Qaid ho kin hadeedee hijaaboun mein tum?

by abdbundeli on June 26, 2010, 02:20:47 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1121 times)
abdbundeli
Guest
Reply with quote
Barf key koh zeyhnee, pighaltey nahin!
Baatinee aatishoun deep jaltey nahin!

Baarhaa hamney jaa dar pai dee haaziree;
Aap, par, ghar sey baahar nikaltey nahin!

Ham kisee aur sey, apnee kaisey kaheyn?
Ham kisee aur saanchey mein dhhaltey nahin!

Ham ko mouzuun hai taahashra raah-e-talab;
Deykh kar rukh hawaa kaa, badaltey nahin!

Aap ko kyaa huaa hai, hamain kyaa patah:
Dour-e-tanhaayi dushwaar, khaltey nahin?

Qaid ho kin hadeedee hijaaboun mein tum?
Shaam ko, baam par bhee tahaltey nahin!!

Jazbah-e-ishq key qaafiley khalwatee,
Kyoun wisaal-e-sanam ko machaltey nahin?

Lab rangoon dil kee surkhee sey farmaaou to,
Kyoun, 'abd', raah-e-jannat pai chaltey nahin?

                         - abd bundeli

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Band kamroun mein kyoun qaid hai zindagee? by abdbundeli in Ghazals
Yaaree hai, to, yaar ko, Karo jigar mein qaid! by abdbundeli in Shayri for Khumar -e- Ishq
Unke Pyar Mein Qaid Hai Ab Bhi.., Rishi by Rishi Agarwal in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
PYAR MEIN QAID by saahill in Shayri-E-Dard
Andheyroun mein hijaaboun key, yuun na ghutiye beywajah! by abdbundeli in Ghazals
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #1 on: June 26, 2010, 06:54:06 PM »
Reply with quote
Barf key koh zeyhnee, pighaltey nahin!
Baatinee aatishoun deep jaltey nahin!

Baarhaa hamney jaa dar pai dee haaziree;
Aap, par, ghar sey baahar nikaltey nahin!

Ham kisee aur sey, apnee kaisey kaheyn?
Ham kisee aur saanchey mein dhhaltey nahin!

Ham ko mouzuun hai taahashra raah-e-talab;
Deykh kar rukh hawaa kaa, badaltey nahin!

Aap ko kyaa huaa hai, hamain kyaa patah:
Dour-e-tanhaayi dushwaar, khaltey nahin?

Qaid ho kin hadeedee hijaaboun mein tum?
Shaam ko, baam par bhee tahaltey nahin!!

Jazbah-e-ishq key qaafiley khalwatee,
Kyoun wisaal-e-sanam ko machaltey nahin?

Lab rangoon dil kee surkhee sey farmaaou to,
Kyoun, 'abd', raah-e-jannat pai chaltey nahin?

                         - abd bundeli




BAHUT KHOOB ABD....HER ASHAAR APNA EK MOQAAM RAKHTA HAI...
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #2 on: June 27, 2010, 06:02:07 AM »
Reply with quote

BAHUT KHOOB ABD....HER ASHAAR APNA EK MOQAAM RAKHTA HAI...

Bahut-bahut shukriyah 'khamosh_aawaaz' ji!

                     - abd bundeli
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 03:29:43 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.113 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer