PYAAR SE SASTAA KYAA HAI..........................SAINI

by sksaini4 on October 10, 2013, 06:58:06 PM
Pages: [1] 2 3 4  All
ReplyPrint
Author  (Read 1786 times)
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
Reply with quote
Sochtaa hooN jahaaN meN pyaar se sastaa kyaa hai.
Pyaar ke bin kisee ke paas meN bachtaa kyaa hai.

Betakalluf jo ho ke naam teraa le baithaa.
Sab ne poochhaa ki meraa tujhse ye rishtaa kyaa hai.

Teree marzee pe mere pyaar kee qismat thahree.
Ab bhalaa aur mere paas meN rastaa kyaa hai.

Dil liyaa aapne aur aansoo gaye furqat meN.
Ek ashiq ke bhalaa saath meN rahtaa kyaa hai.

Loot kar le chalo dunyaa se diloN kee daulat.
Ese zar ke siwaa bas saath meN chaltaa kyaa hai.

Dekh kar bholee see soorat pe n sab kuchh haaro.
Zihn meN kab kisee ke kyaa pataa paltaa kyaa hai.

Chot khaaye hue shaayar ke qalam se poochho.
Doob ke lafzoN ke dariyaa meN vo likhtaa kyaa hai.

Ishq meN khair manaao miyaaN apnee jaaN kee.
Husn kee aag ke aage bhalaa tiktaa kyaa hai.

Aap masroof haiN dunyaa jahaaN kee baatoN meN.
Ghaur se suniyegaa ‘saini’ ko ye kahtaa kyaa hai.

Dr.Surendra Saini



सोचता हूँ जहाँ में प्यार से सस्ता क्या है ।
प्यार के बिन किसी के पास में बचता क्या है ॥

बेतकल्लुफ़ जो हो के नाम तेरा ले बैठा ।
सबने पूछा कि  मेरा तुझसे ये रिश्ता क्या है ॥

तेरी मर्ज़ी पे मेरे प्यार की क़िस्मत ठहरी ।
अब भला और मेरे पास में रस्ता क्या है ॥

दिल लिया आपने और आँसू गए फ़ुर्क़त में ।
एक आशिक़ के भला साथ में रहता क्या है ॥

लूट कर ले चलो दुन्या से दिलों की दौलत ।
एसे ज़र के सिवा बस साथ में चलता क्या है ॥

देख के भोली सी सूरत पे न हारो सब कुछ ।
ज़िह्न में कब किसी के क्या पता पलता क्या है ॥

चोट खाए हुए शायर के क़लम से पूछो ।
डूब के लफ़्ज़ों के दरिया में वो लिखता क्या है ॥

इश्क़ में ख़ैर मनाओ मियाँ अपनी जाँ की ।
हुस्न की आग के आगे भला टिकता क्या है ॥

आप मसरूफ़ हैं दुन्या जहाँ की बातों में ।
ग़ौर से सुनियेगा 'सैनी'को ये कहता क्या है ॥

डा० सुरेन्द्र सैनी  
Logged
Ssaagar
Guest
«Reply #1 on: October 10, 2013, 07:36:54 PM »
Reply with quote
bahut achchha pat shayad 4th line mei kuchh typing error rah gyi hai..
Logged
dksaxenabsnl
YOS Friend of the Month
Yoindian Shayar
*

Rau: 109
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
20 days, 20 hours and 34 minutes.

खुश रहो खुश रहने दो l

Posts: 4127
Member Since: Feb 2013


View Profile
«Reply #2 on: October 10, 2013, 07:55:15 PM »
Reply with quote
 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2

wah kya Baat hai
Logged
mkv
Guest
«Reply #3 on: October 10, 2013, 07:56:33 PM »
Reply with quote
Chot khaaye hue shaayar ke qalam se poochho.
Doob ke lafzoN ke dariyaa meN vo likhtaa kyaa hai.

Aap masroof haiN dunyaa jahaaN kee baatoN meN.
Ghaur se suniyegaa ‘saini’ ko ye kahtaa kyaa hai.

Bahut badhiya Sir
Logged
marhoom bahayaat
Guest
«Reply #4 on: October 10, 2013, 07:57:32 PM »
Reply with quote
Sochtaa hooN jahaaN meN pyaar se sastaa kyaa hai.
Pyaar ke bin kisee ke paas meN bachtaa kyaa hai.

Betakalluf jo ho ke naam teree le baithaa.
Sab ne poochhaa ki meraa tujhse ye rishtaa kyaa hai.

Teree marzee pe mere pyaar kee qismat thahree.
Ab bhalaa aur mere paas meN rastaa kyaa hai.

Dil liyaa aapne aur aansoo gaye furqat meN.
Ek ashiq ke bhalaa saath meN rahtaa kyaa hai.

Loot kar le chalo dunyaa se diloN kee daulat.
Ese zar ke siwaa bas saath meN chaltaa kyaa hai.

Dekh kar bholee see soorat pe n sab kuchh haaro.
Zihn meN kab kisee ke kyaa pataa paltaa kyaa hai.

Chot khaaye hue shaayar ke qalam se poochho.
Doob ke lafzoN ke dariyaa meN vo likhtaa kyaa hai.

Ishq meN khair manaao miyaaN apnee jaaN kee.
Husn kee aag ke aage bhalaa tiktaa kyaa hai.

Aap masroof haiN dunyaa jahaaN kee baatoN meN.
Ghaur se suniyegaa ‘saini’ ko ye kahtaa kyaa hai.

Dr.Surendra Saini



सोचता हूँ जहाँ में प्यार से सस्ता क्या है ।
प्यार के बिन किसी के पास में बचता क्या है ॥

बेतकल्लुफ़ जो हो के नाम तेरा ले बैठा ।
सबने पूछा कि  मेरा तुझसे ये रिश्ता क्या है ॥

तेरी मर्ज़ी पे मेरे प्यार की क़िस्मत ठहरी ।
अब भला और मेरे पास में रस्ता क्या है ॥

दिल लिया आपने और आँसू गए फ़ुर्क़त में ।
एक आशिक़ के भला साथ में रहता क्या है ॥

लूट कर ले चलो दुन्या से दिलों की दौलत ।
एसे ज़र के सिवा बस साथ में चलता क्या है ॥

देख के भोली सी सूरत पे न हारो सब कुछ ।
ज़िह्न में कब किसी के क्या पता पलता क्या है ॥

चोट खाए हुए शायर के क़लम से पूछो ।
डूब के लफ़्ज़ों के दरिया में वो लिखता क्या है ॥

इश्क़ में ख़ैर मनाओ मियाँ अपनी जाँ की ।
हुस्न की आग के आगे भला टिकता क्या है ॥

आप मसरूफ़ हैं दुन्या जहाँ की बातों में ।
ग़ौर से सुनियेगा 'सैनी'को ये कहता क्या है ॥

डा० सुरेन्द्र सैनी  


nice,sir
Logged
SURESH SANGWAN
Guest
«Reply #5 on: October 10, 2013, 08:12:23 PM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
bahut kooob saini ji daaaaad
Logged
aqsh
Guest
«Reply #6 on: October 10, 2013, 08:13:18 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Waah waah waah.. badi hi pyaari peshkash saini sir.. ghazab ke ashaar rahe.. mujhe yeh peshkash bahut pasand aayi.. dheronnnnnnnnnnn daaaaaaaaaaaaaad...
Logged
Shihab
Yoindian Shayar
******

Rau: 27
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
29 days, 4 hours and 51 minutes.

Maut To Ek Shuruaat Hai...

Posts: 2082
Member Since: Dec 2006


View Profile
«Reply #7 on: October 10, 2013, 08:26:45 PM »
Reply with quote
Waqai Pyar Se Sasta Kuchh Nahi Sahab


Shad o Aabaad Rahiye


Shihab
Logged
Iqtedar
Yoindian Shayar
******

Rau: 24
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
11 days, 17 hours and 24 minutes.

Posts: 2382
Member Since: Mar 2013


View Profile
«Reply #8 on: October 10, 2013, 09:09:54 PM »
Reply with quote
Sir ji ham to lut gaye aapki is ghazal par... aur ye do ashaar ne to goya dil'o'dimagh may ghar ki bana liya...

Teree marzee pe mere pyaar kee qismat thahree.
Ab bhalaa aur mere paas meN rastaa kyaa hai.

Ishq meN khair manaao miyaaN apnee jaaN kee.
Husn kee aag ke aage bhalaa tiktaa kyaa hai.

 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
Sudhir Ashq
Khususi Shayar
*****

Rau: 108
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
16 days, 19 hours and 27 minutes.

Posts: 1813
Member Since: Feb 2013


View Profile WWW
«Reply #9 on: October 10, 2013, 09:27:41 PM »
Reply with quote
बेतकल्लुफ़ जो हो के नाम तेरा ले बैठा ।
सबने पूछा कि  मेरा तुझसे ये रिश्ता क्या है ॥

दिल लिया आपने और आँसू गए फ़ुर्क़त में ।
एक आशिक़ के भला साथ में रहता क्या है ॥

लूट कर ले चलो दुन्या से दिलों की दौलत ।
एसे ज़र के सिवा बस साथ में चलता क्या है ॥

देख के भोली सी सूरत पे न हारो सब कुछ ।
ज़िह्न में कब किसी के क्या पता पलता क्या है ॥

चोट खाए हुए शायर के क़लम से पूछो ।
डूब के लफ़्ज़ों के दरिया में वो लिखता क्या है ॥

Wah,Wah,Waaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaah Saini Sir,
Bahut khoobsurat ghazal kahi hai aapne,Really dil khush ho gaya. Meri dili mubarakbaad qabool kijiye.
Logged
laaiba
Guest
«Reply #10 on: October 10, 2013, 09:31:21 PM »
Reply with quote
Sochtaa hooN jahaaN meN pyaar se sastaa kyaa hai.
Pyaar ke bin kisee ke paas meN bachtaa kyaa hai.

Betakalluf jo ho ke naam teree le baithaa.
Sab ne poochhaa ki meraa tujhse ye rishtaa kyaa hai.

Teree marzee pe mere pyaar kee qismat thahree.
Ab bhalaa aur mere paas meN rastaa kyaa hai.

Dil liyaa aapne aur aansoo gaye furqat meN.
Ek ashiq ke bhalaa saath meN rahtaa kyaa hai.

Loot kar le chalo dunyaa se diloN kee daulat.
Ese zar ke siwaa bas saath meN chaltaa kyaa hai.

Dekh kar bholee see soorat pe n sab kuchh haaro.
Zihn meN kab kisee ke kyaa pataa paltaa kyaa hai.

Chot khaaye hue shaayar ke qalam se poochho.
Doob ke lafzoN ke dariyaa meN vo likhtaa kyaa hai.

Ishq meN khair manaao miyaaN apnee jaaN kee.
Husn kee aag ke aage bhalaa tiktaa kyaa hai.

Aap masroof haiN dunyaa jahaaN kee baatoN meN.
Ghaur se suniyegaa ‘saini’ ko ye kahtaa kyaa hai.

Dr.Surendra Saini



सोचता हूँ जहाँ में प्यार से सस्ता क्या है ।
प्यार के बिन किसी के पास में बचता क्या है ॥

बेतकल्लुफ़ जो हो के नाम तेरा ले बैठा ।
सबने पूछा कि  मेरा तुझसे ये रिश्ता क्या है ॥

तेरी मर्ज़ी पे मेरे प्यार की क़िस्मत ठहरी ।
अब भला और मेरे पास में रस्ता क्या है ॥

दिल लिया आपने और आँसू गए फ़ुर्क़त में ।
एक आशिक़ के भला साथ में रहता क्या है ॥

लूट कर ले चलो दुन्या से दिलों की दौलत ।
एसे ज़र के सिवा बस साथ में चलता क्या है ॥

देख के भोली सी सूरत पे न हारो सब कुछ ।
ज़िह्न में कब किसी के क्या पता पलता क्या है ॥

चोट खाए हुए शायर के क़लम से पूछो ।
डूब के लफ़्ज़ों के दरिया में वो लिखता क्या है ॥

इश्क़ में ख़ैर मनाओ मियाँ अपनी जाँ की ।
हुस्न की आग के आगे भला टिकता क्या है ॥

आप मसरूफ़ हैं दुन्या जहाँ की बातों में ।
ग़ौर से सुनियेगा 'सैनी'को ये कहता क्या है ॥

डा० सुरेन्द्र सैनी 

waah sir lajawab likhaa hai aap ne ,...............
bohat bohat c daad,..............
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #11 on: October 10, 2013, 09:33:07 PM »
Reply with quote
Beautiful thoughtful and soulful creation Saini sahab
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #12 on: October 10, 2013, 11:07:16 PM »
Reply with quote
Sir bahut hi achhi ghazal hai maza aa gaya padh kar, saare ash'aar achhe haiN per iska to jawaab nahiN dil ko choo gaya-

Teree marzee pe mere pyaar kee qismat thahree.
Ab bhalaa aur mere paas meN rastaa kyaa hai.

DheroN daad aur ek Rau meri taraf se.
Logged
Ram Saraswat
Khususi Shayar
*****

Rau: 26
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
10 days, 7 hours and 12 minutes.

Posts: 999
Member Since: Apr 2008


View Profile
«Reply #13 on: October 10, 2013, 11:59:21 PM »
Reply with quote
Loot kar le chalo dunyaa se diloN kee daulat.
Ese zar ke siwaa bas saath meN chaltaa kyaa hai.
 Applause Applause Applause
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #14 on: October 11, 2013, 12:02:40 AM »
Reply with quote
चोट खाए हुए शायर के क़लम से पूछो ।
डूब के लफ़्ज़ों के दरिया में वो लिखता क्या है ॥

bahut khubsurat sher hai saini saheb .
Logged
Pages: [1] 2 3 4  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 04, 2024, 09:05:01 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.157 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer