Q phir jeeya karta hai.....( Ghayel )

by Sajid_Ghayel on December 09, 2010, 05:23:42 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1027 times)
Sajid_Ghayel
Guest
Reply with quote
Baat q bebasi ki humse kiya karta hai
Hai buri zindagi to q phir jeeya karta hai

Chalta phirta insaa.N maykada uska
Khoon mazloom ka jo peeya karta hai

Behtar apne libaas me hum sab nange
Samne uske jo paibandh seeya karta hai

Muflisi ki shabo ne humko hai yeh seekhlaya
Chand karta wahi jo ek diyaa karta hai

Usme gairat nahi ho chahe woh koi
Jo musal_sal sabhi se ehsaa.N liya karta hai

Sajid Ghayel
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
zinda hai phir bhi koi yaad nahi karta by kiiller_1 in Shairi - E - Zindagi
Is tarah bhi koi judaa Karta..........( Ghayel ) by Sajid_Ghayel in Shayri-E-Dard
Tauba karta wahi.....( Ghayel ) by Sajid_Ghayel in Ghazals
Salam Nahi Karta.....( Ghayel ) by Sajid_Ghayel in Ghazals
jitna jeeya shaan se jeeya by jeet jainam in Miscellaneous Shayri
killbill
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
24 days, 7 hours and 41 minutes.
Posts: 2130
Member Since: Oct 2010


View Profile
«Reply #1 on: December 09, 2010, 06:41:59 AM »
Reply with quote
bhot umda aut haqiqat ko bayan krta hai aapki ye rachna.
bhot umda -Ghayal ji
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #2 on: December 09, 2010, 07:59:04 AM »
Reply with quote
Bahut Bahut Khoob Sajid Bhai..

Jaandar Peshkash!!! bahut Ache.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #3 on: December 09, 2010, 09:27:22 AM »
Reply with quote
ek sach jo dil se nikal kar kaagaz par utar aaya......
bht hi khubsurat peshkar sajid ji...
Logged
AbhiTamrakar
Guest
«Reply #4 on: December 09, 2010, 09:31:46 AM »
Reply with quote
bahut bahut khoob sajid ji ...

dher saari daad~

zindagi se apnni likhi hui do panktiyan yad aati he..

zindagi tere sath ko mai kya nam du,
ek anamika hai tu teri pyas ko kaise viram du~

Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #5 on: December 09, 2010, 09:02:55 PM »
Reply with quote
Bahut khoobsurat peshkash hai aap ki Ghayel Ji
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #6 on: January 25, 2011, 09:35:20 AM »
Reply with quote
Ghayal Sahab Aadaab!

Janab aisi umdaa kalaam se nawaaza hai aapne ke
kia kaheN bus... Har ashaar par waah hi nikal rahi hai..

Kia kahne Bhai ... Bahut umdaa bahut khoob..         



Baat q bebasi ki humse kiya karta hai
Hai buri zindagi to q phir jeeya karta hai

Waqai behad sahiN kaha aapne.. Baat talkh zaroor hai par haq bhi hai janab daad Usual Smile         

Chalta phirta insaa.N maykada uska
Khoon mazloom ka jo peeya karta hai

Kia kahen hai janab... Gazab ki soch aur..
umdaa khayaal ko anjaam diyaa hai aapne daad Usual Smile         


Behtar apne libaas me hum sab nange
Samne uske jo paibandh seeya karta hai

Masha Allah Janab... Behad khoob..
Tez tarraar tanz numaa tamaacha hai yeH ...
Daad daad daad Usual Smile         


Muflisi ki shabo ne humko hai yeh seekhlaya
Chand karta wahi jo ek diyaa karta hai

Masha Allah Masha Allah..
Kia baat hai Bhai kia kahne hai... badi gehrai meiN
kud kar sidha sa sher kaha par gazab ka kaha .. Usual Smile         


Usme gairat nahi ho chahe woh koi
Jo musal_sal sabhi se ehsaa.N liya karta hai

Waah bhai behad sahiN baat kahi aur behad sahiN nasihat di hai aapne daad daad daad ..         

Sajid Ghayel

Is khubsurat taqlaque par dil se daad o mubarakbad kabool kijiye...

Likhate rahiye....
Aate rahiye.....
Khush O aabaad rahiye...
Khuda Hafez.... Usual Smile         

Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #7 on: January 26, 2011, 06:38:36 PM »
Reply with quote
Baat q bebasi ki humse kiya karta hai
Hai buri zindagi to q phir jeeya karta hai

Chalta phirta insaa.N maykada uska
Khoon mazloom ka jo peeya karta hai

Behtar apne libaas me hum sab nange
Samne uske jo paibandh seeya karta hai

Muflisi ki shabo ne humko hai yeh seekhlaya
Chand karta wahi jo ek diyaa karta hai

Usme gairat nahi ho chahe woh koi
Jo musal_sal sabhi se ehsaa.N liya karta hai

Sajid Ghayel

bahut khoob S_G
Logged
Sajid_Ghayel
Guest
«Reply #8 on: February 03, 2011, 06:41:03 AM »
Reply with quote
bhot umda aut haqiqat ko bayan krta hai aapki ye rachna.
bhot umda -Ghayal ji

Badi meharbani KB jee for ur time and comment.
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 07:57:31 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.117 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer