Sambhalna Chaahe......!!!

by Talat on August 05, 2009, 11:56:00 AM
Pages: 1 2 3 [4] 5
ReplyPrint
Author  (Read 7772 times)
Talat
Guest
«Reply #45 on: August 10, 2009, 01:12:11 PM »
Reply with quote
BAHUT KHOOB TALAT JI...DIL CHHUNE WALE JAZBAAT HAI...

Thanks so much Luv Ji
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Chaahe tum kuch na kaho..........!!!!!! by Friend_4uall in Chit - Chat & General Discussion « 1 2  All »
gir ke sambhalna by tinda in Shayri for Dard -e- Judai
Hai ye hasrat ke mujhe toot ke chaahe koi by ehsaas chahat ka in Share:Love Poetry
khud sambhalna hoga by shraddha the poetess in Other Languages
Dil ko sambhalna mushkil hua by saahill in Shayri for Khumar -e- Ishq
Talat
Guest
«Reply #46 on: August 10, 2009, 01:30:10 PM »
Reply with quote
Hello Talat,
As promised earlier........

woh khwaab hai par hum unko tuut kar chaahe
saahil par zulasti ret, jaise ek lahar chaahe

har waqt zuki zuki rehti hai qaatil nigaahe
kaise samzau dhadkan ko jo unki ek nazar chaahe

kabhi nahin kar payenge izaar-e-mohabbat
goya, hum unko dil ke andar hi andar chaahe

rel ki patariyo ki tarah kabhi na mil payenge
phir qyun hum unke jaisa hi hamsafar chaahe

pani ke dhaare dene ki teri ahemiyat nahin "Bharat"
is baat se na-waaqif tera dil, samandar chaahe !!!





Thanks Bharat for writing this Usual Smile bohot hi khoob  Applause Applause Applause

Khwaab Palkon Pe Bikharna Chaahe,
Dhadkan Bhi Ab Theharna Chaahe

Wo Dil Ki Dastaras Se Hai Bohot Door,
Phir Bhi Ye Har Pal Usse Milna Chaahe

Toot Jaayenge Bikhar Jaayenge Hum,
Zaat Kyun Na Iss Toofan Se Nikalna Chaahe

Ret Pe Likhe Naam Mit Jaate Hain Lekin,
Baarha Tera Naam Wahin Dil Likhna Chaahe
Logged
Talat
Guest
«Reply #47 on: August 10, 2009, 01:31:09 PM »
Reply with quote
wah wah wah ... celmira ji, humtum ji, kaash ji, bharat ji... wah wah.. bahut hi khoob


jasbir singh

Thanks so much Jasbir Ji
Logged
Talat
Guest
«Reply #48 on: August 10, 2009, 01:33:23 PM »
Reply with quote
great piece of work hamesha ki tarhaan bhut hi khoob, aapke likhne mein kis qadar ki shaistagi hai mashallah younhi likhti rahiye hamesha

Thanks so much Aslam Ji...Thanks a lot  Usual Smile
Logged
Talat
Guest
«Reply #49 on: August 10, 2009, 02:01:47 PM »
Reply with quote
aapki ghazal ke jwaab main kuch likhna himaqat se kuch kam to nahi baharhaal kabhi kabhi aisa bhi karne ko jii karta hai zahir hai ki jo aap likhti hain wo sabki nazar mai hai.........kuch toota phoota sa koshish achi lage to zarra nawaazi............


dil hatheli pe chaand ki surat chamakna chahe
ashq banke meri nazro.n se utarna chahe

ye ajab baat ke tere dil ki nigaah hai uspar
warna ye yaad ke dariya mai behekna chahe

wo shaaksh e gul jo lachakti hai kisi zor se
dar haqeeqat wo teri adaao.n pe mar mitna chahe

ye khayaal mujhko bhi aata hai kabhi aise hi
shama mai kya hai jo har parwaana hi jalna chahe

apni aankho ko tu band rakha kar ey saaqii
koi diwaana kahaan tere dar se talna chahe

isse bad ke kya milegi aur isko izzat afzaaii
meri ghazal tere honto.n pe machalna chahe




Aslam Ji,
..bohot bohot khoob....kyun sharminda karte hain...aap ke saamne to humara likhna kuch bhi nahin...you are an awesome poet  icon_thumleft

Aap jaisa hargiz nahin likh sakte...phir bhi kuch likhne ki koshish ki hai.....



Khwaab Ban Kar Teri Palkon Pe Chamakna Chaahe,
Dil-e-Nashaad Tere Seene Main Dhahadkna Chaahe

Jazbaat Ke Toofaanon Main Ghiri Meri Zindagi,
Teri Yaadon Ke Safeene Main, Bhatakna Chaahe

Parwaana Jal Jaata Hai, Mar Jaata Hai Shama Par
Shama Bhi Khud Parwaane Par Mar Mitna Chaahe

Tamanna Hai Unhe Jaam-e-Mai Aankhon Se Mile Jo,
Nigaah Meri Bhi Lab-e-Tishnaa Tak Uthna Chaahe

Tere Lab Ki Chaashni Tere Alfaaz Main Bikhri,
Mere Honton Pe Ghazal Teri Kyun Na Machalna Chaahe !!
Logged
thegrimreaper
Guest
«Reply #50 on: August 10, 2009, 05:16:56 PM »
Reply with quote

Aslam Ji,
..bohot bohot khoob....kyun sharminda karte hain...aap ke saamne to humara likhna kuch bhi nahin...you are an awesome poet  icon_thumleft

Aap jaisa hargiz nahin likh sakte...phir bhi kuch likhne ki koshish ki hai.....





Zindagi Dard-e-Sahra Se Ubharna Chaahe,
Rawayaton Ki Qaid Se Ab Nikalna Chaahe

Dua Ko Haath Uthaaye Hain Lekin Phir Bhi,
Lab-e-Khamosh Pe Koi Lafz Na Machalna Chaahe

Khwaab Ban Kar Teri Palkon Pe Chamakna Chaahe,
Dil-e-Nashaad Tere Seene Main Dhahadkna Chaahe

Jazbaat Ke Toofaanon Main Ghiri Meri Zindagi,
Teri Yaadon Ke Safeene Main, Bhatakna Chaahe

Parwaana Jal Jaata Hai, Mar Jaata Hai Shama Par
Shama Bhi Khud Parwaane Par Mar Mitna Chaahe

Tamanna Hai Unhe Jaam-e-Mai Aankhon Se Mile Jo,
Nigaah Meri Bhi Lab-e-Tishnaa Tak Uthna Chaahe

Tere Lab Ki Chaashni Tere Alfaaz Main Bikhri,
Mere Honton Pe Ghazal Teri Kyun Na Machalna Chaahe !!

bahut accha likha hai Celmira ji Applause
Logged
aaina
Guest
«Reply #51 on: August 11, 2009, 03:45:15 PM »
Reply with quote

Aslam Ji,
..bohot bohot khoob....kyun sharminda karte hain...aap ke saamne to humara likhna kuch bhi nahin...you are an awesome poet  icon_thumleft

Aap jaisa hargiz nahin likh sakte...phir bhi kuch likhne ki koshish ki hai.....



Khwaab Ban Kar Teri Palkon Pe Chamakna Chaahe,
Dil-e-Nashaad Tere Seene Main Dhahadkna Chaahe

Jazbaat Ke Toofaanon Main Ghiri Meri Zindagi,
Teri Yaadon Ke Safeene Main, Bhatakna Chaahe

Parwaana Jal Jaata Hai, Mar Jaata Hai Shama Par
Shama Bhi Khud Parwaane Par Mar Mitna Chaahe

Tamanna Hai Unhe Jaam-e-Mai Aankhon Se Mile Jo,
Nigaah Meri Bhi Lab-e-Tishnaa Tak Uthna Chaahe

Tere Lab Ki Chaashni Tere Alfaaz Main Bikhri,
Mere Honton Pe Ghazal Teri Kyun Na Machalna Chaahe !!


kya baat hai talat bhut hi khoob mashallah bhut hi ahca likha hai aapki koshish sar chad kar bolti hai, youn hi likhti rahiye god bless u
Logged
Pooja
Guest
«Reply #52 on: August 11, 2009, 03:46:47 PM »
Reply with quote
Good work Aaina and Celmira  Applause Applause Applause Applause
Logged
Talat
Guest
«Reply #53 on: August 12, 2009, 04:46:37 PM »
Reply with quote
waah waah ... Bahut Khoob Talat Ji... Arz Kiya Hai...


Muhoobat Mein Dekhoo Waffa Chaahe
Dil Bhi Hai NadaaN Kya-Kya Chaahe

Girakar Tere DaamaaN Par AnsooN
Moti Mein Isko Badalnaa Chaahe

Isko Ishq Ka Chad Gyaa Hai JanuuN
Jalte SholooN Par Chalnaa Chaahe

Jin GaliyooN Se Guzraa Tha Majnu
Unn GaliyooN Se Guzaarna Chaahe !!

HumTum


HUmesha ki tarah bohot khoob Hum Tum  Applause Applause Applause

Kuch aapke hi andaaz main.......


Nadaaniyaan Dil Ki, Kya Chahta Hai,
Iss Daur Main Bhi Wafa Chahta Hai

Raakh Kar Dega Hasti Tumhari Sanam,
Shola Jo Ye Bhadakna Chaahta Hai

Aasaan Nahin Hai Ye Ishq Ki Dagar,
Jo Majnu Ka Tu Naqsh-e-Paa Chahta Hai !!

Logged
Bharat
Guest
«Reply #54 on: August 12, 2009, 05:19:03 PM »
Reply with quote
wah wah wah ... celmira ji, humtum ji, kaash ji, bharat ji... wah wah.. bahut hi khoob


jasbir singh

jasbir singh ji,
Thanks for the appreciation !!!
Logged
Bharat
Guest
«Reply #55 on: August 12, 2009, 05:27:16 PM »
Reply with quote
very nice work bhart

Aaina ji,
Thanks for liking the ghazal ....

You have written very well also....
Logged
Bharat
Guest
«Reply #56 on: August 12, 2009, 05:28:49 PM »
Reply with quote

Thanks Bharat for writing this Usual Smile bohot hi khoob  Applause Applause Applause

Khwaab Palkon Pe Bikharna Chaahe,
Dhadkan Bhi Ab Theharna Chaahe

Wo Dil Ki Dastaras Se Hai Bohot Door,
Phir Bhi Ye Har Pal Usse Milna Chaahe

Toot Jaayenge Bikhar Jaayenge Hum,
Zaat Kyun Na Iss Toofan Se Nikalna Chaahe

Ret Pe Likhe Naam Mit Jaate Hain Lekin,
Baarha Tera Naam Wahin Dil Likhna Chaahe


Talat,
Shukriya !!!
Logged
Talat
Guest
«Reply #57 on: August 13, 2009, 10:58:36 AM »
Reply with quote
bahut accha likha hai Celmira ji Applause

Thanks so much Reaper Ji for always reading and apprexiating my work Usual Smile
Logged
Talat
Guest
«Reply #58 on: August 14, 2009, 05:38:05 PM »
Reply with quote

kya baat hai talat bhut hi khoob mashallah bhut hi ahca likha hai aapki koshish sar chad kar bolti hai, youn hi likhti rahiye god bless u

Thanks so much Aslam Ji...bas yunhi hausla badhate rahiye saath dete rahiye.....Thanks so much  happy3 happy3 happy3
Logged
Talat
Guest
«Reply #59 on: August 15, 2009, 06:46:48 PM »
Reply with quote
Good work Aaina and Celmira  Applause Applause Applause Applause

Thanks Pooja
Logged
Pages: 1 2 3 [4] 5
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 08:19:05 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.149 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer