Saaqiyah, ruk zaraa, shaam honey to dey!!

by abdbundeli on November 15, 2008, 03:11:21 PM
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 2887 times)
abdbundeli
Guest
«Reply #15 on: July 19, 2009, 06:42:29 AM »
Reply with quote

Saaqiyah kuch hame bi pilado na
Aaj besudh hame bi bana do na

Mere saaqi tera kya bigad gaya
Ek nigaah edhar bi uta do na

Baal hai jaal aur Dil thayir (Parinda)
Jaal ko aaj fir faila bi do na

Jaane kab se batak rahi hu mai
Raahe-manzil isse bi dikha do na...  tongue3


Mahfil-e-khaas hai, wo khud hi bulaaye, yaa Rab!
Aaj kuchh bhi ho, mujhey hosh na aaye, yaa Rab!
Saaqiyah, khwaahish-e-asal hai: khum key khum peeloon;  
Mousam-e-khaas hai, bhar peit pilaaye, yaa Rab!!

                               abd bundeli
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #16 on: July 19, 2009, 06:46:31 AM »
Reply with quote
Bahut bahut shukriya Mohtaram....(Hume kuch nahi aata ji.. yahan mujhse bi badiya badiya likhte hai... unmein se yeh mera uncle ji ABDBUNDELI ji b hai. Aap inhe zarur padna. Usual Smile
Ta'areef aur sifaarish key liye shukriyah Roja Mahaaraanee!
            - abd bundeli
Logged
Roja
Guest
«Reply #17 on: July 19, 2009, 06:47:27 AM »
Reply with quote
Mahfil-e-khaas hai, wo khud hi bulaaye, yaa Rab!
Aaj kuchh bhi ho, mujhey hosh na aaye, yaa Rab!
Saaqiyah, khwaahish-e-asal hai: khum key khum peeloon;  
Mousam-e-khaas hai, bhar peit pilaaye, yaa Rab!!

                               abd bundeli


wah...

Hum toh aashiq hai tere shayari ke
Baat karne ke naye andaz ke

Tere geeton mein hai apni hi kashish
Vo nahi mohtaz kisi bi saaj ke

Hale-dil sun le magar kuch na kahe
Sadke jaaye hum aise humraj ke..

Muskurake Bundali ne dekha jab
Mit gaye shiqwe dil-nasaaj ke

 Usual Smile
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #18 on: July 19, 2009, 06:58:53 AM »
Reply with quote
wah...


Hum toh aashiq hai tere shayari ke
Baat karne ke naye andaz ke

Tere geeton mein hai apni hi kashish
Vo nahi mohtaz kisi bi saaj ke

Hale-dil sun le magar kuch na kahe
Sadke jaaye hum aise humraj ke..

Muskurake Bundali ne dekha jab
Mit gaye shiqwe dil-nasaaj ke

 Usual Smile

Thanks Roja!

Dil ney dil ko chhoo liyaa,
Ab kyaa boley rind!
Pahloo mein aabaad hoon:
Jay saaqee! Jay Hind!!

             - abd bundeli
         


                 

               
Logged
Roja
Guest
«Reply #19 on: July 19, 2009, 07:02:46 AM »
Reply with quote
Dil ney dil ko chhoo liyaa,
Ab kyaa boley rind!
Pahloo mein aabaad hoon:
Jay saaqee! Jay Hind!!

             - abd bundeli
        
haha...

Hum jaa rahe hai vasal ki hasrat liye huwe
Lekin tumhe satayenge vade kiye huwe

Hum jeet chale shart-e-wafa ke raah se
Tum bhool gaye vachan sab apne diye huwe
 tongue3


                

               

Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #20 on: July 19, 2009, 07:13:03 AM »
Reply with quote
        
haha...


Hum jaa rahe hai vasal ki hasrat liye huwe
Lekin tumhe satayenge vade kiye huwe

Hum jeet chale shart-e-wafa ke raah se
Tum bhool gaye vachan sab apne diye huwe
 tongue3
      

       
Thanks Roja!

Taazindagee rahogey yaad! Aur kyaa kaheyn?
Apney naseeb mein hai: raah deykhtey raheyn!
Wo waayadey pai aayengey: ham ko yaqeen hai:
Wo, wo hain, unkaa man hai: jahaan chaahiye baheyn!!

                                     - abd bundeli
Logged
Roja
Guest
«Reply #21 on: July 19, 2009, 07:22:20 AM »
Reply with quote

Taazindagee rahogey yaad! Aur kyaa kaheyn?
Apney naseeb mein hai: raah deykhtey raheyn!
Wo waayadey pai aayengey: ham ko yaqeen hai:
Wo, wo hain, unkaa man hai: jahaan chaahiye baheyn!!

                                     - abd bundeli




Yaad tera bhula nahi sakti
Apni beeti mita nahi sakti

Dard toh tohfa-e-mohabbat hai
Kader iski ghata nahi sakti

Neend bhi pass aa nahi sakti
Yaad tera sula nahi sakti

Pyar sabse bada ebaadat hai
Mai ibaadat bhula nahi sakti

Keh sakti hu dastan-e-gam
Magar tujhko rula nahi sakti

Hai ajal se tera-mera rishta
Waqt isko mita nahi sakti

Gam ki tarikiyon (Andheron ka) hai ye asar
Zakham dil ke dikha nahi sakti..
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #22 on: July 19, 2009, 07:35:01 AM »
Reply with quote

Yaad tera bhula nahi sakti
Apni beeti mita nahi sakti

Dard toh tohfa-e-mohabbat hai
Kader iski ghata nahi sakti

Neend bhi pass aa nahi sakti
Yaad tera sula nahi sakti

Pyar sabse bada ebaadat hai
Mai ibaadat bhula nahi sakti

Keh sakti hu dastan-e-gam
Magar tujhko rula nahi sakti

Hai ajal se tera-mera rishta
Waqt isko mita nahi sakti

Gam ki tarikiyon (Andheron ka) hai ye asar
Zakham dil ke dikha nahi sakti..


Bahut hi khoob Roja! And, a lot of thanks!

Kaash, kuchh ho, ki, daastaan badley!
Baagbaan badley; aashiyaan badley!!
Aaj jo bhi hai, theek hai, yahee muqaddar hai!
Kyaa patah kal hi, dil-o-jigar-e-meyhrbaan badley!

                          - abd bundeli

Logged
Roja
Guest
«Reply #23 on: July 19, 2009, 07:38:29 AM »
Reply with quote
Bahut hi khoob Roja! And, a lot of thanks!

Kaash, kuchh ho, ki, daastaan badley!
Baagbaan badley; aashiyaan badley!!
Aaj jo bhi hai, theek hai, yahee muqaddar hai!
Kyaa patah kal hi, dil-o-jigar-e-meyhrbaan badley!

                          - abd bundeli


I am just enjoying with you... and I too thank you for being with me  Usual Smile

Toofanon se giri hai kashti
Dooba andheron mein saahil

Kaise kahe dil apni kahani
Hont gaye hai goyaa sil...!!
  Usual Smile
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #24 on: July 19, 2009, 07:46:32 AM »
Reply with quote
I am just enjoying with you... and I too thank you for being with me  Usual Smile

Toofanon se giri hai kashti
Dooba andheron mein saahil

Kaise kahe dil apni kahani
Hont gaye hai goyaa sil...!!
  Usual Smile

Thanks Roja!

Wo bahaaney bahut banaatey hain!
Rooth jaatey hain! Maan jaatey hain!!
Un sey poochhey koyi, houley-sey zaraa;
Ahad apney, kabhee nibhaatey hain?

                  - abd bundeli


                   
Logged
Roja
Guest
«Reply #25 on: July 19, 2009, 07:50:31 AM »
Reply with quote
Thanks Roja!

Wo bahaaney bahut banaatey hain!
Rooth jaatey hain, maan jaatey hain!
Un sey poochhey koyi, houley-sey zaraa;
Ahad apney, kabhee nibhaatey hain?

                  - abd bundeli


                   

Sacchayi dam tod rahi hai yaara
Sach ke sipahi sab bujdil
Gam ki baat na chedo
Toot ke reh jaye na ye dil

Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #26 on: July 19, 2009, 12:11:57 PM »
Reply with quote

Sacchayi dam tod rahi hai yaara
Sach ke sipahi sab bujdil
Gam ki baat na chedo
Toot ke reh jaye na ye dil



Har lamhey tootatey hain dam: sach hai!
Har koyi bhogataa hai gam: sach hai!
Ishq mein roz beyhisaab tootatey hain dil;
Roz hotey hain imtihaan, chashm nam, sach hai!!

                        - abd bundeli
Logged
Roja
Guest
«Reply #27 on: July 19, 2009, 04:01:55 PM »
Reply with quote
Har lamhey tootatey hain dam: sach hai!
Har koyi bhogataa hai gam: sach hai!
Ishq mein roz beyhisaab tootatey hain dil;
Roz hotey hain imtihaan, chashm nam, sach hai!!

                        - abd bundeli


Aaj fir teri yaad aayi hai
Kitne manzer vo saat laayi hai

Tere dard bara nagmon ki vo ghoonj
Dard bankar fiza mein chayi hai

Lap pe aate hi tera meeta naam
Ek tasvir muskurate dekhi hai..


Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #28 on: July 20, 2009, 03:09:06 PM »
Reply with quote

Aaj fir teri yaad aayi hai
Kitne manzer vo saat laayi hai

Tere dard bara nagmon ki vo ghoonj
Dard bankar fiza mein chayi hai

Lap pe aate hi tera meeta naam
Ek tasvir muskurate dekhi hai..




Jo baadal barsey wahaan:
Aa, chhaye hain aaj!
Kaash mujhey bhi mil sakey,
Unkee wo parwaaz!

              - abd bundeli

Logged
Roja
Guest
«Reply #29 on: July 22, 2009, 07:44:12 AM »
Reply with quote

Jo baadal barsey wahaan:
Aa, chhaye hain aaj!
Kaash mujhey bhi mil sakey,
Unkee wo parwaaz!

              - abd bundeli



Tumara pyar naye raaste bana dega
Pahad raah mein aaye unhe hata dega..




Logged
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 10:01:31 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.142 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer