Rishto Ki Haqeeqat.."Khwaish"

by khwaish on June 29, 2009, 03:38:12 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 3773 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
Reply with quote
Dosti,Mohabbat,Apne,Paraye...Yeh sab Insaani Rishte Duniya Mein Jeete Rehne Ke liye bahut zaroori hote Hai..Duniya Ka Har Insaan Kahin na Kahin,Inn Rishto Se Juuda Hota hai...Par Guzarte Waqt Ke Saath Zindagi mein Bahut Si tabdeeliyan Aati Hai,Aise Hi Kuch Jazbaat,Kuch Ehsaas Ko Zehan mein Rakh Kar Kuch Likh raha Hoon,Umeed Karta Hoon Aap Sab ko Pasand Aaye.....


Woh Ek Shaks Jo mehfil Mein Bolta Tha Bahut,
Suuna Hai Woh Andar Se Khokla Thaa Bahut!!!

Waqt par Faisle Lene Se Hi Taqdeerein Badalti Hai!!
Zindagi mein kuch Naa Kar Paaya Woh Shaks,
Jo Sirf Sochta Tha Bahut!!!

Dosti,Yaari jaise Lafzo Par Ab Usse Kuch Aitbaar Nahi,
Woh Dost Bhi Kya Dost??
Jo Ehsaan kar Ke Jatlaata tha Bahut!!!!


Naa Jaane Kahan Gaya Woh banjara
Jo mere ghar Ke Gali Se Guzra Karta Tha!!
"Zindagi Bahut Khoobsurat Hai"
Woh kuch yuh Pukaarta Tha Bahut!!!!

Mohabbat Sirf Zubaan Ki mohtaaj Nahi Hai!!
Nazrein Jhuka Kar Guzarne Wala Bhi
Tujhe Chaahta Tha Bahut!!!!!

Uske Dard Ka Andaaza Hum Log Kya Laga Paayenge??
Jo Dard Ko chupane Ke liye Muskura Tha Bahut!!!!!

Aaj Ek Mehfil Mein Baithkar Bhi,
Uss Shaks Se Koi Guftuugu Nahi,
Ek waqt Tha,Jab Woh Tere dil Mein Rehta Tha Bahut!!!!!

Aaj Puchna Chaahta Hoon tujhse,
 Kya Main tujhe Kuch Yaad Bhi Hoon??
Zara Dekh!!! Main Aaj Bhi Wahi Hoon,
 Jo teri Nazro Se Kabhi Gira Tha Bahut!!!!

Aaj Apne Aur Gairo Mein Usse Kuch Fark Nazar Nahi Aata!!
Jo kabhi Rishto Ko Apne Tatolta Tha Bahut!!!!

Duniya Ke Iss Bheed Mein Kabhi Apni Pehchaan Ko Naa Khona,
Woh Shaks Har kadam par Tere Saath Hai!!
Jo Iss bheed mein Kabhi Tujhe Dhoondhta Tha Bahut!!!


Laut Aayengi Phir Se Woh Bahaarein
Gar Tujhe Khud Par Yakeen Hai!!!
"Khwaish" Manzil Tak Pahunch Hi Jaata Hai Woh musafir!!
Jo Kabhi Patharo Se Thakrata Tha Bahut!!!!!

               ~~~~~Khwaish~~~~~
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #1 on: June 29, 2009, 04:02:20 PM »
Reply with quote
Bahut Hi Umda Khwaish Bhai.
Aapke Kalaam Mein Humesha
Gehri Bat Hoti Hai Aur Samjhne Wali Bhi

Keep It Up...

Bahut Bahut Shukriya majid Bhai..Aapne Padha Aur Saraha,Yeh Jaankar Bahut Khushi Hui..
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #2 on: June 29, 2009, 04:14:03 PM »
Reply with quote
Fantastic.. bahoot hi behtareen aur bahoot hi Gehraai dikhi aapki iss ghazal mea... Bahoot bahoot Khoob!
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #3 on: June 29, 2009, 04:16:27 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause
bahoot khoob khwaish bro
Logged
angel4u
Guest
«Reply #4 on: June 29, 2009, 04:51:19 PM »
Reply with quote
Wahh, behad khoobsurat likha hia Khwaish ji aapne.. bahut bahut gehrai se tarasha gaya hai har lafz...

As usual, extraordinary work...
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #5 on: June 29, 2009, 09:29:58 PM »
Reply with quote
Wah wah Khwaish ji,wonderful creation,  :thumbup:kamaal ka likha aapne,
 Clapping Smiley Clapping Smiley :clapping:keep it up.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #6 on: June 29, 2009, 10:16:50 PM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smileyek ek lafz kamaal ka likha hai khwaish ji!!! Good Creation!!

yah line dil ko chu gai:

Mohabbat Sirf Zubaan Ki mohtaaj Nahi Hai!!
Nazrein Jhuka Kar Guzarne Wala Bhi Tujhe Chaahta Tha Bahut!!!!!

Aaj Ek Mehfil Mein Baithkar Bhi,Uss Shaks Se Koi Guftuugu Nahi,
Ek waqt Tha,Jab Woh Tere dil Mein Rehta Tha Bahut!!!!!
Logged
Talat
Guest
«Reply #7 on: June 30, 2009, 12:20:31 PM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Bohot Khoob Dost, Rishton ki haqiqat pe aapne jo lafz likhe hain bohot hi gehre hain...kuch alfaaz dil main utar gaye, kuch chubh se gaye.....Bohot bohot Khoob Khwaish
Logged
aaina
Guest
«Reply #8 on: June 30, 2009, 12:23:14 PM »
Reply with quote
bhut khoob khwaish sahab bhut khoob, waseem bareilvy sahab ki ghazal ke chand aasahaar yaad aa rhe hain ijazat chahunga....

ab aisa ghar ke dareecho ko band kya rakhna
hawa ke aane ka koi to raasta rakhna

jab apne log hi aayenge lootne ke liyn
to dosti ka taqaza hai dar khula rakhna

ye qurbatai.n hi bade imtehaan laiti hain
kisi se waasta rakhna to door ka rakhna
Logged
Talat
Guest
«Reply #9 on: June 30, 2009, 12:26:33 PM »
Reply with quote
bhut khoob khwaish sahab bhut khoob, waseem bareilvy sahab ki ghazal ke chand aasahaar yaad aa rhe hain ijazat chahunga....

ab aisa ghar ke dareecho ko band kya rakhna
hawa ke aane ka koi to raasta rakhna

jab apne log hi aayenge lootne ke liyn
to dosti ka taqaza hai dar khula rakhna

ye qurbatai.n hi bade imtehaan laiti hain
kisi se waasta rakhna to door ka rakhna


Aslam Ji,

Bohot hi khoob.....bohot gehre maaene rakhte hain ye asha'ar Applause Applause Applause
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #10 on: July 01, 2009, 04:15:21 AM »
Reply with quote
Fantastic.. bahoot hi behtareen aur bahoot hi Gehraai dikhi aapki iss ghazal mea... Bahoot bahoot Khoob!

Thankyou Soooooooooooooo Much Sophi!! Usual Smile

Thanks For Always Appreciating My Work.. icon_flower
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #11 on: July 01, 2009, 03:48:10 PM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause Applause
bahoot khoob khwaish bro

Bahut Bahut Shukriya Sanjeev Bro... Usual Smile
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #12 on: July 05, 2009, 12:53:11 PM »
Reply with quote
Wahh, behad khoobsurat likha hia Khwaish ji aapne.. bahut bahut gehrai se tarasha gaya hai har lafz...

As usual, extraordinary work...

Thankyou Soooooooooo Much Dear Angel!!!

Your Appreciation is Valued A Lot..Thankyou.. icon_flower
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #13 on: July 07, 2009, 11:10:48 AM »
Reply with quote
Bahoot khub Khwaish ji....bahut lajwab likha hai aapne....lkn khuch swal phr se dil me aa rahe hai,un swalon ki kehne ki koshish kar rhi hu....khuch galat kaha ho to maafi chahugi

Rishton ki haqeeqat ko koi samajh paye kaise
Apno-begano ki kashmakash ko koi suljhaye kaise

Har ummid,har khwab jiska kaanch ki tarah toot gya ho
Phr se koi nayi ummid wo jgaye kaise

Jiske har faisle ne use khud hi barbaad kiya
Koi faisla lene ki himmat wo phr se laye kha se

Use na rha ab vishwas na apno par,na begano par
Wo khud me ek nya vishwaas jgaye kaise

Ab koi khushi uske paas se gujarti bhi nahi
Zindagi khubsurat hai,wo ye gungunaye  kaise
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #14 on: July 08, 2009, 06:21:19 AM »
Reply with quote
Wah wah Khwaish ji,wonderful creation,  :thumbup:kamaal ka likha aapne,
 Clapping Smiley Clapping Smiley :clapping:keep it up.

Thankyou Soooooooo Much Madhu.. Usual Smile
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 05:31:48 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.108 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer