Ro lena (hamain yaken hai aap ko ya ghazal passand ai ge)

by muneeb on September 14, 2004, 12:00:23 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 4628 times)
muneeb
Guest
Reply with quote
Jab Seena Gham Se Bhojal Ho Aur Yaad Kissi Ki Atti Ho

Tab Kamre Mein Band Ho Jana Aur Chupke Chupke Ro Lena

Jab Ankhein Bagi Ho Jain Aur yaad Mein Meri Bhar Aain

Phir Khud Ko Dhoka Mat Dena Aur Chupke Chupke Ro lena

Jab Palkein jaaagh kar Mondi Ho Aur sab Samjhein Tum Sote Ho

Tab Moun Par Takeya Rakh Lena Aur Chupke chupke Ro Lena

Yah Duniya Zalim Duniya Hai, Yah baat Buhat Phelay Gi

Tum Sab Ke Samne Chup Rehna Aur Chupke chupke Ro Lena

Jab Barish Chera Dho Dale Aur Ashk Bhi Boondein Lagte Hon

Who Lamha Hargiz Mat Khona Aur Chupke Chupke Ro Lena
Logged
muneeb
Guest
«Reply #1 on: September 22, 2004, 04:36:30 PM »
Reply with quote
Wo Rula Kar Hans na paya der tak
Jab me ro kar muskuraya der tak

Baanjh dharti piyasi thi piyasi rahi
Badalon ne ghul machaya der tak

Sab zara si baat per uljhe rahe
Or kissi ne kuch na paya der tak

Chand lamhe piyar me hans bol len
Kab ruka hai kis ka saya der tak

Us ne jab sunne me kuch taakhir ki
Hum ne bhi sar na uthaya der tak

Us ne jo nazren churayeen bazm me
Hum ne bhi pehloo bachaya der tak

Faaslon ke darmiyan yoon gum howa
Phir usse na dhoond paya der tak
Logged
muneeb
Guest
«Reply #2 on: September 23, 2004, 08:06:11 PM »
Reply with quote
BOHAT YAAD AATA HAI

Bohat hi yaad aata hai mere Dil ko tarpaata hai

woh tera paas na hona bohat mujh ko rulaata hai

woh mera teri aankhon ke samandar main uttar jaana

aur teri muskurahat ke bhanwar main doobte jaana

teri awaaz ke saher se na nikal paana

tujh ko dekhna aur be-khudi se dekhte jaana

bohat chaha in guzre hue lamhon ko na sochoon

na teri yaad main reh ke tere saath ka sochoon

bhoola doon saari yaadon ko ke jin se Dil tarapta hai

ke jin se tais utth ti hai ke jin se dard hota hai

magar jab raat aati hai to teri yaad aati hai

tere hi khuwaab hote hain teri hi baat hoti hai

to tay paaya ab mumkin nahi tujh ko bhoola dena

teri yaad main rehna tujhe hi sochte rehna

tujhe jab yaad karte hain to Dil apna tarapta hai

woh tera paas na hona bohat mehsoos hota hai
Logged
muneeb
Guest
«Reply #3 on: October 09, 2004, 03:59:54 PM »
Reply with quote
Tanhai k Lamhon mein aker
ik roz amar mujhay bus ker jaoo
meri aankhein zinda rehnay do
meray khawab mujhay bus day jaoo
jis din say juda hoon mein tum say
bas khoya khoya rehta hoon
meri yadein sooni sooni hain
meri yadein mujhay bus day jaoo
meri aankhon ko ab aadat hay
aainay jesay chehray ki
mujhay jeenay ka haq bus day jaoo
meray khawab mujhay bus day jaoo
meray paas gharonday toot gay
khawab main khilonay kia bechoon
tum aur koi dunya dhoondo
meray khawab mujhay bus day jaoo
meray khawab jo tum nay cheen liay
wo khawab mera sarmaya thay
mera sab kuch le lo mujh say tum
meray khawab mujhay bus day jaoo
Logged
A K Khan
Guest
«Reply #4 on: October 11, 2004, 03:40:32 PM »
Reply with quote
Muneeb ji

aap ne jo pehli do ghazliaiN post ki haiN ye donoN bohat achi haiN hamiN ummed he ke aap se aainda bhi aesi hi meyari tehriraiN parhne ko milti rahiN gi
Wish u good luck

AZHAR
Logged
muneeb
Guest
«Reply #5 on: October 11, 2004, 03:47:15 PM »
Reply with quote
AAp ka bohat shukeriya Azhar ,


janay kiun? dil kisi ajnabhi par etabhar karnay laghta hay...
janay kiun? kissi ka hamari zindagi mein aana bahar sa laghta hay...
janay kiun? us sai milnay k baad haar koi ajnabhi saa laghta hay....
janay kiun? chaudwien k chaand mein ankhay us koo dhondhnay laghti hay ....
janay kiun? us k baghair haar mousam kizah kizah saa laghtha hay ...
janay kiun? janay kiun ?hamari soocho mein usi kaa khayal lagha rehtaa hay ....
janay kiun ? haar waqt usi k aanay ka intezarr lagha rehtaa hay ....
janay kiun? uss k becharnay ka khauf lagha rehtha hay ....
janay kiun? kisi sai eik baar mil kar ussi kaa honay ka dil chahtha hay ..
janay kiun? uss par sabh kuch qurbaan karnay ko dil chahta hay ...
janay kiun? uss k sath zindagi basar karnay ko dil chahtaa hay ...
janay kiun? us ki sansoon mein samanay ko dil chahtaa hay ...
janay kiun? us k sang marnay ko dil chahtaa hay ....
janay kiun?Huh?Huh? janay kiun Huh???
Logged
Pooja
Guest
«Reply #6 on: October 29, 2004, 04:23:58 PM »
Reply with quote
WOWOOWOW!!! Nice Muneeb!!!!
Logged
sufyan
Guest
«Reply #7 on: December 05, 2004, 12:15:19 PM »
Reply with quote
Quote from: "Pooja"
WOWOOWOW!!! Nice Muneeb!!!!


bahut khub muneeb bhai hum to aap ke in ghazlon ke deewane ho gaye aapne to dil khush kar diya
Logged
muneeb
Guest
«Reply #8 on: December 24, 2004, 03:17:38 PM »
Reply with quote
Thank you "Sufyan" and Thank you "pooja"

sufyan aap ka leya haam ek ghazal aur pash kar raha hai



mohabbat ka guman hota bohut hai
ke aab yeh lafaz bhi rusva bohut hai
udasi ka sabab mein kya bataon
gali kochoon mein sanata bohut hai
tere ghum ki fason kari se pehley
mein samjha tha ghum_e_dunya bohut hai
tujhe maloom tou hoga meri jaan
tujhe ek shaks ne chaha bohut hai
na mitney ki kasam kha ke bhi mein ne
tujhe her raha mein dhonda bhi bohut hai
yeh ankhein aur kya kisi ko dekhein
in ankhon ne kisi ko dekha bohut hai
na janae kyon bacha rakhae hain ansoo
abhi shayed mujhe rona bohut hai
Logged
immi
Guest
«Reply #9 on: December 24, 2004, 03:24:54 PM »
Reply with quote
Very Nice Muneeb !!
Gr8 work !!
Logged
sufyan
Guest
«Reply #10 on: January 01, 2005, 05:46:22 PM »
Reply with quote
bahut khub muneeb ji aap se aise hi ghazal ke talabgaar hain hosake to or likhna humare liye plz
Logged
muneeb
Guest
«Reply #11 on: January 09, 2005, 10:19:25 AM »
Reply with quote
Thank you sir kyun nahi aap ka leya ya ek aur ghazal ..



AankhoN se TooTte haiN sitaare to kya hua....?
AankhoN se TooTte haiN sitaare to kya hua
Chalte nahiN vo saath hamare to kya hua

ToofaaN ki zad meiN azm mere saath saath tha
Kashti ko mil sake na kanare to kya hua

Tanhayion ne mujh ko gale se laga liya
vo ban sake na dil se hamare to kya hua

Sau hausle hamare qadam choomte rahe
Kuchh be sukooN raat guzare to kya hua

Manzil bhi, kaarwaN bhi, musafir bhi khud raha
Saathi bane na Hamaray chaand sitaare to kya hua....?
Logged
Rekha
Guest
«Reply #12 on: April 26, 2005, 05:04:13 AM »
Reply with quote
Dear Muneeb ji,

Greetings of the day

sometimes i feel as if all your shayari's are particularly for me... aapki har ghazal mein mujhe apne dil ki baat lagti hai..

Keep writing.........
Logged
Princess21
Guest
«Reply #13 on: April 26, 2005, 05:56:26 AM »
Reply with quote
Sooooooooo NIce!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!! EveryyyyONE!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!1
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #14 on: April 29, 2005, 10:48:33 PM »
Reply with quote
muneeb buhat khoob............................................ ........................................... keep it up............................................... ......................
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 01:16:18 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.096 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer