Ro lena (hamain yaken hai aap ko ya ghazal passand ai ge)

by muneeb on September 14, 2004, 12:00:23 PM
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Author  (Read 4629 times)
khushiiiii
Guest
«Reply #15 on: June 08, 2005, 09:51:07 AM »
Reply with quote
wow mumseeb ji saari gazal bahut hai achhi this i like all of them specially "Jaane kyun " & "Ro Lena"
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #16 on: June 08, 2005, 06:07:18 PM »
Reply with quote
wah muneeb ji,har ek gazal dil ko chhui hai,bohat khoob.
Logged
muneeb
Guest
«Reply #17 on: June 12, 2005, 06:37:23 PM »
Reply with quote
Asalam_O_Alaikum, to all
aap saaab kay bohat bohat shukeriya kay aap ko hamare ghazals passand ai aap saab kay isleya main ek aur ghazal pash karna chahoga ager aap ke ejazat hon tu and i hope u like it also...





Chiraagh Bhuj Gai Khud Ko Jalaana Hoga




Na Samjhna K Tumse Bicharh K Khush Hain
Humain Logon Ki Khaatir Muskuraana Hoga



Phir Shaam Dhal Gai Tum Aaiay Na Aaj Bhi
Dil Ko Aaj Phir Umeedoon Se Behlaana Hoga



Waada Khilaafi Kar K Muskurate Ho Aap
Dekhna Aik Din Sanam Aapko Pashtaana Hoga



Lahoo Se Apne Kafan Pe Tera Naam Likh Jaoungi
Thaam K Haath Main Phool Tumko Aana Hoga



Abhi Se Na Kejiyai Takaaz-E-Masroofiat K Aap
Abhi Utthna Hai Janaza Kaandha To Daina Hoga



Muddaton Kiya Hai Tera Intizaar Aai Sanam
Umar Kat Chuki Ab To Jaana Hoga
Logged
muneeb
Guest
«Reply #18 on: July 03, 2005, 08:38:06 AM »
Reply with quote
Vaade pe o aitbaar nahi karte, Hum zikre mohabbat sare bazaar nahi karte. Darta hai dil unki ruswai se, Aur who sochte hai hum unse pyar nahi karte
Logged
nikki
Guest
«Reply #19 on: July 03, 2005, 10:02:41 AM »
Reply with quote
HELLO to u Muneeb,
first two ghazals to bahut bahut bahut hi achi lagi mujhe.....khud ko maine unmein dooba paya...der tak. Baaki jo bhi ghazals aapne likhi hain MUNEEB bahut hi achi hain.
             Yun hi likhte rahiyega.[/b]
Logged
muneeb
Guest
«Reply #20 on: July 03, 2005, 01:26:44 PM »
Reply with quote
Hi nikki howa are you, thanx kay aap ko ghazals passand ai ek aur ghazalz sunna chaho ge

tu mera nam na pocha kr
main tery zat ka hisa hon
main tery soch main shameyl hon
main tery need ka hisa hon
main tery khwab ka hasil hon
main tery yad ka mehwar hon
main tery sanse ka jhonka hon
tu munzar main pase munzar hon
main lhmha hon main jezba hon
jezby ka koi nam nahi
tu mera nam na pocha kr
Logged
nikki
Guest
«Reply #21 on: July 03, 2005, 01:30:11 PM »
Reply with quote
me not well,  Par aapne ghazal bahut achi likhi hai.............................................
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #22 on: July 03, 2005, 05:57:36 PM »
Reply with quote
bahoot achha likhtey hain aap muneeb ji....

'harsh'
Logged
muneeb
Guest
«Reply #23 on: July 05, 2005, 09:23:32 AM »
Reply with quote
chand doob jata hay dakh kar tara chahra
choom kar tari zolfain raat moskorati hay

hosn sa chalaktay hain rang may farooshi k
zolf sa chalak ti ha sawano ki angrai........

jaam raqs kartay hain har taraf fizaoo main
dhal ka tari ankhoo sa jab sharab ati hay

kiya tari adain hai, kiya tari jawani hay...
aur nazar tari zalim bijliya giratihay...


chand doob jata hay dakh kar tara chahra
choom kar tari zolfain raat moskorati hay
Logged
nikki
Guest
«Reply #24 on: July 09, 2005, 11:01:07 PM »
Reply with quote
again very nice Muneeb ji..................................
Logged
sheetal
Guest
«Reply #25 on: August 04, 2005, 07:37:01 AM »
Reply with quote
Quote from: "muneeb"
Tanhai k Lamhon mein aker
ik roz amar mujhay bus ker jaoo
meri aankhein zinda rehnay do
meray khawab mujhay bus day jaoo
jis din say juda hoon mein tum say
bas khoya khoya rehta hoon
meri yadein sooni sooni hain
meri yadein mujhay bus day jaoo
meri aankhon ko ab aadat hay
aainay jesay chehray ki
mujhay jeenay ka haq bus day jaoo
meray khawab mujhay bus day jaoo
meray paas gharonday toot gay
khawab main khilonay kia bechoon
tum aur koi dunya dhoondo
meray khawab mujhay bus day jaoo
meray khawab jo tum nay cheen liay
wo khawab mera sarmaya thay
mera sab kuch le lo mujh say tum
meray khawab mujhay bus day jaoo
Logged
Aman_rahi
Guest
«Reply #26 on: August 06, 2005, 09:50:34 AM »
Reply with quote
Muneeb Ji....

Saari Ghazlein, Nazm aur Jawab mein likhe gaye Qata aur sher pade....

bahut khoob.....dil ki gehraion se daad kabool karo nacheez ki.....
Logged
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 01:20:26 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.094 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer