...Qatil ko Maseeha Kahiye (GHAZAL)

by F.H.SIDDIQUI on May 21, 2011, 02:05:24 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2377 times)
F.H.SIDDIQUI
Guest
Reply with quote
Muttaqi Rind ko , Shaitaa.n ko Farishta Kahiye,
Maslahet Hai Yahi, Qaatil ko Maseeha Kahiye

Rakhiye Raai na juda,Daur Hai Aksariyat ka,
Jaisa Kahte Ho.n  Sabhi,Aap Bhi Waisa Kahiye

Baat Bun Jaaye to ye Aap ki Tadbeerei.n  Hai.n,
Baat Bigde to isse Hukm Khuda ka Kahiye

Mai.n ne Jub Uss se Kaha Kar Lo Mohabbat ko Qubool,
Ha.ns ke Wo Kahne Laga Theek Hai Jaisa Kahiye

Eik Pal ke Liye Aati Hai.n ,Chali Jaati Hai.n,
Meri Khushiyo.n  ko Bus Ek Jho.nka Hawa Ka Kahiye

Hoti Jaati Hai Taweel Aap ki Roodaad 'Hasan' ,
Ho jo Mumkin to Zara kar ke Khulaasa  Kahiye  
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Maseeha (Shikha) by Shikha12 in Shayri-E-Dard
Maseeha by lalit.sharma83 in Shayari -e- Husn
MASEEHA by Nooralsabah in Miscellaneous Shayri
dard ka maseeha by saahill in Shayri-E-Dard
Wo Maseeha Hai......K@HIN@@R by Kohinoor in Shayri for Khumar -e- Ishq
manzil-e-ishq
Guest
«Reply #1 on: May 22, 2011, 09:11:26 AM »
Reply with quote
bht khoob f.h. Saheb...
Logged
adil bechain
Umda Shayar
*

Rau: 161
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
31 days, 18 hours and 24 minutes.

Posts: 6552
Member Since: Mar 2009


View Profile
«Reply #2 on: May 22, 2011, 09:23:01 AM »
Reply with quote
Muttaqi Rind ko , Shaitaa.n ko Farishta Kahiye,
Maslahet Hai Yahi, Qaatil ko Maseeha Kahiye

Rakhiye Raai na juda,Daur Hai Aksariyat ka,
Jaisa Kahte Ho.n  Sabhi,Aap Bhi Waisa Kahiye

Baat Bun Jaaye to ye Aap ki Tadbeerei.n  Hai.n,
Baat Bigde to isse Hukm Khuda ka Kahiye

Mai.n ne Jub Uss se Kaha Kar Lo Mohabbat ko Qubool,
Ha.ns ke Wo Kahne Laga Theek Hai Jaisa Kahiye

Eik Pal ke Liye Aati Hai.n ,Chali Jaati Hai.n,
Meri Khushiyo.n  ko Bus Ek Jho.nka Hawa Ka Kahiye

Hoti Jaati Hai Taweel Aap ki Roodaad 'Hasan' ,
Ho jo Mumkin to Zara kar ke Khulaasa  Kahiye 


aalaa tareen ghazal siddiqui sahab
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Anshumali
Guest
«Reply #3 on: May 22, 2011, 12:57:58 PM »
Reply with quote
Muttaqi Rind ko , Shaitaa.n ko Farishta Kahiye,
Maslahet Hai Yahi, Qaatil ko Maseeha Kahiye

Rakhiye Raai na juda,Daur Hai Aksariyat ka,
Jaisa Kahte Ho.n  Sabhi,Aap Bhi Waisa Kahiye

Baat Bun Jaaye to ye Aap ki Tadbeerei.n  Hai.n,
Baat Bigde to isse Hukm Khuda ka Kahiye

Mai.n ne Jub Uss se Kaha Kar Lo Mohabbat ko Qubool,
Ha.ns ke Wo Kahne Laga Theek Hai Jaisa Kahiye

Eik Pal ke Liye Aati Hai.n ,Chali Jaati Hai.n,
Meri Khushiyo.n  ko Bus Ek Jho.nka Hawa Ka Kahiye

Hoti Jaati Hai Taweel Aap ki Roodaad 'Hasan' ,
Ho jo Mumkin to Zara kar ke Khulaasa  Kahiye 

Bahut Umdaa Fikr O Khayaal ...... F.H.SIDDIQUI Ji !

dil se daad .... qubuul farmaayeN ........ !
Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #4 on: May 22, 2011, 01:01:02 PM »
Reply with quote
HALAAT -E-HAZARA KA MOZAHERA BAKHUBI KIYA AAPNE APNE IS GHAZAL KE ZARIYE SE .


BAHUT KHOOB JANAB Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #5 on: May 22, 2011, 03:44:57 PM »
Reply with quote
manzil-e-ishq ji, Hausla afzai ke liye  bahut bahut shukriya.apni rai se aage bhi nawaazte rahiye,mashkoor hoo.nga.FHS
Logged
nirala
Guest
«Reply #6 on: May 22, 2011, 03:51:46 PM »
Reply with quote
nicely written…
umda thinkin…
behtareen words…
lajawaab post…

daad daad daad
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #7 on: May 23, 2011, 06:57:01 AM »
Reply with quote
Adil bechain saheb,anshumali ji,khamosh aawaaz ji,nirala ji-Bahut shukrguzaar hoo.n aap ka ki aap ne nacheez ki tooti-phooti peshkash ke liye apna waqt nikala aur itne khoobsoorat alfaaz mein hausla afzai farmaii.Aage bhi aap ki tawajjo ka talabgaar hoo.n.Tah e dil se Shukriya. F.H.Siddiqui
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #8 on: August 20, 2011, 04:50:59 PM »
Reply with quote
Muttaqi Rind ko , Shaitaa.n ko Farishta Kahiye,
Maslahet Hai Yahi, Qaatil ko Maseeha Kahiye

Rakhiye Raai na juda,Daur Hai Aksariyat ka,
Jaisa Kahte Ho.n  Sabhi,Aap Bhi Waisa Kahiye

Baat Bun Jaaye to ye Aap ki Tadbeerei.n  Hai.n,
Baat Bigde to isse Hukm Khuda ka Kahiye

Mai.n ne Jub Uss se Kaha Kar Lo Mohabbat ko Qubool,
Ha.ns ke Wo Kahne Laga Theek Hai Jaisa Kahiye

Eik Pal ke Liye Aati Hai.n ,Chali Jaati Hai.n,
Meri Khushiyo.n  ko Bus Ek Jho.nka Hawa Ka Kahiye

Hoti Jaati Hai Taweel Aap ki Roodaad 'Hasan' ,
Ho jo Mumkin to Zara kar ke Khulaasa  Kahiye 

Bahut Bhaut Khooob Siidiqui Ji..

Shaandaar peshaksh!!! Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #9 on: August 21, 2011, 05:40:54 AM »
Reply with quote
Mahutram F.H.Siddiqui Sahab Assalam walekum ,,

Bhai Apki Ghazal Shahkaar hai ,, Ah Kya kahi hai ,,,Aisi Sanglak Bhr me Aise sher kahena kamal nahi balke kamal-e-fun kahiye sahab ,, Mazameen khoob nikale hain apne ,, Ab ye tai karna kaafi mushkil ho chala hai ke kaunsa sher ziyada acha hai ,,, Matle ne der tak apne hisaar me rakha ,, Maqte tak aate aate Ghazal ne Apne taabe kar liya mai der tak parhta raha ,,mustafeed o mahezooz bhi howa ,, Ghazal ki tareef karna suraj ko diya dikhane jaisi baat hai ,, Meri adna si dad khubool kare.N..Allah apko Mazeed nawaze.

Dua go

Qadeertoopchi
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #10 on: August 21, 2011, 07:22:20 AM »
Reply with quote
Khwaish ji,ghazal pasand farmaane aur hausla afzaai ke liye shukriya.Hasan
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #11 on: August 21, 2011, 10:08:41 AM »
Reply with quote
Qadeertoopchi saheb,aadab.Bahut shukraguzaar hoon ki aap ne ghazal padhi aur pasand farmaai.Aap ka tabsira nihaayat farakh dilaana aur aap ki Zarranawaazi ka mazhar hai.Aap jaise qaabil aur maqbool hazraat se himmat afzaai ke ye alfaaz mere liye bahut ahmiyat ke haamil hain.Bahut mashkoor hoon aapka... Naacheez, Hasan
Logged
masoodhassaas
Guest
«Reply #12 on: August 22, 2011, 10:27:54 PM »
Reply with quote
Muttaqi Rind ko , Shaitaa.n ko Farishta Kahiye,
Maslahet Hai Yahi, Qaatil ko Maseeha Kahiye

Rakhiye Raai na juda,Daur Hai Aksariyat ka,
Jaisa Kahte Ho.n  Sabhi,Aap Bhi Waisa Kahiye

Baat Bun Jaaye to ye Aap ki Tadbeerei.n  Hai.n,
Baat Bigde to isse Hukm Khuda ka Kahiye

Mai.n ne Jub Uss se Kaha Kar Lo Mohabbat ko Qubool,
Ha.ns ke Wo Kahne Laga Theek Hai Jaisa Kahiye

Eik Pal ke Liye Aati Hai.n ,Chali Jaati Hai.n,
Meri Khushiyo.n  ko Bus Ek Jho.nka Hawa Ka Kahiye

Hoti Jaati Hai Taweel Aap ki Roodaad 'Hasan' ,
Ho jo Mumkin to Zara kar ke Khulaasa  Kahiye 

jaisaa lahtey hain sabhee ,,,,,,,,,,,,,,,,,, waah waah waah pooree ghazal hi haqeeqat ki shachhaayee se pur hai bahot badaa jigar chaahiye aisay ashaar kahney ke liye mobaarak ho
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #13 on: September 01, 2011, 02:55:13 AM »
Reply with quote
masoodhassas saheb,hausla afzaai ke liye mamnoon hoon.Neik mashwiron ke liye iltija hai.Hasan
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #14 on: September 01, 2011, 03:13:13 AM »
Reply with quote
Siddiqui Sahaab Aadaab!

Waah janab kia gazab ki gazal kahi hai aapne.. Usual Smile
Behad gazab ke khayaal aur umdaa ashaar kahe haiN

sabhi ashaar behad khoob rahe humari daad O mubarakbad
kabul kijiye Usual Smile

Likhate rahiye... Aate rahiye...
Shaad O aabaad rahiye ..
Khuda Hafez Usual Smile         



Muttaqi Rind ko , Shaitaa.n ko Farishta Kahiye,
Maslahet Hai Yahi, Qaatil ko Maseeha Kahiye

Kia kahne behad khoob taNz kiya hai daad Usual Smile         

Rakhiye Raai na juda,Daur Hai Aksariyat ka,
Jaisa Kahte Ho.n  Sabhi,Aap Bhi Waisa Kahiye

Waah janab waah bahut khoob bahut achcha
sher kaha hai... daad daad daad Usual Smile         


Baat Bun Jaaye to ye Aap ki Tadbeerei.n  Hai.n,
Baat Bigde to isse Hukm Khuda ka Kahiye

Achchi baat kahi hai sahaab daad Usual Smile         

Mai.n ne Jub Uss se Kaha Kar Lo Mohabbat ko Qubool,
Ha.ns ke Wo Kahne Laga Theek Hai Jaisa Kahiye

Achcha sher hai Usual Smile         

Eik Pal ke Liye Aati Hai.n ,Chali Jaati Hai.n,
Meri Khushiyo.n  ko Bus Ek Jho.nka Hawa Ka Kahiye

Kia kahne janab waaH bahut khoob daad Usual Smile
         


Hoti Jaati Hai Taweel Aap ki Roodaad 'Hasan' ,
Ho jo Mumkin to Zara kar ke Khulaasa  Kahiye 

Bahut khoob janab daad Usual Smile         

Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 05:50:34 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.142 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer