Roz Ik Zakhm Naya Mujhko Diye Jaate Hain : Rekhta Pataulvi

by ziaulhaq on March 14, 2012, 03:56:26 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1078 times)
ziaulhaq
Guest
Reply with quote
Roz Ik Zakhm Naya Mujhko Diye Jaate Hain
Mujhpe Aahbaab Ye Ahsaan Kiye Jaate Hain

Jab Bhi Takhreeb Ka Jazba Kahin Jaag Uthta Hai
Baaton Baaton Mein Chaman Foonk Diye Jaate Hain

Kuchh Adaon Ko Teri Naam Diye Hain Humne
Sab Adaon Ko Kahan Naam Diye Jaate Hain

Dile Majrooh ! Tere Waaste Khushkhabri Hai
Aur Kuchh Zakhm Naye Tujhko Diye Jaate Hain

Aik Wo Hain Ke Hamari Nahin Parwa Unko
Aik Hum Unke Liye Zahar Piye Jaate Hain

Nauk-e-Nashtar Ko Samajh Rakha Hai Sauzan Tune
Chaaraagar! Aise Kahin Zakhm Siye Jaate Hain

Aaj Har Samt Go Shohrat-e-Sahba –e-Jadeed
Magar Baada-e-Kohna Hi Piye Jaate Hain

Mere Aaba Ko Jo Haasil The Chaman Mein Hamdam !
Ikhtiyaaraat Wo Ab Mujhse Liye Jaate Hain

Zahar Peene Mein Kati  Rekhta Sab Apni Hayaat
Hasrat-e-Baadakashi Dil Mein Liye Jaate Hain.
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #1 on: March 14, 2012, 05:00:15 PM »
Reply with quote
bahut bahut bahut he khoob mazaa aa gayaa
Logged
sbechain
Guest
«Reply #2 on: March 14, 2012, 05:19:36 PM »
Reply with quote
Roz Ik Zakhm Naya Mujhko Diye Jaate Hain
Mujhpe Aahbaab Ye Ahsaan Kiye Jaate Hain

Jab Bhi Takhreeb Ka Jazba Kahin Jaag Uthta Hai
Baaton Baaton Mein Chaman Foonk Diye Jaate Hain

Kuchh Adaon Ko Teri Naam Diye Hain Humne
Sab Adaon Ko Kahan Naam Diye Jaate Hain

Dile Majrooh ! Tere Waaste Khushkhabri Hai
Aur Kuchh Zakhm Naye Tujhko Diye Jaate Hain

Aik Wo Hain Ke Hamari Nahin Parwa Unko
Aik Hum Unke Liye Zahar Piye Jaate Hain

Nauk-e-Nashtar Ko Samajh Rakha Hai Sauzan Tune
Chaaraagar! Aise Kahin Zakhm Siye Jaate Hain

Aaj Har Samt Go Shohrat-e-Sahba –e-Jadeed
Magar Baada-e-Kohna Hi Piye Jaate Hain

Mere Aaba Ko Jo Haasil The Chaman Mein Hamdam !
Ikhtiyaaraat Wo Ab Mujhse Liye Jaate Hain

Zahar Peene Mein Kati  Rekhta Sab Apni Hayaat
Hasrat-e-Baadakashi Dil Mein Liye Jaate Hain.


khoob farmayaa zia sahab
...! waah
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #3 on: March 14, 2012, 05:36:54 PM »
Reply with quote
bahut khoob
Logged
~Aatish~
Guest
«Reply #4 on: March 14, 2012, 06:17:41 PM »
Reply with quote
Applause Applause Applause
icon_salut
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #5 on: March 15, 2012, 06:49:07 PM »
Reply with quote
Bahut khoob Ziaulhaq ji..... bahut bahut khoob....!!! Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 12:03:28 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.107 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer