Qareeb aaou to deykhoon main: kahaan par kyaa hai?

by abdbundeli on August 31, 2010, 02:44:05 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1004 times)
abdbundeli
Guest
Reply with quote

Nazar uthhaaou to deykhoon main: wahaan par kyaa hai?
Qareeb aaou to deykhoon main: kahaan par kyaa hai?

Zindagee bhar, nigaah khojatee rahee hai jo;
Mujhey bataaou woh wahaan, to, yahaan par kyaa hai?

Kahaan chaley ho: raat saanwalee salonee hai?
Chup rahogey: na bataaougey zubaan par kyaa hai?

Tum sey, waisey bhi, chhupaa kyaa hai, jo ki, ho dil mein:
Poochhatey fir bhee baarahaa, ki, rawaan par kyaa hai?

Sabukarawee yeh sabaa, aa rahee hai kyaa ley kar?
Yuun to, zaahir hai shafaq surkh: nihaan par kyaa hai?

Kiskey kahney sey, yeh raanaaiyaan huyeen hain ayaan?
Uskee uuree mein numaayaan hai: bayaan par kyaa hai?

Mashriqee jaw mein bahr-e-zeest ki sadaayen hain:
Noujawaanee hai beymisaal, jawaan par kyaa hai?

Saafgoyi key bahaaney, 'abd', kahogey kyaa?
Khwaab khwaanee to nazariyaa hai: dawaan par kyaa hai?

                         - abd bundeli

Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #1 on: August 31, 2010, 05:35:08 PM »
Reply with quote
Abd Bundeli Jee Aadaab O tasleemat"

Aapki nayi gazal per nazar gayi dekhe hai kia khushnumaa samaa bandha hai....           




Nazar uthhaaou to deykhoon main: wahaan par kyaa hai?
Qareeb aaou to deykhoon main: kahaan par kyaa hai?

Waah Jee Apne aap meiN dono misare khoob rahe... Aur matla bhi achcha bana hai... Usual Smile Daad         


Zindagee bhar, nigaah khojatee rahee hai jo;
Mujhey bataaou woh wahaan, to, yahaan par kyaa hai?

Masha Allah Bahut khoob..... Aik gehrai hai .... Daad janab         

Tum sey, waisey bhi, chhupaa kyaa hai, jo ki, ho dil mein:
Poochhatey fir bhee baarahaa, ki, rawaan par kyaa hai?

Achcha Sher hai Janab, Par hume yahaaN rawaan Kafiyaa gairmunaseeb sa use hua lag raha hai...           

Kiskey kahney sey, yeh raanaaiyaan huyeen hain ayaan?
Uskee uuree mein numaayaan hai: bayaan par kyaa hai?

Masha Allah bahur khoob daad janab....           


Mashriqee jaw mein bahr-e-zeest ki sadaayen hain:
Noujawaanee hai beymisaal, jawaan par kyaa hai?

Behad khoob tanz kiya hai janab.... Daad.. Usual Smile         


Saafgoyi key bahaaney, 'abd', kahogey kyaa?
Khwaab khwaanee to nazariyaa hai: dawaan par kyaa hai?

                         - abd bundeli

Baut khoob janab Maqta bhi khoob raha daad....         




Aik achchi aur behad khub kalaam per dil se daad Janab..... Usual Smile

Likhate rahiye.....
Khush rahiye......
Khuda hafez...... Usual Smile         

Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #2 on: August 31, 2010, 10:20:20 PM »
Reply with quote
Bahut khoob Abd Ji
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #3 on: September 01, 2010, 02:25:39 PM »
Reply with quote
Abd Bundeli Jee Aadaab O tasleemat"

Aapki nayi gazal per nazar gayi dekhe hai kia khushnumaa samaa bandha hai....           



Aik achchi aur behad khub kalaam per dil se daad Janab..... Usual Smile

Likhate rahiye.....
Khush rahiye......
Khuda hafez...... Usual Smile         



Thanks a lot, ParwaaZ ji!
Is sher ko, is tarah padhhiyegaa to rawaan  kaa isteymaal gairmunaasib nahin lageygaa!
Tum sey, waisey bhi, chhupaa kyaa hai, jo ki, ho dil mein:
Poochhatey fir bhee baarahaa, ki, 'rawaan, par, kyaa hai?'

Yani,
'Waisey bhi, jo ki dil mein ho, tumsey (aisaa)kyaa chhupaa huaa hai! (Dil mein kuchh na kuchh to taazindagee hi rawaan rahtaa hai!)
'(Iskey ba'ad bhi) tum baarahaa poochhtey ho, ki, wahaan par kyaa rawaan hai?'

 Yuo're taking so much interest in my poems: naturally, pleases me a lot!
                    - abd bundeli 

Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #4 on: September 01, 2010, 04:28:26 PM »
Reply with quote
Bahut khoob Abd Ji

Thanks Rajesh ji!

       - abd bunde
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 08:44:54 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.121 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer