Roye bahoth rula ke wo ( Qadeertoopchi )

by qadeer_junaid on May 30, 2010, 04:22:42 PM
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 2558 times)
Shihab
Yoindian Shayar
******

Rau: 27
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
29 days, 4 hours and 51 minutes.

Maut To Ek Shuruaat Hai...

Posts: 2082
Member Since: Dec 2006


View Profile
«Reply #15 on: May 31, 2010, 10:03:18 PM »
Reply with quote
bohat khoob janab Qadeer ji
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
teri duniya se bahoth door chala jaunga by abdulqadeer in Ghazals
TERI DUNIYA SE BAHOTH DOOR CHALA JAUNGA by abdulqadeer in Ghazals
Ashar ( Qadeertoopchi ) by musaafirhon in Miscellaneous Shayri
Eak naghma ( Qadeertoopchi ) by qadeer_junaid in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Khud bhi roye ( Qadeertoopchi ) by qadeer_junaid in Shayri for Khumar -e- Ishq
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #16 on: June 01, 2010, 09:55:05 AM »
Reply with quote
bahut hi unda ghazal
Applause Applause Applause Applause


inayath ke liye shukriya ..allah apko khush rakhe ..


duwa go

qadeertoopchi
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #17 on: June 01, 2010, 09:56:54 AM »
Reply with quote
wah qadeer ji bahut achhe.


 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


bahoth mashkoor hun suresh saheb ,, is tarhan hausla badate rahiyega.. khush rahe hamesha ..


duwa go

qadeertoopchi
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #18 on: June 01, 2010, 09:58:04 AM »
Reply with quote
bahut bahut khoob likha hai aapne Qadeer ji...!!!


shukrya kapil saheb apne waqath diya , dad ke liye mashkoor hon .. allah apko khush rakhe ..


apka bhai


qadeertoopchi
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #19 on: June 01, 2010, 09:59:56 AM »
Reply with quote
Bohat khoob mere bhai........is khoobsurat peshkash ke liye daad kabool kare.


shukriya sajid saheb ,, apne hamesha se hi meri hausla afzai ki hai , umid hai ke aage bhi karam banaye rakhenge .. allah apko khush rakhe ..


apka bhai .


qadeertoopchi
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #20 on: June 01, 2010, 10:03:00 AM »
Reply with quote
bhut khoob Qadeer bhai kya kehne hain, bhut dilkash ghazal kahi hai aapne saare aashaar hi achay rahe magr khaas kar ye sher agr huns e ghazal kaha jaaye to ghalt nhi hoga

chaiD ke daastaa.n mohabbat ki
khud bhi roye bhut rula ke wo

bhut hi piyaara sher hai, umeed hai ki aage isse aur behtr kahenge daad hazir hai qubool keejiye khush rahiye


asalm


ghazal ki pazirai ke liye behad mashkoor o mumnoo hon ,, sub apki mahubbath hai bhai jo is tarhan se nawazte hain ,, hasula afzai ke liye shukriya aslam bhai ,, allah apko khush rakhe..


apka bhai

qadeertoopchi
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #21 on: June 01, 2010, 12:40:12 PM »
Reply with quote
Wah wah Abdul Qadeer bhai bahot achha kalaam hai. Bahot shandaar aur munfarid creation. Daad qubool farmayen.
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #22 on: June 02, 2010, 05:35:14 AM »
Reply with quote
AATISH-E-DIL KO AUR BHADKA KE
KHUD BHI JHULSE MUJHE JALA KE WO

MUAAF KIJIYEGA ALFAZ KA AKAL JHEL RAHI HOON AAPKI TAAREEF ME.THODE ME BAHUT SAMJHEN.MEHABANI HOGI.


wah mamta saheba kya kahena , waise apka sher ziyada acha hai ,, inayath ke liye shukriya ,, allah apko khush rakhe..

Duwa go

Qadeertoopchi
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #23 on: June 09, 2010, 08:26:02 AM »
Reply with quote
Janab qadeer_junaid saheb! Adab!
Aap ki ghazal paRhne ka sharaf haasil hua. Bahut achchha kahte hai magar kahiN kahiN bahr meiN chook bhi hui hai, inheN dekh leN to behtar hoga. Micaal k Taur par:

Unki aaNkheN yahi to kahti haiN
Raat poori jagge jagaa ke woh

Ab yahaN lagta hai aapse typographical mistake sarzad hua hai woh aise k lafz "jagge" nahiN jage hona chahiye.Isi tarah aap ke apke maqte meiN aik lafz chhoot gaya hai, ye bhi ho sakta hai k typographical erro ho jaise:

Kya pata gum kahaN hue Qadeer
Khwaab jhoote hameiN dikha ke wo

Micre oola meiN "haiN" lafZ chhoot gaya hai:

Kya pata gum kahaN hue haiN Qadeer

Baharhaal aise typogrphical hote rahte haiN, magar iska khaas khayaal rakkha jaana chahiye, is liye k qaari ko paRhte waqt garaN guzarta hai. Aap meri baat ka khayaal na kareNge aur agar kuchh mujh naacheez se gustaakhi ho gayee to please maaf kijiyega.

(Waquif Ansari)
ALLAHABAD

Khud na aaye hame bula ke wo !!
Uspe haste hain dil jala ke wo!!

Unki aankhein yahi to kehti hain!!
Raat poori jagge, jaga ke wo !!

Chaid ke daastan mohabbt ki !!
Khud bhi roye bhut rula ke wo!!

Yaad ata hai unka sharmana  !!
Hunt katre the khuch bata ke wo !!

Kya pata gum kahan howe qadeer
Qaub jhote hame dikha ke wo !!



Qadeertoopchi
Logged
Qadeer.toopchi
Guest
«Reply #24 on: June 09, 2010, 10:01:42 AM »
Reply with quote
Janab qadeer_junaid saheb! Adab!
Aap ki ghazal paRhne ka sharaf haasil hua. Bahut achchha kahte hai magar kahiN kahiN bahr meiN chook bhi hui hai, inheN dekh leN to behtar hoga. Micaal k Taur par:

Unki aaNkheN yahi to kahti haiN
Raat poori jagge jagaa ke woh

Ab yahaN lagta hai aapse typographical mistake sarzad hua hai woh aise k lafz "jagge" nahiN jage hona chahiye.Isi tarah aap ke apke maqte meiN aik lafz chhoot gaya hai, ye bhi ho sakta hai k typographical erro ho jaise:

Kya pata gum kahaN hue Qadeer
Khwaab jhoote hameiN dikha ke wo

Micre oola meiN "haiN" lafZ chhoot gaya hai:

Kya pata gum kahaN hue haiN Qadeer

Baharhaal aise typogrphical hote rahte haiN, magar iska khaas khayaal rakkha jaana chahiye, is liye k qaari ko paRhte waqt garaN guzarta hai. Aap meri baat ka khayaal na kareNge aur agar kuchh mujh naacheez se gustaakhi ho gayee to please maaf kijiyega.

(Waquif Ansari)
ALLAHABAD



Janab a mann Waqif saheb , Walekum Aadab,

Allah na kareke apki koi baath giran guzre , Mumkin hai ke typing error howa hai , magar jahantak maqte ki baath apne kahi tu mai samjhne se qasir raha hon , Kya pata ghum kahan howe Qadeer" Ab agar hain ke istemaal kar liya jaye to misra ada nahi hoga aur sher bahr se qairjh ho jayega , waise bhi ye sher bhr se qairjh hai kyun ke "Qadeer" , isme eak taqti ziyada ho gayi hai ,is ki dusri surath khuch is tarhan bhi so sakti hai ,, Zara dekh len,

Kya mahubbath hai aye Qadeer Unki
Mujhe se Rothe Mujhe Mana ke wo !!

Kya qayal hai ,,Apni ara se nawazen,


Duwa go o Qair andesh


Qadeertoopchi
Logged
.adeeb
Guest
«Reply #25 on: June 09, 2010, 11:27:42 AM »
Reply with quote
Qadeer sb. apke liye ek salaht hai ke apni galti ko qabul karna sikhye tabhi ghazal sikh paenge. Waqif ji ne jo point out kiya hai wo sahi hai. Unhone jo islah ki hai usse wo be-baher misra bahr me aa jata hai aur aap kahte hai ye baher se qarij ho gaya. Ajeeb baat hai. Kya aap bata sakte hai apne is ghazal me kaun si bahr use ki hai, uske irkaan kya hain ?   
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #26 on: June 09, 2010, 11:51:37 AM »
Reply with quote
Janab adeeb ji! Adab arz hai!
Janab Qadeer Toopchi saheb ko ye jo kaha ja raha hai k janab sher bahr se khaarij hai to mausoof ulti seedhi baateiN karne lag gaye. Aik achchhe shaayir ki khoobi hoti hai k agar us se koi ghalati sarzad ho gayi hai aur agar kisi ne use point out kar diya to uska wo mamnoor aur shukrguzar hota hai, magar yahan Janab Qadeer Toopchi saheb haiN k aR gaye k bhai chaahe ghalati hi ho jaaye lekin maanege nahiN. Ab yahaN ye sawaal paida hota hai k Qadeer Saheb ye batayeN ki aaya ye Ghazal kis bahr meiN hai, unheiN iski waqfiyat hai k nahiN, kya arkaan haiN. Ab wo bahr aur arkaan ki tafseel bata deN to agar hamaari khaami hogi to hum unke shukrguzar honge warna ye shayari karna nahiN balki waqt ki barbaadi hi kahi jaayegi. Qadeer Toopchi Saheb ne jo doora sher yahan post kiya hai, ab dekhiye k wo sher bhi bahr se khaarij hai. In haalaat meiN siwaaye apna sar dhunne k kya kiya jaaye. Dua karta hooN k rab aise logoN ko aql-e-saleem ata kare.

(Waquif Ansari)

Qadeer sb. apke liye ek salaht hai ke apni galti ko qabul karna sikhye tabhi ghazal sikh paenge. Waqif ji ne jo point out kiya hai wo sahi hai. Unhone jo islah ki hai usse wo be-baher misra bahr me aa jata hai aur aap kahte hai ye baher se qarij ho gaya. Ajeeb baat hai. Kya aap bata sakte hai apne is ghazal me kaun si bahr use ki hai, uske irkaan kya hain ?   
Qadeer sb. apke liye ek salaht hai ke apni galti ko qabul karna sikhye tabhi ghazal sikh paenge. Waqif ji ne jo point out kiya hai wo sahi hai. Unhone jo islah ki hai usse wo be-baher misra bahr me aa jata hai aur aap kahte hai ye baher se qarij ho gaya. Ajeeb baat hai. Kya aap bata sakte hai apne is ghazal me kaun si bahr use ki hai, uske irkaan kya hain   
Logged
qadeer.toopchi
Guest
«Reply #27 on: June 09, 2010, 12:17:36 PM »
Reply with quote
Qadeer sb. apke liye ek salaht hai ke apni galti ko qabul karna sikhye tabhi ghazal sikh paenge. Waqif ji ne jo point out kiya hai wo sahi hai. Unhone jo islah ki hai usse wo be-baher misra bahr me aa jata hai aur aap kahte hai ye baher se qarij ho gaya. Ajeeb baat hai. Kya aap bata sakte hai apne is ghazal me kaun si bahr use ki hai, uske irkaan kya hain ?  


Mere bhai adeeb sahab ,Apka khat masool howa

2122/1212/22


Salamwalekum ,

Baath galti ko maan lene ki ya ade rahene ki bilkul bhi nahi , jika jitna mutala hota hai wo utni hi baath karega , Mere ade rahene sachi baath jhoti nahi hojayegi , kyun ke shayari islaam ki tarha hoti hai jisme maslihat nahi chalti na meri na apki , Apki baath dursut hogi ya hai , isse mujhe khuch lene dene nahi , agar apki qayal jod lon to mere misre se shayari chali jayegi sirf batolebazi rahe jayegi , maine bedi inkesari ke saath kaha te ke ye qayal kaisa hai , bajaye uske aap laand faand me pad gaye , khuch chizon ka jawab dena majbori hoti hai aur khuch chizon me qamushi bhali , Allah sub ko jaza-a-qair de , Meri koi baath na ganwar guzri ho to uske mazrath khaw hon ,, apko ghazal pasand na aaye to dad na den , khuda hafiz , allah apko khush rakhe ,, filhal office me hon ghar jaake sukoon baath hogi


Duwa go

Qadeertoopchi
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #28 on: June 09, 2010, 12:32:48 PM »
Reply with quote
Janab adeeb ji! Adab arz hai!
Janab Qadeer Toopchi saheb ko ye jo kaha ja raha hai k janab sher bahr se khaarij hai to mausoof ulti seedhi baateiN karne lag gaye. Aik achchhe shaayir ki khoobi hoti hai k agar us se koi ghalati sarzad ho gayi hai aur agar kisi ne use point out kar diya to uska wo mamnoor aur shukrguzar hota hai, magar yahan Janab Qadeer Toopchi saheb haiN k aR gaye k bhai chaahe ghalati hi ho jaaye lekin maanege nahiN. Ab yahaN ye sawaal paida hota hai k Qadeer Saheb ye batayeN ki aaya ye Ghazal kis bahr meiN hai, unheiN iski waqfiyat hai k nahiN, kya arkaan haiN. Ab wo bahr aur arkaan ki tafseel bata deN to agar hamaari khaami hogi to hum unke shukrguzar honge warna ye shayari karna nahiN balki waqt ki barbaadi hi kahi jaayegi. Qadeer Toopchi Saheb ne jo doora sher yahan post kiya hai, ab dekhiye k wo sher bhi bahr se khaarij hai. In haalaat meiN siwaaye apna sar dhunne k kya kiya jaaye. Dua karta hooN k rab aise logoN ko aql-e-saleem ata kare.

(Waquif Ansari)



Janab A mann Waqif Saheb , Salamwalekum ,


Apka mutala mujh se ziyada hai , to yaqeenan ap baath sahi kahenge , maine apki baath se uper itefaq dikhaya hai , aur apse rai maangi thi ke ye surath kaisi hai , jahan tak maine kaha tha ke "Hain" lagene se Sher bahr se qarijh ho jayega , aur ada nahi ho payega Tarranum me , agar Ada hota hai to bata dete , maujooda ilm ya halat pe itrane wale log khud apne mustaqbil ki barbadi ka baaz hote hain , agar maine khin pe aisi baath kahe di jo ap ke zahen a nazuk ko giran guzri to bata dete , Aur jahan tak adeeb saheb ki baath hai to unka kya wo shayad roz is tarhan bolte honge Har koi Laddu Thudi na hota hai, Aur dushwar na ho to ye link padh len jahan Eak Umr rasida Aur Ilm ke dhani Shayar janab "Sarwar Raz sarwar Saheb" ne apni rai di hai is GHAZAL per( Mere Qayal se Adeeb Saheb Jaise log Janab Sarwar Saheb ke aage Ahle Chunchu Hai ) , Mazid agar apko khuch Aur jaana hai to bilkul bhi na katraen , aisi bahes se ilm me izafa hota hai na ke kissi ki dilazari

http://www.bazm.urduanjuman.com/index.php?PHPSESSID=2aa5b505ee96bfb9d7094d836eec6861&topic=4998.0


Adeeb saheb Ap pe shayad koi baukhdahat taari hai , Zara usse bahar aaen aur baath ko kahene aur sunne ka saliqa sikhen , Mai maanta hon ke Maine Galti ki hogi, ya ki hai , maine kab kaha ke Waqif sahab galath hain bus unse ara ka muntazir tha , Qair allah khush rakhe sub ko , agar meri koi baath na ganwar guzri ho to uske liye mazrath..Aur Han Adeeb Saheb Maine uper as guest comment kiya hai to usko Edit nahi kar paunga office me Busy tha Wo Bahr a kafif Hai ,ab iski misalen dene se parhez karonga kyun ke apne khuch din qabl hi app Laddu miyun ko de chuke hain ,,ha ha ha




Duwa go o qair andesh


Qadeertoopchi
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #29 on: June 09, 2010, 01:11:59 PM »
Reply with quote
Waquif Bhai, Yakeenan Aap Bahut Ache Shayar Hai Aur Aapko Sab Se zyaada Ilm Hogi Shayari Ki, Par Jis Tareeke Se Aapne Yahan Par Adeeb saheb se Gutagu ki,Padhkar Acha Naa Laga..

Main seedhe aksharo mein kehna pasand karunga ke aapke baat karne ka tareeka hi galat tha,aur agar aapko kisi ki lekhni ko sudhaarna hai to aap P.M bhi kar sakte the, aapka open thread par Har ek ki poetry par apni raaye rakhna galat hai..jahan koi aapse aakar kahe ke waquif bhai,apne hisaab se kuch galtiyan nikale,wahan par aap zaroor apni dilchaspi dijiye,Par Har Jagah Nahi..

Qadeer Bhai, Humein Humesha Ki Tarah Aapki Lekhni,Aapki Har Poetry Lajawaab Lagti Hai, Yuhi Likhte Rahiyega Thumbs UP
Logged
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 09:05:39 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.109 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer