Rukh par teri zulfon ko parishaan nahin dekha....

by sharmaarunkumar on December 19, 2004, 06:51:17 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 7791 times)
sharmaarunkumar
Guest
Reply with quote
Zaahid ne mera haasil-e-Imaan nahin dekha
Rukh par teri zulfon ko parishaan nahin dekha

Har haal mein bas pesh-e-nazar hai wahi surat
Maine kabhi rue shab-e-hijraan nahin dekha

Aaye the sabhi tarah ke jalwe mere aage
Maine magar aye deeda-e-hairaan nahin dekha

Kya Kya hua hangaam e junoon ye nahin maloom
Kuch hosh jo aya to garebaan nahin dekha.


(Asghar Gondvi)
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Nahin Dekha by Qutubuddin in Shayri-E-Dard
Teri Zulfon Se Khelkar by Alam Qazi in Shayri for Khumar -e- Ishq
Teri Zulfon Ki Mehak by Alam Qazi in Shayri for Khumar -e- Ishq
Zulfon Me Chhupa Chehra Lajawaab Dekha Hai by ishk ek ibadat in Shayri for Khumar -e- Ishq
Teri Zulfon Tale Zindgi Ki Shaam Ho Jaati To Acha Tha…!! by Advo.RavinderaRavi in Miscellaneous Shayri « 1 2 3  All »
nishita
Guest
«Reply #1 on: December 21, 2004, 12:09:49 PM »
Reply with quote
wah bohat khoob
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #2 on: December 21, 2004, 05:11:56 PM »
Reply with quote
Thanx!!!!!! Nishita ji!!!!
Logged
khirbar
Guest
«Reply #3 on: December 24, 2004, 08:24:17 AM »
Reply with quote
hi friends  Usual Smile



nice poetry sharma jee keep it up



Here is a ghazal by Mohsin Naqvi

"Habs-e-duniya se guzar jaate hein
Aisa karte hein keh mar jaate hein

kaise hote hein bicharney waalay
hum yeh sochein bhi to dar jaate hein

Dil jo tootay to sar-e-mahfil bhi
Baal be-wajah bikhar jaate hein

Ab na dekho meri banja aankhein
Chartay dariya bhi utar jaate hein

Tum Kahan jaao ge socho Mohsin
Log thak haar keh ghar jaate hein"

bye take care
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #4 on: December 24, 2004, 10:15:51 AM »
Reply with quote
Very Nice ji!!!


Udaasi Ka Yeh Pathar Aansoyoun Se Nam Nahien Hota
Hazaaroun Jugnuyoun Se Bhi Andhera Kam Nahien Hota

Kabhi Barsaat Mein Shadaab Bailein Sookh Jaati Hein
Harey PairDoun Kay Girney Ka Koi Mousam Nahien Hota

Bohout Se Loog Dil Ko Iss Tarha Mehfooz Rakhtey Hein
Koi Baarish Hoo, Yeh Kaaghaz Zara Bhi Nam Nahien Hota

BicharDte Waqt Koi Bad-Gumaani Dil Mein Aa Jaati
Ussay Bhi Gham Nahien Hota, Mujhe Bhi Gham Nahien Hota

Yeh Aansoo Hein, Inhein Phooloun Mein Shabnam Ki Tarha Rakhna
Ghazal Ehsaas Hai, Ehsaas Ka Maatam Nahien Hota



(Dr Basheer Badra)
Logged
khirbar
Guest
«Reply #5 on: December 28, 2004, 10:14:37 AM »
Reply with quote
hi  


its my own poetry

Umer kay samnder main;
Zindgi kay dharay hain;
Roshni ki khuahish main;
Waqat kay sitaray hain
Jis khuda nay yeh dherti;
yeh falaq sawaray hain;
Us say illtaja yeh hai;
Bus mari dua yeh hai
Wo tumhari kismat main;
Elm ki reda likh day;
Khawab ki adda likh day;
Piyar ki sadda likh day Ameen

bye take care
Logged
khirbar
Guest
«Reply #6 on: December 28, 2004, 10:14:54 AM »
Reply with quote
hi  

nice sharma jee
its my own poetry

Umer kay samnder main;
Zindgi kay dharay hain;
Roshni ki khuahish main;
Waqat kay sitaray hain
Jis khuda nay yeh dherti;
yeh falaq sawaray hain;
Us say illtaja yeh hai;
Bus mari dua yeh hai
Wo tumhari kismat main;
Elm ki reda likh day;
Khawab ki adda likh day;
Piyar ki sadda likh day Ameen

bye take care
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #7 on: December 28, 2004, 03:04:33 PM »
Reply with quote
Waah Kya kahne Khirber ji!!!
Bahut Khoobsoorat ashaar tumhaare hain!!!! :lol:  :lol:
Logged
khirbar
Guest
«Reply #8 on: December 29, 2004, 11:38:08 AM »
Reply with quote
hi  Usual Smile

thanks sharma jee

Meyray saathi !

Meyri rooh meyray jissam say perwaz ker jaay

to loat aana

Meyri bay khaab ratoon kay aazaab per

seesaktay shayher main tum bhi

Zara see dayrr ko rukna

Meyray bay noor hontoon ki duaoon per

Tum appni payshahni ka pather rakh ker roo dayna

Bus ittni baat keh dayna

Mujhay tum say muhabaat hay !

bye take care

"Ekhlas-o-muhabaat, mehroo-o-wafa sab rasmeen batain hain
Her shahks khudi ki masti main bus appni khater jeeta hay"
Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #9 on: December 29, 2004, 12:06:42 PM »
Reply with quote
Saheeb naa mayraa Huslay Emaanahee Daykhaa...
Uspar Tayree Zulfoo koo paraysaa nahee Daykhaa...

Ques....
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #10 on: December 29, 2004, 04:56:23 PM »
Reply with quote
Nice ques ji!!& Khirbar ji!!!
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 10:56:20 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.097 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer