Salam Nahi Karta.....( Ghayel )

by Sajid_Ghayel on January 19, 2012, 06:21:55 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1019 times)
Sajid_Ghayel
Guest
Reply with quote
Bohat apna jo hota hai kabhi salam nahi karta
Barabar jo mere aaya mera ehtaram nahi karta
 
Yeh nange pao bujha chehra aur nam aakhei.N
Yeh aulaad jiski hai woh koi kaam nahi karta
 
Naye jo yeh musalmaa.N hain bade roshan khayali hai
Amal jaisa ho le aao koi haraam nahi karta
 
Ajab hai dosti inki ajab inki haqeeqat hai
Kafan ka bhi yaha koi intezaam nahi karta
 
Khud hi ke waaste mehnat khud hi ke waaste thakna
Karu q tujhse hamdardi jo tu aaram nahi karta
 
Nahi jurrat kisi me ab milaye khud se bhi nazrei.N
Hai baaki sharm Ghayel me jo chehra aam nahi karta
 
Sajid Ghayel
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Kabhiya nahi khana ka main tum sa pyar nahi karta (personal) by muneeb in Shayri for Khumar -e- Ishq
Ghayel Ka Salam..... by Sajid_Ghayel in Tarruf Yoindia Sae : Give your Introduction
Q phir jeeya karta hai.....( Ghayel ) by Sajid_Ghayel in Ghazals
Is tarah bhi koi judaa Karta..........( Ghayel ) by Sajid_Ghayel in Shayri-E-Dard
Tauba karta wahi.....( Ghayel ) by Sajid_Ghayel in Ghazals
MANOJ6568
Khaas Shayar
**

Rau: 31
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
42 days, 19 hours and 59 minutes.

Astrologer & Shayer

Posts: 12017
Member Since: Feb 2010


View Profile
«Reply #1 on: January 19, 2012, 06:38:26 PM »
Reply with quote
khub
Bohat apna jo hota hai kabhi salam nahi karta
Barabar jo mere aaya mera ehtaram nahi karta
 
Yeh nange pao bujha chehra aur nam aakhei.N
Yeh aulaad jiski hai woh koi kaam nahi karta
 
Naye jo yeh musalmaa.N hain bade roshan khayali hai
Amal jaisa ho le aao koi haraam nahi karta
 
Ajab hai dosti inki ajab inki haqeeqat hai
Kafan ka bhi yaha koi intezaam nahi karta
 
Khud hi ke waaste mehnat khud hi ke waaste thakna
Karu q tujhse hamdardi jo tu aaram nahi karta
 
Nahi jurrat kisi me ab milaye khud se bhi nazrei.N
Hai baaki sharm Ghayel me jo chehra aam nahi karta
 
Sajid Ghayel
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #2 on: January 19, 2012, 07:57:28 PM »
Reply with quote
Sajid sahab aadaab!

janab kia kahun bada miss kiya aapko Usual Smile aur shayad khuda ne mere dil ki baat sun li ke bhaijan se kai din ho gaye koi jhagda nahi kiya tongue3

Par afsos ke janab itni umda kalam lekar aaye ke nuks bhi nahi nikal sakta.. behad khub aur umda kalam kahi hai janab... Usual Smile sabhi ashar masha allaah behad khub aur umda rahe...

har ashar par hazaron daad hazir hai.. meri dili daad o mubarakbad kabul kijiye likhate rahiye ...
khush o aabad rahiye...
Khuda hafez Usual Smile
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #3 on: January 19, 2012, 08:15:45 PM »
Reply with quote
Bahoot Bahoot KHoob LIkha hai Sajid ji.. Har Sher Bahoot Bahoot Umda likha hai

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley



Nysha
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #4 on: January 20, 2012, 06:28:57 AM »
Reply with quote
bahut bahut khoob ghayal ji tabeeyat khoosh ho gayee
Logged
sarfira
Guest
«Reply #5 on: January 20, 2012, 09:49:20 AM »
Reply with quote
waah waah Ghayal sir--
aapki ghazal ho aur parhkar dil kuch sochne par mazbur na ho esa ho hi nhi skta--

iss nayaab ghazal pr dheron daad aur aapka bht sukriya ki aapne ye ghazal post kia--

Sir aapka intezaar rhta hai plzz thora or time dia karen YO par

khus rahen
salamat rahen
Usual Smile
Logged
Sajid_Ghayel
Guest
«Reply #6 on: January 21, 2012, 05:22:49 PM »
Reply with quote
khub

Shukriyaa Manoj Saheb.
Logged
Sajid_Ghayel
Guest
«Reply #7 on: January 21, 2012, 05:27:24 PM »
Reply with quote
Sajid sahab aadaab!

janab kia kahun bada miss kiya aapko Usual Smile aur shayad khuda ne mere dil ki baat sun li ke bhaijan se kai din ho gaye koi jhagda nahi kiya tongue3

Par afsos ke janab itni umda kalam lekar aaye ke nuks bhi nahi nikal sakta.. behad khub aur umda kalam kahi hai janab... Usual Smile sabhi ashar masha allaah behad khub aur umda rahe...

har ashar par hazaron daad hazir hai.. meri dili daad o mubarakbad kabul kijiye likhate rahiye ...
khush o aabad rahiye...
Khuda hafez Usual Smile


Parwaaz saheb jis khoobsurti se aap Monitor ki zimmedari sambhaal rahe hai woh kaabil e tareef hai......aur bhala aap jaise pyaare insaan se main kaise Jhagda kar sakta hu.

Gair Haaziri ke liye maafi chahta hu.
Logged
Sajid_Ghayel
Guest
«Reply #8 on: January 21, 2012, 05:35:23 PM »
Reply with quote
Bahoot Bahoot KHoob LIkha hai Sajid ji.. Har Sher Bahoot Bahoot Umda likha hai

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley



Nysha

Nawazish Karam Nysha jee.
Logged
mkv
Guest
«Reply #9 on: January 21, 2012, 05:36:48 PM »
Reply with quote
Bahut Khoob Applause
Daad haajir hai aapke liye..
mera salaam kubool kare..
Logged
Sajid_Ghayel
Guest
«Reply #10 on: January 21, 2012, 05:43:14 PM »
Reply with quote
waah waah Ghayal sir--
aapki ghazal ho aur parhkar dil kuch sochne par mazbur na ho esa ho hi nhi skta--

iss nayaab ghazal pr dheron daad aur aapka bht sukriya ki aapne ye ghazal post kia--

Sir aapka intezaar rhta hai plzz thora or time dia karen YO par

khus rahen
salamat rahen
Usual Smile

Sarfira jee aapki shikayat jayez hai........kisi wajah ke chalte main zyda waqt nahi de pata hu.....par mujhe yaqeen hai aap jaise khoobsurat member Yoindia se jude hai Yoindia ki shaan o shaukat me kabhi koi kami nahi aayegi.....meri ghazal aapko pasand aayee yeh meri ghazal ki khushnasibi hai.
Logged
Sajid_Ghayel
Guest
«Reply #11 on: January 21, 2012, 05:45:29 PM »
Reply with quote
Bahut Khoob Applause
Daad haajir hai aapke liye..
mera salaam kubool kare..


Badi Meharbani MKV jee.
Logged
sarfira
Guest
«Reply #12 on: January 21, 2012, 07:12:23 PM »
Reply with quote
Sarfira jee aapki shikayat jayez hai........kisi wajah ke chalte main zyda waqt nahi de pata hu.....par mujhe yaqeen hai aap jaise khoobsurat member Yoindia se jude hai Yoindia ki shaan o shaukat me kabhi koi kami nahi aayegi.....meri ghazal aapko pasand aayee yeh meri ghazal ki khushnasibi hai.
ji Sir hum hum kosis krenge ki humare karan YO ki shaan me koi kmi na aane paye--
aap bhi jb waqt mile yha aate rhie
Usual Smile
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 01:17:52 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.116 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer