Reishmee aagosh mein bey-hosh hoon!

by abdbundeli on August 03, 2008, 03:53:02 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1000 times)
abdbundeli
Guest
Reply with quote

 Analhaq kaa mu'azzin Mansoor hai!
 Faishlaa un kaa, hamein manzoor hai!!

 Sir qalam kar deejiye: farmaaiye!
 Jalwah afrozee: numaayaan toor hai!!

 Ham kharhey hain, baandh kar, sir par kafan;
 Aur, qaatil khwaahish-e-magroor hai!

 Chaak seeney mein, qaraar aayegaa kyoun?
 Wahaan, ab, ban-ney lagaa naasoor hai!

 Reishmee aagosh mein bey-hosh hoon:
 Leejiye, saaraa jahaan makhmoor hai!

 Rindgee ko, aur ab kyaa chaahiye?
 Saaqiyah hai! Dukhtar-e-angoor hai!!

 Hosh mein, mein? ya ki, too bey-hosh hai?
 Kyoun ki, ahsaas-e-fanaa kaafoor hai!

 Mein piyoon, to, kyaa kisee kaa jayegaa?
 Aaj, zaahid tak nashey mein choor hai!

 Tum na aaougey, to, ham mar jaayengey:
 Zindagee, itnee huyee majboor hai!

 Aur kab tak, rahoon mein jeetaa? 'abd',
 Aaj kaa din khoob hai: aasoor hai!

                          - abd bundeli



 
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Apne aagosh mein by diya_diggaz in Shayri for Khumar -e- Ishq
KOI AAGOSH MEIN by NABROY in Shairi for Manzar -e- Kudrat
tere aagosh mein by ravi raushan in Shayri for Khumar -e- Ishq
Aye Raat Apni Aagosh Mein Le Le Mujhe by Shireen Hakani in Shayri for Khumar -e- Ishq
Hosh Me Hoon Ya Behosh Khabar Nahi...........Touhid by Mohammad Touhid in Miscellaneous Shayri « 1 2 3  All »
Roja
Guest
«Reply #1 on: August 06, 2008, 12:53:58 PM »
Reply with quote
Quote
Mein piyoon, to, kyaa kisee kaa jayegaa?
 Aaj, zaahid tak nashey mein choor hai!

 Tum na aaougey, to, ham mar jaayengey:
 Zindagee, itnee huyee majboor hai!

 Aur kab tak, rahoon mein jeetaa? 'abd',
 Aaj kaa din khoob hai: aasoor hai!


Bahut khoob abd ji hamesha ki tarah
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #2 on: July 22, 2009, 03:24:11 PM »
Reply with quote
Bahut khoob abd ji hamesha ki tarah
Thanks a lot, Roja!
            - abd bundeli
Logged
Roja
Guest
«Reply #3 on: July 22, 2009, 04:57:15 PM »
Reply with quote
Welcome Uncle ji

Mujhe teri mohabbat ka yakeen hai
Jikr teri jubaan pe kyu nahi hai?

Sawal ek berson se dohra rahi hu
Jawab unka abhi aaya nahi hai

Hame bhi naz hai apni wafa per
Ye mana ke zamane se aziz hai

Mai jab chahu tera didar kar lu
Tumara tasvir dil mein sajayi hai

 
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #4 on: July 22, 2009, 05:56:03 PM »
Reply with quote
Welcome Uncle ji

Mujhe teri mohabbat ka yakeen hai
Jikr teri jubaan pe kyu nahi hai?

Sawal ek berson se dohra rahi hu
Jawab unka abhi aaya nahi hai

Hame bhi naz hai apni wafa per
Ye mana ke zamane se aziz hai

Mai jab chahu tera didar kar lu
Tumara tasvir dil mein sajayi hai

 


Roja ji! Aapki nazar-e-inaayat hai!

Kaash meyree zubaan khul paatee;
Aur wo baat gazal ban jaatee!
Eik dulhin-saa koun sharmaataa?
Ba'ad shab, umra ko hansee aatee!!

                   - abd bundeli


Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 22, 2024, 10:34:40 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.13 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer