~~~~~~~~~~"SAMIR'S GAZALS KHAJANA"~~~~~~~~

by samir_bc on May 13, 2006, 10:41:10 AM
Pages: [1] 2 3 4
ReplyPrint
Author  (Read 5275 times)
samir_bc
Guest
Reply with quote
Mujhe ulfaton mein samet lo mujhe bekhudi ki talash hai
Jo dilon mein rooh mein utar sake usi raani ki talash hai

Mein ulhaj gaya mein bikhar gaya mere humsafer meri baat sun
Mujhe zindagi ki talash hai mujhe roshni ki talash hai

Aey mere khuda teri di hui Gam-e-zindagi ki khiza’on mein
Kisi aur  ki talab nahi faqat ik hansi ki talash hai

Mujhe parh sake mujhe samjh sake mujhe har tarah parakh sake
Uss dilruba ki talash hai faqat uss ghari ki talash hai
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
}"}"}AATE JAATE HUWE{"{"{ by Dr.Saira999 in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 3  All »
aja kareeb itna ki in saanso ko mehka de.............. samir"dilse" by samir_bc in Shayri for Khumar -e- Ishq
kaisi bebasi hai samir "dilse" by Samir Dil Se in Shayri for Dard -e- Judai
samir_bc
Guest
«Reply #1 on: May 16, 2006, 12:03:16 PM »
Reply with quote
Suno Acha Nahin Lagta
Ke Koi Dosra Dekhay
Tumhari neeli Aankhen
Lab-o-Rukhsaar Aur Palkein
Siyah Lambi Ghanee Zulfein
siva meray Dosra Koi
Mujhay Acha Nahin Lagta

Suno Acha Nahin Lagta
Kare Jab Tazkara Koi
Kare Jab Tabsara Koi
Tumhari Zaat Ko Khoojay
Tumhari Baat Ko Soochay
Mujhay Acha Nahin Lagta

Suno Acha Nahin Lagta
Tumhari Muskurahat Per
Hazaroon Loag Martay Hoon
Tumhari Aik Aahat Par
Hazaroon Dil Dharaktay Hoon
Kise Ka Tum Pe Yuun Marna
Mujhay Acha Nahin Lagta

Suno Acha Nahin Lagta
Hawa Guzray Tumhain Choo Kar
Na Hoga Zabt Yeh Mujhse
Karey Gustakhi Tumse
Tumhari Zulfein Bikhar Jayen
Tumharay Lams Pe Jayen
Mujhay Acha Nahin Lagta

Suno Acha Nahin Lagta
Ke Tum Ko Phool Bhi Dekhain
Tumhare Paas Se Mehkein
Ya Chanda Ki Guzarish Hoo
Ke Apni Roshni Bakhshoon
Rukh-e-Jana Koi Dekhay
Mujhay Acha Nahin Lagta
Logged
samir_bc
Guest
«Reply #2 on: May 17, 2006, 11:28:37 AM »
Reply with quote
aye khuda aaj yeh faisla karde
use mera ya mujhe uska karde

bahut dukh sahe hain maine
koi khushi ab to mere muqaddar kerde

bahut mushkil rehta hai usse door rehna
judai ke is safar ko kam karde

jitna door chala gaya hai woh mujhse
use utna hi mere kareeb karde

nahi likha agar naseeb main uska naam
khatm zindagi aur mujhe fanah karde
Logged
samir_bc
Guest
«Reply #3 on: May 20, 2006, 08:56:27 AM »
Reply with quote
Bohat hi yaad aata hai mere Dil ko tarpaata hai
woh tera paas na hona bohat mujh ko rulaata hai

woh mera teri aankhon ke samandar main uttar jaana
aur teri muskurahat ke bhanwar main doobte jaana

teri awaaz ke saher se na nikal paana
tujh ko dekhna aur be-khudi se dekhte jaana

bohat chaha in guzre hue lamhon ko na sochoon
na teri yaad main reh ke tere saath ka sochoon

bhoola doon saari yaadon ko ke  jin se Dil tarapta hai
ke jin se tais utth ti hai ke jin se dard hota hai

magar jab raat aati hai to teri yaad aati hai
tere hi khuwaab hote hain teri hi baat hoti hai

to tay paaya ab mumkin nahi tujh ko bhoola dena
teri yaad main rehna tujhe hi sochte rehna

tujhe jab yaad karte hain to Dil apna tarapta hai
woh tera paas na hona bohat mehsoos hota hai
Logged
samir_bc
Guest
«Reply #4 on: May 26, 2006, 12:12:26 PM »
Reply with quote

Kitne mushkil Say Uss Nay Mujh Ko Bhulaya Ho ga...
Mere Yadoon Nay Ussay Khub Rulaya Ho Ga..
Baat Be-Baat Aankh Uss Ki Jo Chalki Hoo Gi.......
Uss Nay Chahray Ko Bazuoon Main Chupaya Ho Ga
Soocha Hoo Ga Uss Nay Din Main Kaye Baar Mujhy.......
Naam Hathele Par Bhe Likh Likh Kay Mitaya Ho Ga...
Jahan Us Nay Mera Ziker Suna Hoo Ga Kisi Say..
Uss Ki Aankhoon Main Koe Aansoo Tu Aya Hoo Ga..
Raat Kay Bhegnay Tak Neind Na Aye Ho gi Tujhy........
Tuu Nay Takeye Ko Bhe Senay Say Lagaya Ho ga..
Hoo Kay Nidhal mere Yadoon Say Tuu Nay Jana.........
Mere Tasveer Pay Sar Apna Tikaya Hoo Ga......
Poocha Hoo Ga Jo Kisi Nay Tere Halat Ka Sabab....
Tuu Nay Batoon Main Khub Us Say Chupaya Ho Ga....


Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #5 on: May 27, 2006, 03:11:37 PM »
Reply with quote
Nice One Samir Bhai Kamal Ka Likha Hai Apne...
Logged
samir_bc
Guest
«Reply #6 on: June 13, 2006, 06:19:42 AM »
Reply with quote
thnks brother




Naam likh likh k hathon pe mera mitata hai koi
Bahane bahane se mujhe satata hai koi

Mujhe tou yoon kabhi bhi jeene ki khuwahish nahi rahi
Jane kyun zindagi k roop mein mujhe milne ata hai koi

Baad-e-saba kabhi tou meherbaan hoke bataye tujhko
Ke hijr mein tere aansoo bahata hai koi

Tera milna na milna muqaddar ki baat sahi
Tujhe har roz khuda se mangta hai koi

Yeh kaisi andheri nagri hai k mere khuda
Tu saamne hai mager tujhe dhoondta hai koi

Chalo accha hai zamane ko mouzoon tou milgaya
Humein sata kar kitna muskurata hai koi

Ab ke humari haar bhi jeet ki manind hai yaaro
Humein haar ke bhi aksar pukaarta hai koi






Logged
shayar_dildaar
Guest
«Reply #7 on: June 13, 2006, 06:25:45 AM »
Reply with quote
wah wah....
Logged
samir_bc
Guest
«Reply #8 on: June 13, 2006, 06:49:42 AM »
Reply with quote
thnks dildar



RONA BHI JO CHAHEIN TO WOH RONE NAHI DETA
WOH SHAKHS TO PALKEIN BHI BHIGONE NAHI DETA

WOH ROZ RULATA HAI HAMEIN KHWAAB MEIN AAKAR
SONA BHI CHAHEIN TO SONAY NAHI DETA

YEH KIS KE ISHARE PE UMAAD AAYE HAIN
HAI KAUN JO BARISH KABHI HONE NAHI DETA

AATA HAI KHAYALON MEIN MERE KAUN YEH AKSAR
JO MUJH KO KISI AUR KA HONAY NAHI DETA

IS DER SE KE TOR KE AANSU NA BAHEIN
BACCHON KO MITTI KE KHILONAY NAHI DETA

EK SHAKHS HAI AISA MERI BASTI MEIN ABHI TAK
JO BOJH AKELE MUJHE DHONE NAHI DETA

MAIN HOON KE BAHATA HOON TERI YAAD MEIN AANSU
TU HAI KE ASHKON KO PIRONE NAHI DETA

WOH CHEHRA AJAB HAI JISE PA KAR MAIN ABHI TAK
KHOONA BHI CHAAHOON TO WOH KHONE NAHI DETA...



Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #9 on: June 13, 2006, 07:02:16 AM »
Reply with quote
Waah Bhai Tumhara Jawaab Nahi,..
Bahoot Badiya Ghazal Likhte Ho,..
Keep It Up,...
Logged
samir_bc
Guest
«Reply #10 on: June 16, 2006, 12:45:09 PM »
Reply with quote
thnks jaanasheen



'Aa gayaa uspe dil aa gayaa kyaa kareiN'
Tuu bataa ab humeiN, Aye Khudaa! kyaa kareiN?!

usko hum chaahne ke sivaa kyaa kareiN
Jo huwa so huwa, ab bataa kyaa kareiN?
 
Hum wafaa jab kareiN,woh jafaa hi kare!
Maar Daalegi uff ye adaa! kyaa kareiN!

Ab to khwaaboN meiN bhii aati rehti hai woh
Haaye! jis pe ye dil mar mitaa,  kyaa kareiN!
 
Us ko kaise kareN apne dil se judaa?
Ab to dil meiN samaa woh gayi,  kyaa kareN?!

Us ne jab bhi hameN kuchh Dilaasa diyaa
Dard-e-dil aur bhi baRh gayaa,kyaa kareiN!
 
Zindagi dono ki ham se hai shaadmaaN
Bin tere zindagii kaa mazaa kyaa kareiN?!

Hogi shaayad kami hum hi mein,isliye
Uske inkaar pe dil buraa, kyaa kareiN
Logged
angel4u
Guest
«Reply #11 on: June 17, 2006, 06:27:40 AM »
Reply with quote
NICE..........
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #12 on: June 17, 2006, 07:41:26 AM »
Reply with quote
Ur Welcome Samir Bhai,..
Bahoot Khoob Likhte Hain Aap,..
Aise Hi Likhte Rehna,..

Keep It Up,.
Logged
samir_bc
Guest
«Reply #13 on: June 25, 2006, 12:43:30 PM »
Reply with quote
thnks all of u


jo bhi shikwe gile the , sab dua hone lage
hum kisi ki aarzoo main kiya se kiya hone lage

jo bhi hum keh na sake be-basee main is zuban se
wahi lafz mere ashkon se adaa hone lage

hum zamane ki berukhiyon ka shikwa kiya karen
jab zara si baat per tum bhi khafa hone lage

hum to kardenge apni jaan bhi tum per fanaah
bus zara teri dhadkano se mere naam ki sada hone lage
Logged
samir_bc
Guest
«Reply #14 on: June 25, 2006, 02:08:16 PM »
Reply with quote
ek baar meri aankhon main uter ker to dekho
gar tumne kabhi samunder nahi dekha

pather kyon kehte ho  mujhe duniya walo
main mom hun tumne mujhe chhoo ker nahi dekha

sab keh rahe hain aao eid manao, hum kiya keren
hum ney abhi apne chaand ko chhat per nahi dekha


ek baar meri aankhon main uter ker to dekho
gar tumne kabhi samunder nahi dekha






Logged
Pages: [1] 2 3 4
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 05:14:19 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.111 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer