Saara din sotay rahe aur raat ko jaaga kiye ..mazHur

by mazHur on April 15, 2016, 11:32:57 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 783 times)
mazHur
Guest
Reply with quote
Ghazal
By MazHur

Saara din sotay rahe aur raat ko jaaga kiye
Jaagtay sotay tujhi ko jaan e jan socha kiye

Aankh khulte he haqeeqat ho gayee hum per aayaan
Khwaboan ki dunya  mein hum to umr bhar  ghooma kia


Tum bhi samjho to na lo ehl e junoon ka  imtehan  
Ishq ki baazi mein hum to jaan se guzra  kiye

Gulshan e dil se woh guzray misl e khushboo e gulab
Aur hum nas nas mein unko jalwagar dekha kiye

Buutparasti gar che na thee  Meri hasti ka  shuyaar
Per na janay kia tha us buut mein ke hum pooja kiye

Teri Meri baat thee aapus mein hum kar lete tay
Kia hua hasil tujhe kamzarf yoon charcha kiye

Tum ne ana tha na tum aye ke fitrat thee teri
Hum  hee nadaan the ke yoonhi  muntazir  betha kiye

Kam khuda ka khauf he dil mein haseenoan ke agar
Ashiqoan ka bhi he is mein hath ye jana kiye

Chal kaheen mazhur ke is mehfil mein Ab  rakha he kia
Saaz hein tootay huay aur geet hein simta kiye
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
pyar kiye jaa rahe hain by sanya310 in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 3  All »
Qatal Kiye Ja Rahe Hai Hum by Pooja in Shairi - E - Zindagi
aaj fir se jaaga hai !!! by sarfira in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan
Karvat lekar raat badalate rahe........... by pawan16 in Shairi - E - Zindagi
Purnima cee raat.......mazHur by mazHur in Miscellaneous Shayri
Ram Krishan Rastogi
Umda Shayar
*

Rau: 69
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
30 days, 21 hours and 9 minutes.

Posts: 4988
Member Since: Oct 2010


View Profile
«Reply #1 on: April 16, 2016, 02:57:27 AM »
Reply with quote
waah waah bahut khoob
Logged
surindarn
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 273
Offline Offline

Waqt Bitaya:
134 days, 2 hours and 27 minutes.
Posts: 31520
Member Since: Mar 2012


View Profile
«Reply #2 on: April 16, 2016, 08:38:23 PM »
Reply with quote
Ghazal
By MazHur

Saara din sotay rahe aur raat ko jaaga kiye
Jaagtay sotay tujhi ko jaan e jan socha kiye

Aankh khulte he haqeeqat ho gayee hum per aayaan
Khwaboan ki dunya  mein hum to umr bhar  ghooma kia  kiye


Tum bhi samjho to na lo ehl e junoon ka  imtehan 
Ishq ki baazi mein hum to jaan se guzra  kiye

Gulshan e dil se woh guzray misl e khushboo e gulab
Aur hum nas nas mein unko jalwagar dekha kiye

Buutparasti gar che na thee  Meri hasti ka  shuyaar
Per na janay kia tha us buut mein ke hum pooja kiye

Teri Meri baat thee aapus mein hum kar lete tay
Kia hua hasil tujhe kamzarf yoon charcha kiye

Tum ne ana tha na tum aye ke fitrat thee teri
Hum  hee nadaan the ke yoonhi  muntazir  betha kiye

Kam khuda ka khauf he dil mein haseenoan ke agar
Ashiqoan ka bhi he is mein hath ye jana kiye

Chal kaheen mazhur ke is mehfil mein Ab  rakha he kia
Saaz hein tootay huay aur geet hein simta kiye
bahut bahut khoob waah waah.
 icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower
                       Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
Rustum Rangila
Yoindian Shayar
******

Rau: 128
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
10 days, 16 hours and 31 minutes.

Posts: 2534
Member Since: Oct 2015


View Profile
«Reply #3 on: April 17, 2016, 07:44:31 AM »
Reply with quote
Bahot khooob  Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 12, 2024, 08:16:22 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.119 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer