai?

Aadtan zakhm sahey hain mazeed, yaaroun sey:
Too, mahaz gair hai, kyoun khoon-e-jigar khotaa hai?

Ghaaw ko chain na deyngey, ye marhamee faahey!
Baagbaan meyraa, mahaz khaar hee pirotaa hai!!

Barq pee-pee key jiyaa huun mein, naheeboun key liye:
Yuun to, har aasteen mein naheeb hotaa hai!

Aur dhho loongaa zindagee ko, khaak honey tak:
Noujawaan bhi to zayeefee key beej botaa hai!

Wo mujhey yaad kareyngey: ye zarooree to naheen!
Koun aa zakhm, 'abd', aansuoun sey dhotaa hai?

                                 - abd bundeli


Bahut accha likha hai uncle ji.. Applause Applause
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Dard hotaa hai jigar mein, to kabhi seeney mein! by abdbundeli in Kaifiyaat-ae-maye « 1 2  All »
Dard hotaa hai! Haqeeqat hai! Saaqiyah aajaa! by abdbundeli in Ghazals « 1 2  All »
Ab kaho, kaisey kahain: dard kahaan hotaa hai? by abdbundeli in Ghazals
Ik dard chhupaanaa hotaa hai! by abdbundeli in Ghazals « 1 2  All »
Chhupey ho, magar, chhup sakogey kahaan tak? by abdbundeli in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2  All »
Roja
Guest
«Reply #16 on: July 19, 2009, 04:16:15 PM »
Reply with quote
Dena sabaab(punya) hai magar ye soch lijiye
Mukinkar (pasri khana)ho, le ke dil jo usse dil na dijiye

Sadh shukr (mukarna), se kubul karo pyar jo mile
Jo mil na sake uske liye zid na kijiye

Her cheez ho her ek ko mayssar nahi hoti
Mohabbat se jo mile usee pe sabr kijiye

Ho nakshe-pa-e-yaar(priyaver) toh sajda sabaab hai
Her nakshe-rahguzer per sajda na kijiye

Hai vastavikta, ki zindagi hai gam ki daastan
Mil jaye jo khushi vo sukriya se lijiye

Lazim hai dil ki baat kabhi maan lijiye
Hadh se bade agar "Roja", toh rok dijiye..
 Usual Smile

Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #17 on: July 19, 2009, 04:17:49 PM »
Reply with quote
MashAllah kya tukhbandi ki hai aap dono ne . bahoot bahoot khoob ABD ji and Roja.
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #18 on: July 20, 2009, 07:25:10 AM »
Reply with quote
Bahut accha likha hai uncle ji.. Applause Applause
Thanks a lot Roja!
        - abd bundeli
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #19 on: July 20, 2009, 07:45:30 AM »
Reply with quote

Dena sabaab(punya) hai magar ye soch lijiye
Mukinkar (pasri khana)ho, le ke dil jo usse dil na dijiye

Sadh shukr (mukarna), se kubul karo pyar jo mile
Jo mil na sake uske liye zid na kijiye

Her cheez ho her ek ko mayssar nahi hoti
Mohabbat se jo mile usee pe sabr kijiye

Ho nakshe-pa-e-yaar(priyaver) toh sajda sabaab hai
Her nakshe-rahguzer per sajda na kijiye

Hai vastavikta, ki zindagi hai gam ki daastan
Mil jaye jo khushi vo sukriya se lijiye

Lazim hai dil ki baat kabhi maan lijiye
Hadh se bade agar "Roja", toh rok dijiye..
 Usual Smile



Khushee-khushee qabool kar jo ataa ho dil sey!
Chaah kar bhee na mileygaa sukoon bismil sey!
US key darbaar mein, waisey to, hain faqeer sabhee;
Reit sey bhi nikaal teil, poochh aaqil sey!!

                              - abd bundeli
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #20 on: July 20, 2009, 07:50:56 AM »
Reply with quote
MashAllah kya tukhbandi ki hai aap dono ne . bahoot bahoot khoob ABD ji and Roja.
Madam ye 'tukhbandi' nahin hai! Thanks any way Sophi!
             - abd bundeli
Logged
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 09, 2024, 02:25:05 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.109 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer