Sabke Andaaz E Khayalaat

by aaina on May 11, 2010, 10:49:21 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1869 times)
aaina
Guest
Reply with quote
Ek arse ke baad bazm mai kuch likh raha hun umeed karta hun ki meri ye adna si koshish haazreen ke mayaar ke mutabiq ho, apni qeemti aara se nawaaziyega



Sabke andaaz e khyalaat badal jate hai.N
bedili baD ke sawalaat badal jate hai.N

us'se keh do ke nayi baat nahi hai koii
loG jhoote ho.N to har baat badal jate hai.N

hamse kat_te nahi lamhe bhi kisi kal yaaro
aur pal mai waha.N din raat badal jaate hai.N

jinko humne hi tarasha wo khuda ban baithey
kitni asaani se halaat badal jaate hai.N

tum to ab tak liye baithey ho wafa ko aslam
tez dhaaro.N mai tajarbaat badal jaate hai.N






aslam
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
sabke liye treat! by sanya310 in Chit - Chat & General Discussion « 1 2  All »
Dil maiN teri mahobbat ke vo khayalaat nahiN haiN by manu1979 in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
CHHOTEE BAAT VASEEEEEE KHAYALAAT!!!!!!!!!!!!!!!!!!!! by qalb in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
miltey na khayalaat tumse by saahill in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
#### khayalaat ##### sheba by Sheba in Miscellaneous Shayri
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #1 on: May 11, 2010, 11:55:36 PM »
Reply with quote
Aslam ji... maine aapka likha hua pehle kabhi nahi padha par padh ke ek baat to pakki ho gayi ki kalam ki dhaar kabhi kam nahi hoti... chaahe istemaal karo ya na karo, waqt aane par asar kar hi jaati hai....aapne intro me likha hai ki ek arse baad likh rahe hain... par lagta nahi padhke... bahut bahut khoob likha hai aapne... bahut khoob....!!!!

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #2 on: May 12, 2010, 02:21:40 AM »
Reply with quote
Wah wah Aslam ji,bahut dard ,pyari aur khoobsurat nazm pesh kiya aapne.great creation.keep up the good work. Hats off to you! icon_thumleft Applause Applause Applause Applause
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #3 on: May 12, 2010, 06:45:00 AM »
Reply with quote
Aslam Bhai, Aap Aaye Bahaar Aayi!!! Usual Smile

Bahut Bahut Aur bahut Khoob!!!Har Ashaar Lajawaab....

Bahut Ache Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #4 on: May 12, 2010, 08:33:04 AM »
Reply with quote
aslam bhai yaar kya kahene mere bhai , matle ka to jawab hi nahi ,, humse katte nahi lamhe kissi kal yaro..wah bahoth qoob bhai ..tareef karna suraj ko diye dikhane wali baath hogi ..allah apke kalamo ko miyari izzath de ..dad hazir hai ba awaz a buland ..allah apko khush rakhe..


apka bhai

qadeertoopchi
Logged
Talat
Guest
«Reply #5 on: May 12, 2010, 10:42:03 AM »
Reply with quote
Ek arse ke baad bazm mai kuch likh raha hun umeed karta hun ki meri ye adna si koshish haazreen ke mayaar ke mutabiq ho, apni qeemti aara se nawaaziyega



Sabke andaaz e khyalaat badal jate hai.N
bedili baD ke sawalaat badal jate hai.N

us'se keh do ke nayi baat nahi hai koii
loG jhoote ho.N to har baat badal jate hai.N

hamse kat_te nahi lamhe bhi kisi kal yaaro
aur pal mai waha.N din raat badal jaate hai.N

jinko humne hi tarasha wo khuda ban baithey
kitni asaani se halaat badal jaate hai.N

tum to ab tak liye baithey ho wafa ko aslam
tez dhaaro.N mai tajarbaat badal jaate hai.N






aslam

Humesha ki tarah ek khoobsurat kalaam....Bohot khoob Aslam Ji, bohot khoobsurat ghazal kahi hai aapne....aur kuch kehne ke liye lafz hi nahin......jaisa Qadeer bhai ne kaha, suraj ko diya dikhane waali baat hai....
Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #6 on: May 12, 2010, 01:23:51 PM »
Reply with quote
JINKO HUMNEY HI TARAASH.......BAHUT KHOOB ASLAM SAHAB  Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #7 on: May 13, 2010, 05:04:49 AM »
Reply with quote
Bahut khoob Aslam Ji
Bahut dino baad aap ka koi naya kalaam padhne ko mila
Logged
shabbir143
Guest
«Reply #8 on: May 13, 2010, 09:51:14 AM »
Reply with quote
Wah Wah Aaina Ji Kya Kehne ,Bohat Hi Khoob Janab
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #9 on: May 13, 2010, 05:37:28 PM »
Reply with quote
Yoindia mea aapka fir se swagat hai Aslam ji..

Kya kahe.. aapne hamesha ki tarah bahoot khoobsoorat ghazal pesh ki hai.. Bahoot Bahoot Umda rahi aapki yea peshkash..


Keep rocking !
Logged
aaina
Guest
«Reply #10 on: May 18, 2010, 10:44:15 PM »
Reply with quote
Aslam ji... maine aapka likha hua pehle kabhi nahi padha par padh ke ek baat to pakki ho gayi ki kalam ki dhaar kabhi kam nahi hoti... chaahe istemaal karo ya na karo, waqt aane par asar kar hi jaati hai....aapne intro me likha hai ki ek arse baad likh rahe hain... par lagta nahi padhke... bahut bahut khoob likha hai aapne... bahut khoob....!!!!

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Klaskar sahab bhut bhut shukriya is hosla afzaii ka, mein is bazm ki baat ki ke yahan kafi karse baad likh rha hun, warna to tooti phooti koshishein jaari rehti hi hain, ek bar phir aapka bhut shukriya ki aapko koshish achi lagi.


aslam
Logged
aaina
Guest
«Reply #11 on: May 18, 2010, 10:47:20 PM »
Reply with quote
Wah wah Aslam ji,bahut dard ,pyari aur khoobsurat nazm pesh kiya aapne.great creation.keep up the good work. Hats off to you! icon_thumleft Applause Applause Applause Applause


Thnxxx so much Madhu jii...........



aslam
Logged
aaina
Guest
«Reply #12 on: May 18, 2010, 10:48:08 PM »
Reply with quote
Aslam Bhai, Aap Aaye Bahaar Aayi!!! Usual Smile

Bahut Bahut Aur bahut Khoob!!!Har Ashaar Lajawaab....

Bahut Ache Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley



Khwaish sahab bhut nawaazish janaab..............



aslam
Logged
aaina
Guest
«Reply #13 on: May 18, 2010, 10:50:22 PM »
Reply with quote
aslam bhai yaar kya kahene mere bhai , matle ka to jawab hi nahi ,, humse katte nahi lamhe kissi kal yaro..wah bahoth qoob bhai ..tareef karna suraj ko diye dikhane wali baath hogi ..allah apke kalamo ko miyari izzath de ..dad hazir hai ba awaz a buland ..allah apko khush rakhe..


apka bhai

qadeertoopchi



Qadeer bhai ye aapko badakpan hai ki adna si koshish ko bhi itna saraahte hain, behad mamnoon hun ki aapne ghazal ko pasnd kia aur hosla afzaaii bhi ki, bhut shukriya, dua mai yaad rahiyega


aslam
Logged
aaina
Guest
«Reply #14 on: May 18, 2010, 10:52:32 PM »
Reply with quote
Sabse Pahle To Welcome Back Aslam Bhai
Aur Janab Aapki Yeh Koshish Hume Behad Pasand Aayi...
Bahut Hi Achchi Peshkash Hai...

Yun Hi Apne Pyar Bhare Anzad Se
Mehfil Ko Roshan Karte Rahiye...


Khush Rahiye...


~Shihab~



Shihab bhut shukiya, ghalzal ki pasndgi ke liyn aapka bhut bhut shukriya,


aslam
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 09, 2024, 01:32:26 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.125 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer