QATL TO BAATIL HUA HAI....////..................................////....IFTAKHAR

by Iftakhar Ahmad on November 18, 2014, 09:40:22 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1342 times)
Iftakhar Ahmad
Guest
Reply with quote


GuloN  sa  khil  gaya  hai  ek  gulistaaN  dil  hua  hai
Koi chupke se aakar  dil  meN  yuN  daakhil  hua hai

Mujassam husn hai  aur  dil  bhi hai ek khoobsoorat
Ye  mera  dil  tera   yuN   hi   nahiN   bismil  hua  hai

Ghazab taari  hai  seene  per  mere  kya  haay  Allah
K  uska    husn     beparda      sar-e-mehfil   hua   hai
 
Shahar  meN   aaj    phir     insaaf    ki   boli  lagi  hai
Bikaaoo  ab   adaalat    ka    har   ek   aadil   hua  hai

Siyaasat  ki  sharaaet  meN   hai  shaamil  jurmkaari
Sadar party  ka   dekho   kal   ka   wo  qaatil  hua hai

Haqeeqat meN wo dhoNgi  hai  maseeha jo bana hai
Zamaana  kis  qadar  haq    raah  se  ghaafil  hua hai

Ye bachhe kaam ke haiN  ghoNt lo dam bachpane ka
Andhera gar chay maasoomoN ka mustaqbil hua hai

Kiya  hai   khoon-e-armaaN   aur   hasti   tark   ki hai
K  tab   jaa   ke  ye   banda   aadmi   kaamil   hua  hai

Zamaana   aaj   dekho     hazrat-e-Shabbeer   ka  hai
Hai  zaahir  qarbale   meN    qatl   to   baatil  hua  hai





Logged
RAJAN KONDAL
Guest
«Reply #1 on: November 19, 2014, 03:32:29 AM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #2 on: November 19, 2014, 07:44:47 AM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley waah waah bahut umda
Logged
jeet jainam
Khaas Shayar
**

Rau: 237
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
60 days, 12 hours and 13 minutes.

my rule no type no life and ,i m happy single

Posts: 10150
Member Since: Dec 2012


View Profile WWW
«Reply #3 on: November 20, 2014, 08:44:21 AM »
Reply with quote
  Applause Applause Applause Applause
behad khubsurat ehsaas waaaaaaaaaaahhhhhhhhhhh daaaaaaaaadddddddd
Logged
sbechain
Guest
«Reply #4 on: November 20, 2014, 09:50:27 AM »
Reply with quote


GuloN  sa  khil  gaya  hai  ek  gulistaaN  dil  hua  hai
Koi chupke se aakar  dil  meN  yuN  daakhil  hua hai

Mujassam husn hai  aur  dil  bhi hai ek khoobsoorat
Ye  mera  dil  tera   yuN   hi   nahiN   bismil  hua  hai

Ghazab taari  hai  seene  per  mere  kya  haay  Allah
K  uska    husn    beparda     sar-e-mehfil   hua   hai
 
Shahar  meN   aaj    phir    insaaf    ki   boli  lagi  hai
Bikaaoo  ab  adaalat    ka    har   ek   aadil  hua  hai

Siyaasat  ki  sharaaet  meN   hai  shaamil  jurmkaari
Sadar party ka   dekho   kal   ka   wo qaatil hua hai

Haqeeqat meN wo dhoNgi  hai maseeha jo bana hai
Zamaana  kis  qadar  haq   raah  se  ghaafil  hua hai

Ye bachhe kaam ke haiN  ghoNt lo dam bachpane ka
Andhera gar chay maasoomoN ka mustaqbil hua hai

Kiya  hai   khoon-e-armaaN   aur   hasti   tark  ki hai
K  tab  jaa  ke   ye   banda   aadmi   kaamil  hua  hai

Zamaana   aaj   dekho    hazrat-e-Shabbeer   ka  hai
Hai  zaahir  qarbale  meN    qatl   to  baatil  hua  hai








wah wah icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower!
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #5 on: November 20, 2014, 03:25:43 PM »
Reply with quote
Shukriya Rajan jee.
Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
SARVESH RASTOGI
Guest
«Reply #6 on: November 24, 2014, 04:49:13 PM »
Reply with quote
Bahut khoob janaab
waah waaah

SARVESH RASTOGI
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #7 on: November 25, 2014, 03:54:13 PM »
Reply with quote
Shukriya Saini sir, nawaazish.
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley waah waah bahut umda
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #8 on: November 26, 2014, 04:44:43 PM »
Reply with quote
Bahut shukriya Jeet jee.
  Applause Applause Applause Applause
behad khubsurat ehsaas waaaaaaaaaaahhhhhhhhhhh daaaaaaaaadddddddd
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #9 on: November 28, 2014, 05:34:08 PM »
Reply with quote
Sheba jee, nawazish, bahut shukriya.

wah wah icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower!
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #10 on: December 01, 2014, 10:14:02 PM »
Reply with quote
Sarvesh Rastogi jee shukriya.
Bahut khoob janaab
waah waaah

SARVESH RASTOGI
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #11 on: December 02, 2014, 04:40:46 AM »
Reply with quote
iftakar sahab aadab ,,

ghazal achi hai ...duniya jahan ke mauzo ko yek jaa kiya hai aapne ..ahesaasat aur jazbaat ka mela laga diya hai jiski sitaaish na karna zulm hoga ...dad o mubarak baad hazir hai hai qubool kar'en ....\

Shahar  meN   aaj    phir    insaaf    ki   boli  lagi  hai

darje bala misre ko ek nazar dekh len kharij az bahr hai ..lafz shahr ko kissi aur munasib lafz se badal den ...

dua go

qadeertoopchi
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #12 on: December 03, 2014, 04:41:06 PM »
Reply with quote
Qadeer saheb nawazish, behad shukriya ghazal pe waqt dene ka. Maine Shahar ko 12 use kiya hai mere khayaal se aap isse 21 dekh rahe haiN. Maine kitne shayaroN ko shahar 12 use karte dekha hai haalaaNki mujhe maaloom hai ye asl lafz shahr (21) hi hota hai.
iftakar sahab aadab ,,

ghazal achi hai ...duniya jahan ke mauzo ko yek jaa kiya hai aapne ..ahesaasat aur jazbaat ka mela laga diya hai jiski sitaaish na karna zulm hoga ...dad o mubarak baad hazir hai hai qubool kar'en ....\

Shahar  meN   aaj    phir    insaaf    ki   boli  lagi  hai

darje bala misre ko ek nazar dekh len kharij az bahr hai ..lafz shahr ko kissi aur munasib lafz se badal den ...

dua go

qadeertoopchi
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #13 on: December 03, 2014, 04:41:50 PM »
Reply with quote
Qadeer saheb nawazish, behad shukriya ghazal pe waqt dene ka. Maine Shahar ko 12 use kiya hai mere khayaal se aap isse 21 dekh rahe haiN. Maine kitne shayaroN ko "shahar" lafz 12 ke taur per use karte dekha hai haalaaNki mujhe maaloom hai ye asl lafz shahr (21) hi hota hai.
Logged
Ram Krishan Rastogi
Umda Shayar
*

Rau: 69
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
30 days, 21 hours and 9 minutes.

Posts: 4988
Member Since: Oct 2010


View Profile
«Reply #14 on: December 04, 2014, 03:45:33 AM »
Reply with quote
बहुत खूब,अति सुंदर,ढेरों दाद,लिखते रहिये, मैफिल मे आते रहिये -राम कृष्ण रस्तोगी
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 27, 2025, 04:56:06 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.145 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer