Sambhalna Chaahe......!!!

by Talat on August 05, 2009, 11:56:00 AM
Pages: 1 2 [3] 4 5
ReplyPrint
Author  (Read 7657 times)
Talat
Guest
«Reply #30 on: August 07, 2009, 01:47:19 PM »
Reply with quote
Mashaallah ... Talat Ji .... Kya Khoob Likha hai.... Samay Ke Rehte Aur WAdde Ke Mutabiik..
Lijiye Kucch Arz Hai....
 


Ishq Kii Aag Mein Jalnaa Chaahe
Khuun AnkhooN Se Niklnaa Chaahe

Jisne Kiyaa Tha Waffaa Ka Ahad
Woh Apne Ahad Se Mukarna Chaahe

Zist Ke Pinjare Mein Qaid Parinda
Khulii Hawaa Mein Udhnaa Chaahe

Kab Se Safaid Kagaj Sa Ik Shaks
Ab Rang Apnaa Badlanaa Chaahe

Kal Thi Jisko Mere Naam Se Nafrat
Woh Aaj KadamoN Pe Bikharna Chaahe

Jisko Dekh Kar Jeeta Hai "HumTum"
Ussi Qaafir Par Marna Chaahe !!


HumTum



Waada to aapne badi khoobsurti se nibhaya hai Hum Tum Ji..Kya baat hai...aapki ghazal ke  Applause Applause Applause



Ishq Ke Toofanon Se Dil Ab Na Nikalna Chaahe,
Ye Zaat Meri UsKi Panahon Main Bikharna Chaahe

Hum To Baithe Hain Usi Waade Pe Sab Haar Ke,
Tod De Ya Poora Wo, Vaada-e-Wafa Karna Chaahe

Uski Chahat Aasman Main Udd Jaaye Phaila Ke Par,
Har Shakhs Hi Lekin Ab To Pankh Uske Kutarna Chaahe

Aaino Ki Kami Ghar Main Nahin Hai Lekin,
Husn To Bas Uski Hi Aankhon Main Sanwarna Chaahe

Mukhalif hai Saari Duniya Aur Tan-e-Tanha Dil,
Haari Hui Har Baazi Har Haal Main Ladna Chaahe !!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Chaahe tum kuch na kaho..........!!!!!! by Friend_4uall in Chit - Chat & General Discussion « 1 2  All »
gir ke sambhalna by tinda in Shayri for Dard -e- Judai
Hai ye hasrat ke mujhe toot ke chaahe koi by ehsaas chahat ka in Share:Love Poetry
khud sambhalna hoga by shraddha the poetess in Other Languages
Dil ko sambhalna mushkil hua by saahill in Shayri for Khumar -e- Ishq
HumTum
Guest
«Reply #31 on: August 07, 2009, 02:12:55 PM »
Reply with quote
waah Bahut Khoob ... Talat Ji ....Lajwaab muqta ... Kucch Arz Hai..


Tere Seene Mein Dhadkhna Chaahe
Dil Apnaa Thikana Badlna Chaahe

Jal Kar Tere Husn Mein HumDum
Kuch Aur Bhi Jiada Nikhrna Chaahe

Jis Shakhs Ne Badal Di Duniya Meri
Koi Uss Shakhs Ko Badlna Chaahe

Har Parwaane Ki Khawaish Yhi Hai
Shamaa Par Aa Kar Jalna Chaahe

Teri ZubaaN Mein Hai Kaisa Jadu ??
"HumTum" Tera Aitbaar Karna Chaahe!


HumTum







Logged
SARVESH RASTOGI
Guest
«Reply #32 on: August 07, 2009, 02:28:11 PM »
Reply with quote
Bahut hi khubsurat ghazal hai Talat Ji
Behatareen, wah wah
Logged
Bharat
Guest
«Reply #33 on: August 07, 2009, 07:37:04 PM »
Reply with quote
Waah bohot khoob Bharat..it is always good to see you posting something (poetry), which has become a rare treat for Yoindia. I hope you will continue writing  drunken_smilie


Dastoor-e-Chaman Ki Khabar Nahin Hai Us Maasoom Ko,
Kali Ka Shauq Bhi Dekho, Khizaan Main Mehekna Chaahe

Manzil Hai Bohot Door, Aur Hausla Bhi Toota Hai,
Hai Ishq Ka Junoon Lekin, Ki Qadam Na Rukna Chaahe !!


Hi Talat,
What an awesome reply....Like it very much !

Actually I became lazy and I stopped after 4 lines. I did not finish as a Ghazal (5 shers)

I promise I will write a ghazal here.....Hopefully will turn out a good one !!!!
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #34 on: August 08, 2009, 11:18:29 AM »
Reply with quote


BAHUT KHOOB TALAT JI...DIL CHHUNE WALE JAZBAAT HAI...
Logged
Bharat
Guest
«Reply #35 on: August 08, 2009, 05:52:15 PM »
Reply with quote
Hello Talat,
As promised earlier........



woh khwaab hai par hum unko tuut kar chaahe
saahil par zulasti ret, jaise ek lahar chaahe

har waqt zuki zuki rehti hai qaatil nigaahe
kaise samzau dhadkan ko jo unki ek nazar chaahe

kabhi nahin kar payenge izaar-e-mohabbat
goya, hum unko dil ke andar hi andar chaahe

rel ki patariyo ki tarah kabhi na mil payenge
phir qyun hum unke jaisa hi hamsafar chaahe

pani ke dhaare dene ki teri ahemiyat nahin "Bharat"
is baat se na-waaqif tera dil, samandar chaahe !!!


Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #36 on: August 08, 2009, 05:56:54 PM »
Reply with quote
wah wah wah ... celmira ji, humtum ji, kaash ji, bharat ji... wah wah.. bahut hi khoob


jasbir singh
Logged
aaina
Guest
«Reply #37 on: August 08, 2009, 08:20:47 PM »
Reply with quote


great peice of work hamesha ki tarhaan bhut hi khoob, aapke likhne mein kis qadar ki shaistagi hai mashallah younhi likhti rahiye hamesha

aapki ghazal ke jwaab main kuch likhna himaqat se kuch kam to nahi baharhaal kabhi kabhi aisa bhi karne ko jii karta hai zahir hai ki jo aap likhti hain wo sabki nazar mai hai.........kuch toota phoota sa koshish achi lage to zarra nawaazi............


dil hatheli pe chaand ki surat chamakna chahe
ashq banke meri nazro.n se utarna chahe

ye ajab baat ke tere dil ki nigaah hai uspar
warna ye yaad ke dariya mai behekna chahe

wo shaaksh e gul jo lachakti hai kisi zor se
dar haqeeqat wo teri adaao.n pe mar mitna chahe

ye khayaal mujhko bhi aata hai kabhi aise hi
shama mai kya hai jo har parwaana hi jalna chahe

apni aankho ko tu band rakha kar ey saaqii
koi diwaana kahaan tere dar se talna chahe

isse bad ke kya milegi aur isko izzat afzaaii
meri ghazal tere honto.n pe machalna chahe

Logged
aaina
Guest
«Reply #38 on: August 08, 2009, 10:53:09 PM »
Reply with quote
waah Bahut Khoob ... Talat Ji ....Lajwaab muqta ... Kucch Arz Hai..


Tere Seene Mein Dhadkhna Chaahe
Dil Apnaa Thikana Badlna Chaahe

Jal Kar Tere Husn Mein HumDum
Kuch Aur Bhi Jiada Nikhrna Chaahe

Jis Shakhs Ne Badal Di Duniya Meri
Koi Uss Shakhs Ko Badlna Chaahe

Har Parwaane Ki Khawaish Yhi Hai
Shamaa Par Aa Kar Jalna Chaahe

Teri ZubaaN Mein Hai Kaisa Jadu ??
"HumTum" Tera Aitbaar Karna Chaahe!


HumTum









bhut khoob humtum jwaab nhi hai apka bhi
Logged
aaina
Guest
«Reply #39 on: August 08, 2009, 10:54:44 PM »
Reply with quote
Hello Talat,
As promised earlier........



woh khwaab hai par hum unko tuut kar chaahe
saahil par zulasti ret, jaise ek lahar chaahe

har waqt zuki zuki rehti hai qaatil nigaahe
kaise samzau dhadkan ko jo unki ek nazar chaahe

kabhi nahin kar payenge izaar-e-mohabbat
goya, hum unko dil ke andar hi andar chaahe

rel ki patariyo ki tarah kabhi na mil payenge
phir qyun hum unke jaisa hi hamsafar chaahe

pani ke dhaare dene ki teri ahemiyat nahin "Bharat"
is baat se na-waaqif tera dil, samandar chaahe !!!




very nice work bhart
Logged
Talat
Guest
«Reply #40 on: August 10, 2009, 12:57:40 PM »
Reply with quote
waah Bahut Khoob ... Talat Ji ....Lajwaab muqta ... Kucch Arz Hai..


Tere Seene Mein Dhadkhna Chaahe
Dil Apnaa Thikana Badlna Chaahe

Jal Kar Tere Husn Mein HumDum
Kuch Aur Bhi Jiada Nikhrna Chaahe

Jis Shakhs Ne Badal Di Duniya Meri
Koi Uss Shakhs Ko Badlna Chaahe

Har Parwaane Ki Khawaish Yhi Hai
Shamaa Par Aa Kar Jalna Chaahe

Teri ZubaaN Mein Hai Kaisa Jadu ??
"HumTum" Tera Aitbaar Karna Chaahe!


HumTum


Jazbaat Ka Toofan Na Thamna Chaahe,
Dil Iss Qayamat Se Guzarna Chaahe

Ishq Ne Kar Diya Husn Pe Sab Nisaar,
Husn Bhi Ishq Par Mat Mitna Chaahe

Parwaana Hua Raakh Shama Ke Aanchal Main,
Shama Bhi Jal Jal Ke Pighalna Chaahe

Har Sitam Uska Sar Aankhon Pe Rakhen,
Jo Waada-e-Wafa Bhi Ab Wo Mukarna Chaahe

Logged
Talat
Guest
«Reply #41 on: August 10, 2009, 01:05:43 PM »
Reply with quote
Bahut hi khubsurat ghazal hai Talat Ji
Behatareen, wah wah

Bohot bohot shukriya Sarvesh Ji
Logged
Talat
Guest
«Reply #42 on: August 10, 2009, 01:06:25 PM »
Reply with quote
Hi Talat,
What an awesome reply....Like it very much !

Actually I became lazy and I stopped after 4 lines. I did not finish as a Ghazal (5 shers)

I promise I will write a ghazal here.....Hopefully will turn out a good one !!!!

Thanks a lot Bharat Usual Smile
Logged
HumTum
Guest
«Reply #43 on: August 10, 2009, 01:10:17 PM »
Reply with quote
waah waah ... Bahut Khoob Talat Ji... Arz Kiya Hai...


Muhoobat Mein Dekhoo Waffa Chaahe
Dil Bhi Hai NadaaN Kya-Kya Chaahe

Girakar Tere DaamaaN Par AnsooN
Moti Mein Isko Badalnaa Chaahe

Isko Ishq Ka Chad Gyaa Hai JanuuN
Jalte SholooN Par Chalnaa Chaahe

Jin GaliyooN Se Guzraa Tha Majnu
Unn GaliyooN Se Guzaarna Chaahe !!

HumTum

Logged
Talat
Guest
«Reply #44 on: August 10, 2009, 01:11:23 PM »
Reply with quote
bahot khoob likha hai Talat ji,
dard aur sukoon lie hamesha ki tarah aapki ghazal Applause Applause Applause
her sher bahot umda
2nd and 4th are awesome. Clapping Smiley Clapping Smiley

zindagi zindagi se bachke nikal pati nahi
zindagi ke falsafe zindagi me dhalna chahe

yakeen hai ki taskeeniyat ke harf kalam ko milenge
dua-e-tasavvur harfon se yahi kahna chahe


Bohot shukriya Kaash Ji.....aur bohot khoob  icon_thumleft


Zindagi Dard-e-Sahra Se Ubharna Chaahe,
Rawayaton Ki Qaid Se Ab Nikalna Chaahe

Dua Ko Haath Uthaaye Hain Lekin Phir Bhi,
Lab-e-Khamosh Pe Koi Lafz Na Machalna Chaahe
Logged
Pages: 1 2 [3] 4 5
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 09, 2024, 01:22:51 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.106 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer