Saaqiyah, ruk zaraa, shaam honey to dey!!

by abdbundeli on November 15, 2008, 03:11:21 PM
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 2889 times)
abdbundeli
Guest
Reply with quote
 Siyah kaa pardah-ae-aam honey to dey!
 Saaqiyah, ruk zaraa, shaam honey to dey!!

 Saath mein kuchh khudaa waaley moujood hain;
 Har ta'arruf ko gumnaam honey to dey!!

 Teyree mahfil mein fark-e-murawwat naheen;
 Rindagee kaa ehatiraam honey to dey!!

 Rind-e-saaleyh hoon: din mein peetaa naheen;
 Shab naheen, shaam kaa naam honey to dey!!

 Maykadey mein naheen ab bhi maahoul wo,
 Haq mein poorey saranzaam honey to dey!!

 Iztiraabee abhee kam hai, badhhney to dey;
 Maang badhhney dey, kohraam honey to dey!!

 Pahiley to khud may-e-chashm mujh ko pilaa,
 Rooh ko baadaa'aashaam honey to dey!!

 Jaantaa hoon qareebee habeebee hain ham!
 Khud khudaa ban, mujhey jaam honey to dey!!

 Waqt mouzoon hai: ab ho rahee hai azaan;
 Pinhaan ilhaam kaa kaam honey to dey!!

 Apney pahloo mein aaney dey, kuchh is tarah,
 Rishtah-ae-khaas khushgaam honey to dey!!

 Khushnumaa ho rahaa hai samaan magribee;.
 Husn kaa peish paigaam honey to dey!!

 Mein yaqeenan hoon shaamil teyree bazm mein;
 Is ta'abbud ko badnaam honey to dey!!

 Shaam ho, yaa shafaq, din sey hain alahadah;
 Surkh taareek anzaam honey to dey!!

 Maantaa hoon, hain mushtaaq ab bhee kayee;
 Bazm-e-maykash, 'abd', aam honey to dey!!

            Ram Prakash Garg 'abd bundeli'
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #1 on: November 15, 2008, 03:41:24 PM »
Reply with quote
main shehansha tu fakir phir bhi dil me hasrat yeh rehney to de
ke pal bhar ke liye abd ghayel ko apne kareeb hone to dey
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #2 on: November 15, 2008, 03:49:09 PM »
Reply with quote
 Applause Applause
Bohat khoob Abd ji...

 
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #3 on: November 15, 2008, 05:42:03 PM »
Reply with quote
main shehansha tu fakir phir bhi dil me hasrat yeh rehney to de
ke pal bhar ke liye abd ghayel ko apna gulam hone to dey

sajid_ghayel ji!
Never use the word 'gulam', for a relationship of an elder brother and his younger brother! Mein 70 kaa hoon, aur apney 66 saal key sagey chhotey bhaayee ko 'betaa' kahtaa hon! Tum to nou-jawaan ho, fir eik tarah sey meryrey beytey jaisey hi huye! My dear, you're a King of Kings. Every Indian citizen is a king or queen. "Gulaams" are not found in India.
                                - abd bundeli
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #4 on: November 16, 2008, 06:11:32 AM »
Reply with quote
honeyrose ji!
Bahut-bahut shukriyah!
             - abd bundeli
Logged
Pooja
Guest
«Reply #5 on: November 17, 2008, 10:59:57 PM »
Reply with quote
bahoot khoob Abd ji...

Nice lines SG !!!
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #6 on: November 18, 2008, 03:31:11 AM »
Reply with quote
Shukriyah Pooja ji!
          - abd bundeli
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #7 on: November 18, 2008, 07:49:20 AM »
Reply with quote
main shehansha tu fakir phir bhi dil me hasrat yeh rehney to de
ke pal bhar ke liye abd ghayel ko apne kareeb hone to dey

sajid_ghayel ji!
You're always welcome! Grow, and be great: sky is the limit!
                                        - abd bundeli
Logged
Talat
Guest
«Reply #8 on: November 18, 2008, 07:57:11 AM »
Reply with quote

 Siyah kaa pardah-ae-aam honey to dey!
 Saaqiyah, ruk zaraa, shaam honey to dey!!

 Saath mein kuchh khudaa waaley moujood hain;
 Har ta'arruf ko gumnaam honey to dey!!

 Teyree mahfil mein fark-e-murawwat naheen;
 Rindagee kaa ehatiraam honey to dey!!

 Rind-e-saaleyh hoon: din mein peetaa naheen;
 Shab naheen, shaam kaa naam honey to dey!!

 Maykadey mein naheen ab bhi maahoul wo,
 Haq mein poorey saranzaam honey to dey!!

 Iztiraabee abhee kam hai, badhhney to dey;
 Maang badhhney dey, kohraam honey to dey!!

 Pahiley to khud may-e-chashm mujh ko pilaa,
 Rooh ko baadaa'aashaam honey to dey!!

 Jaantaa hoon qareebee habeebee hain ham!
 Khud khudaa ban, mujhey jaam honey to dey!!

 Waqt mouzoon hai: ab ho rahee hai azaan;
 Pinhaan ilhaam kaa kaam honey to dey!!

 Apney pahloo mein aaney dey, kuchh is tarah,
 Rishtah-ae-khaas khushgaam honey to dey!!

 Khushnumaa ho rahaa hai samaan magribee;.
 Husn kaa peish paigaam honey to dey!!

 Mein yaqeenan hoon shaamil teyree bazm mein;
 Is ta'abbud ko badnaam honey to dey!!

 Shaam ho, yaa shafaq, din sey hain alahadah;
 Surkh taareek anzaam honey to dey!!

 Maantaa hoon, hain mushtaaq ab bhee kayee;
 Bazm-e-maykash, 'abd', aam honey to dey!!

            Ram Prakash Garg 'abd bundeli'


Aapne humari khwahish poori kar di ye ghazal post kar ke...Us din sirf 2 sher padhe the, aur aaj poori ghazal padh ke bas yahi kahenge, Bohot hi Khoob Abd Ji Applause Applause
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #9 on: November 18, 2008, 08:10:44 AM »
Reply with quote

Thanks Celmira! You're always welcome!
                - abd bundeli
Logged
abdulqadeer
Guest
«Reply #10 on: November 18, 2008, 12:56:08 PM »
Reply with quote
maikade ki ye shaam kissi ko mat dena !!
dostoon ko ye kaam mat dena !!
jinko pine ka saliqa na aye !!
unke hatoon me ye jaam mat dena !!
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #11 on: June 07, 2009, 11:07:43 AM »
Reply with quote
maikade ki ye shaam kissi ko mat dena !!
dostoon ko ye kaam mat dena !!
jinko pine ka saliqa na aye !!
unke hatoon me ye jaam mat dena !!

Nosh peenaa hai: mahaz jaam mein rakkhaa kyaa hai?
Rind-e-aalaa hoon; khaas-o-a'am mein rakkhaa kyaa hai?
Pahloo-e-yaar mein, lamhah hai har mufeed, ‘abd’,
Pee lagaataar, subh-o-shaam mein rakkhaa kyaa hai!

                                                                - abd bundeli

Logged
Roja
Guest
«Reply #12 on: July 19, 2009, 06:16:40 AM »
Reply with quote
Saaqiyah kuch hame bi pilado na
Aaj besudh hame bi bana do na

Mere saaqi tera kya bigad gaya
Ek nigaah edhar bi uta do na

Baal hai jaal aur Dil thayir (Parinda)
Jaal ko aaj fir faila bi do na

Jaane kab se batak rahi hu mai
Raahe-manzil isse bi dikha do na...  tongue3
Logged
manishmns
Guest
«Reply #13 on: July 19, 2009, 06:22:21 AM »
Reply with quote
Wah wah mohtarma aap to badi umda shayar lagti hai
Logged
Roja
Guest
«Reply #14 on: July 19, 2009, 06:27:48 AM »
Reply with quote
Wah wah mohtarma aap to badi umda shayar lagti hai

Bahut bahut shukriya Mohtaram....(Hume kuch nahi aata ji.. yahan mujhse bi badiya badiya likhte hai... unmein se yeh mera uncle ji ABDBUNDELI ji b hai. Aap inhe zarur padna. Usual Smile
Logged
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 24, 2024, 02:15:03 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.129 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer